Showing posts with label Sad Urdu Poetry. Show all posts
Showing posts with label Sad Urdu Poetry. Show all posts

Friday, 29 January 2016

Wo kagaz ki kashti Wo barish ka pani

Ye Dolet Bhe Le Lo Ye Shohret Bhe Le Lo Bhaly Chheen Lo Mujh Se Meri Jawaani....

Magar Mujh Ko Lota Do Bachpan Ka Sawan Wo Kaghaz Ki Kashti Wo Barish Ka Pani

Muhallay Ki Sabse Purani Nishaani Wo Burhiya Jise Bachhe Kahte The Naani

Wo Naani Ki Baton Me Paryon Ka Dera Wo Chehre Ki Jhurion Me Sadion Ka Phera.

Bhulaaye Nahi Bhool Sakta Hai Koi Wo Chhoti Si Raten Wo Lambi Kahani

Kabhi Rait Ke onche Teelon Pe Jana Gharonde Banana Bana Kar Mitana...

Wo Masum Chahat Ki Tasveir Apne Wo Khabon Khiyalon Ki Jageer Apne

Na Duniya Ka Gham Tha Na Rishton Ke Bandhan Bari Khoobsurat Thi Wo Zindagani

Ye Doulat Bhi Le Lo, Ye Shohrat Bhi Le Lo Bhale Chheen Lo Mujh Se Meri Jawaani

Magar Mujh Ko Lota Do Bachpan Ka Sawan Wo Kaghaz Ki Kashti Wo Barish Ka Pani...

Thursday, 14 January 2016

2016 Urdu Poetry

Na koi ranj ka lamha ksi ky pass aay
Khuda kary nya sall sub ko ras aye

Mery Ban Jao

Ye sall bhi udas rha roth kar gya
Tuj se mily baghair december guzar gya

jo baat motabar thi wo sar se guzar gai
jo harf sarsari tha wo dill main utar gya

Mery Ban Jao

Mery lafzon se nkal jay asar
koi Khwahish jo tery bad karon.

Mery Ban Jao

Beet na jayan khi muj se ye bara mosam
Reh na jaon is saal bhi tanha us se kehna

Mery Ban Jao



Sunday, 22 November 2015

Ghazal - Neendien Humari Chura Gaya Ik Shaksh


ﺩﺳﻤﺒﺮ ﺁ ﮔﯿﺎ ﺟﺎﻧﺎﮞ

ﺩﺳﻤﺒﺮ ﺁ ﮔﯿﺎ ﺟﺎﻧﺎﮞ
ﮐﮧ ﭘﮭﺮ ﺍﮎ ﺳﺎﻝ
ﺗﯿﺮﯼ ﯾﺎﺩ ﮐﮯ ﺳﻤﻨﺪﺭ ﻣﯿﮟ
ﺍﺗﺮ ﮐﺮ ﺟﺎﻧﮯ ﻭﺍﻻ ﮨﮯ
ﯾﮧ ﺩﻝ ﭘﮭﺮ ﺭﻭﻧﮯ ﻭﺍﻻ ﮨﮯ
ﺗﻤﮭﯿﮟ ﮐﭽﮫ ﯾﺎﺩ ﮨﮯ ﺟﺎﻧﺎﮞ ؟

ﺍﺳﯽ ﭘﭽﮭﻠﮯ ﺩﺳﻤﺒﺮ ﻣﯿﮟ
ﺗﻤﮩﯽ ﻧﮯ ﻣﺠﮫ ﮐﻮ ﻟﮑﮭﺎ ﺗﮭﺎ
ﮐﮧ ﻧﯿﺎ ﺟﻮ ﺳﺎﻝ ﺁﮮ ﮔﺎ
ﺍﺱ ﻣﯿﮟ ﻣﻞ ﮐﮯ ﺭﮨﻨﺎ ﮨﮯ
ﺑﮩﺖ ﺳﮯ ﭘﯿﺎﺭ ﮐﮯ ﻭﻋﺪﮮ
ﺑﮩﺖ ﺳﯽ ﺍﻥ ﮐﮩﯽ ﺑﺎﺗﯿﮟ
ﮨﻤﯿﮟ ﺗﺤﺮﯾﺮ ﮐﺮﻧﯽ ﮨﯿﮟ
ﻣﺤﺒﺖ ﮐﯽ ﻧﺌﯽ ﻧﻈﻤﯿﮟ ﮨﻤﯿﮟ ﺍﺱ ﺑﺎﺭ
ﻟﮑﮭﻨﯽ ﮨﯿﮟ
ﻣﮕﺮ ﺟﺎﻧﺎﮞ !
ﻭﮨﯽ ﺭﺍﺗﯿﮟ ، ﻭﮨﯽ ﺷﺎﻣﯿﮟ
ﻭﮨﯽ ﺧﻮﺷﺒﻮ ، ﻭﮨﯽ ﻧﻈﻤﯿﮟ
ﻣﺠﮭﮯ ﮨﺮ ﻭﻗﺖ ﮐﮩﺘﯽ ﮨﯿﮟ
ﺩﺳﻤﺒﺮ ﻟﻮﭦ ﺁﯾﺎ ﮨﮯ
ﻣﮕﺮ
ﺗﺮﺍ ﺳﺎﺗﮭﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﺁﯾﺎ ؟
ﺩﺳﻤﺒﺮ ﺁ ﮔﯿﺎ ﺟﺎﻧﺎﮞ

Friday, 26 September 2014

Sad Urdu Poetry

Yaad kar k mujhy nam ho gyi ho gayi hon gi ankhain
Aankh me par gya kuch kh kar ye tala hoga.

