Friday, 7 September 2012

Waqt-E-RuKhsat kaheen taaray kaheen jugnu aaye


Waqt-E-RuKhsat kaheen taaray kaheen jugnu aaye
Haar pehnanay mujhe phool say baazu aaye

Bas gayi hai meray ehsaas mein yeh kaisi mahek
koi Khushbuu main lagaaoon teri Khushbu aaye

Main nay din raat Khuda say yeh dua maangi thi
Koi aahat na ho dar pay meray aur tu aaye

Us ki baatein kay gul-o-laala pay shabnam barsay
Sab ko apnaanay ka us shouKh ko jaadu aaye

In dinon aap ka aalam bhi ajab aalam hai
ShouKh khaaya hua jaisay koi aahu aaye

Us nay chu kar mujhe patthar say phir insaan kiya
Muddaton baad meri aankh mein aansoo aaye

Tuesday, 4 September 2012

bichra hay jo aik baar to miltay nahi dekha

bichra hay jo aik baar to miltay nahi dekha
is zakham ko hum nay kabhi siltay nahi dekha

aik baar jisay chaat gai dhoop ki khwahish
phir shakh pay us phool ko khiltay nahi dekha

yak lakht gira hay to jarain tak nikal aain
jis pair ko aandhi main bhi hiltay nahi dekha

kanton main ghiray phool ko choom aaigi lakin
titli kay paron ko kabhi chubtay nahi dekha

kis tarah meri rooh hari kargaya aakhir
wo zahar jissay jism main khiltay nahi dekha,

Bikhar rahi hai meri zaat use kehna

Bikhar rahi hai meri zaat use kehna
Kabhi mile to ye baat use kehna

Wo sath tha to zamana tha humsafar mera
Magar ab koi nahi mere sath use kehna

Use kehna ke bin us ke din nahi katta
Sisak sisak ke katti hai raat use kehna

Use pukarun ke khud hi pohunch jaun us ke paas
Nahi rahe wo halaat use kehna

Agar wo phir bhi na laute to ae meherbaa'n qasid
Hamari zeest ke halaat use kehna

Haar jeet us ke naam kar rahai hoon
Manati hoon apni haar use kehna

Meri Mohabbat Ka Naam Kia Hai By Mohsin Naqvi


Yeah Khoob-roo log jinki ankhien
Tumharay ujle badan per chispa'n
Tumharay naqsh-e-qadm ki khushboo mein
Sabt aisay
Bhanwar mein jaisay hina ke pattay
Mein sochta hoon
Ke itni ankhoon ke dairoon mein
Meri Akeeli
Udas ankhoon ki
Hasiyat kia hai?
Meri Wafa ka muqam kia hai?
Meri mohabbat ka naam kia hai?

By Mosin Naqvi