Sad Urdu poetry

Phir nahi basty wo dill ik bar ujar jaty hain
qabrain jitni bhi sanwron wha ronak nhi hoti.

Sad Urdu poetry

Eid k chand ko dekhy na koi mery siwa
Is k deedar ko ik saal guzara me ne

Sad Urdu poetry

Kisi dushman ne ye izat mujhy ab tak nahi bakhshi
hamesha dost hi ka hath pohncha he gareban tak

Sad Urdu poetry

Wafa ki talash to be wafaon ko hoti he faraz
Hum ne to dunya hi chor di kisi ki wafa k liye

Sad Urdu poetry

Mery mola karam kar dey to aesa kar bhi sakta he
Mery hathon ki janeb dekh inhain to bhar bhi sakta he.

Sad Urdu poetry

Kai kam rh gye hain teri yaad ki waja se
tery sath bhi khasara tery bad bhi khasara

Sad Urdu poetry

Na jany ku itna yaqeen he teri wafa par ae dost
Warna husn waly to khud se bhi wafa nahi karty

Sad Urdu poetry

Main khud harean hon apny sabar ka pehlu dekh kar
Tum ne yaad karna chor diya par me ne intazar karna nahi chora.

Sad Urdu poetry

Tash ka paton ki manid he zindagi meri FARAZ
Jis ne bhi khela taqseem kar diya mujhy

Sad Urdu poetry

Kabhi waqt mila to suljaon ga teri sabhi uljanain
Abi to khud ulja hoa hon waqt ko suljaany me

Sad Urdu poetry

Yaad aayn gi us waqt meri wafayn
Jis waqt kisi ghair pe bedad kro ge.



Tuesday, 16 September 2014

Sad Urdu Poetry, Romantic Poetry, love poetry for her

Koi agar khalos-e-Dill se parhy mujhy
Me sar basar kitab tamanna dikhai doon

Har aeb shi mujh me magar aaj bhi mujh ko
Apno se khafa hony ka andaaz na aaya.

Mery Ban Jao
Mear kia hall he tery bina kabhi dekh to le
Ji rha hon tera bhula hoa wada ban kar.

Mery Ban Jao
Kal tak tha ahsaas kisi k hony ka
Aaj he sirf dard us ko khony ka

Hum dono ka nahi tha qasoor is me
Taqdeer ka fesla tha juda hony ka

Mery Ban Jao

Samjh jata hon lekin dair se me dao paich us ke
Wo bazi jeet jaata he mery chalak hony tak.

Mery Ban Jao

Aanso ahain tanhai werani or  Gham musalsal
Ik zara sa Ishk hoa tha kia kia virasat me de gya.

Monday, 23 June 2014

Best two line Urdu poetry

Mery hi hathon pe


Mery hi hathon pe meri taqdeer likhi he
or meri he taqdeer par mera bas nahi chalta

Best two line Urdu Poetry

Bata kia jawab don


Ae hasile khalos bata kia jawab don
dunya ye pochti he me q udaas hon

Best two line Urdu Poetry

Sanson ki mohlat


Sanson ki mohlat kab khatam ho jay maloom nahi
Dukh koi mila ho meri zaat se to maf kar dena

Best two line Urdu Poetry

Jurty hoy dekha na


Jurty hoy dekha na totty hoy dill ko
Gir jayn aanso to uthay nahi jaty

Best two line Urdu Poetry

Shayed k tery hath pe


Shayed k tery hath pe likhta wo mera naam
Tu qatibe taqdeer se darkhuast to karta

Best two line Urdu Poetry

Monday, 16 June 2014

Best Two lines urdu Poetry

Or zamanat Wafa Ki kia hogi


Or zamanat Wafa Ki kia hogi
Tum Meri Saans Girvi Rakh lo

two lines urdu poetry

Mujhy bhi aayny jesa


Mujhy bhi aayny jesa kamal hasil he
Me tot ta hon to phir be shumar hota hon

two lines urdu poetry

Aasani Se koi mill jay to wo qismat ka sath he

Aasani Se koi mill jay to wo qismat ka sath he
Soli Par charh kar bhi jo na milain usy muhabat khty hain

two lines urdu poetry


Meri Hesiyat ka Andaz Tum


Meri Hesiyat ka Andaz Tum ye jaan kar laga lena
Hum kabhi un k nahi hoty jo har kisi k ho jayn

two lines urdu poetry


Rishwat bhi nahi leta kambakhat


Rishwat bhi nahi leta kambakhat jaan chorny ki
Ye Ishk mujhy Boht Imandar lagta he

two lines urdu poetry


Toot Jata he ghreebi me wo rishta


Toot Jata he ghreebi me wo rishta jo khas hota he
Hazaron yaar banty hain jab pesa paas hota he

two lines urdu poetry


Mera Karnama zindagi meri hasraton


Mera Karnama zindagi meri hasraton k siwa kuch nahi
Ye kia nahi wo hoa  nahi ye mila nahi wo raha nahi

two lines urdu poetry


Humy tum bhol jao gy Humain maloom he


Humy tum bhol jao gy Humain maloom he Lekin
Palat kar jab bi aao gy muhabat muntazir hogi

two lines urdu poetry


Muhabat kar k dekhi he muhabat saaf 


Muhabat kar k dekhi he muhabat saaf dhokha he
Ye sab khny ki batain hain phir kon kis ka hota he

two lines urdu poetry


Mery Myar ko samjhny keliye


Mery Myar ko samjhny keliye itna hi kafi he
Me Us ka hargiz nahi hota jo har kisi ka hota he

two lines urdu poetry



Tuesday, 27 May 2014

Samajh Kr Raham Dil Tum Ko

Samajh Kr Raham Dil Tum Ko Diya Tha Hum Ne Dil Apna,
Magar Tum To Bala Niklay, Ghazab Niklay, Sitam Niklay.!


Monday, 5 May 2014

Romantic Urdu Poetry 1

Manzil gham ki fizaon me


Manzil gham ki fizaon se libat kar ro lon
Tery daman ki hawaon se lipat kar ro lon

Jame may peny se pehly mera ji chahta he
Bikhri zulfon ki ghtaon se lipat kar ro lon

Ghanchon ki nigahon me nigahain dalon
Surkh pholon ki qabaon se lipat kar ro lon

Aany waly tery rasty me bichaon ankhain
Jany waly tery paon se lipat kar ro lon

Apny Majbor taqadus k shary Sagir
Der o kaba k khudaon se lipat kar ro lon

Romantic Urdu Poetry

December, Poetry in Urdu, December aa kar guzar jay ga

December aa kar guzar jay ga


December aa kar guzar jay ga
Ik pair k na jany kitny paty gir jay ge

December aa kar guzar jay ga
Chirya chkain gi yakhbasta raton main
Or Pairon pe aa kar ye gumsum rhain gi

Na koi hari shakh hogi
Na koi pata ho ga

December aa kar guzar jaay ga
Kitny parindy be gar ho jayn ge

Jala dy gi un ko disambar ki sard hawa
Na jany kitny khuab bina tabir dhul jay ge

December aa kar guzar jay ga
Ik pair k na jaany kitny paty gira jay ga
December aa kar guzar jay ga
December aa kar guzar jay ga

Urdu Ghazals

Jab Rim Jim Rim Jim Barish he


livelypakistan.blogspot.com Photo Of Poet Wasi Sha
Jab rim jim rim jim barish he
Har simat nami cha jati he

Or sabza sabza kaliyon par
Moti se giraati he

Pholon ki kalyan has has kar
Shabnam k aansu roti hain

Jis waqt ufaq k bistar main
Surij Ki kirnain soti hain

Jab rat ki malka ro ro kar
Bharti hain falaq ko taron se

Or taiz hawa takrati he
Nadi k behty dharon se

Mhtaab ki piyari si dulhan
Jab rat ki mala japti he

Or rat ko le kar bahon main
Jab rukhsat is ko karti he

Phir barkhart ya aawara
Jab abar ka tukra gata he

Ik shakhs hamain yaad aata he
Ik shaks hamain yaad aata he


Hijar ka tara doob chala he

Hijar ka tara dhob chala he
Dhalny lagi he raat wasi

Katra katra bars rahi he
Ashkon ki barsaat wasi

Tery bad ye dunya waly
Mujhko pagal kar dain ge

Khushbo k des main
mujh ko le chal apny sath wasi

Yon hi chup ki mohr laga ke
Kab tak Gum sum Betho ge

Khamoshi se dam ghut ta he
Chero koi bat wasi

Chor Wasi Ab uski yadain
Tuj ko pagal kar dain Gi

Tu qatra he wo darya he
Dekh apni oqat wasi

Kurb Us ka dill nadaan dubara mangy


Kurb Us ka dill nadaan dubara mangy
Jis ne tofaan diya us se kinara mangy

Ae khuda ye Bhi to kal hi ki ik surat he
Dobny Wala Jo tinky ka sahara mangy

Usko jalty hoy arman dikhon dill ke
Gar meri aankh kabhi mujh se nazara mangy

Aashiyan jis ne banaya tha bari mehnat se
Ab jalany k liye khud hi sharara mangy

Pastiyan apny muqadar main likhi hain Qaisar
Wo nahi janta jo sath hamara mangy

Qaisar abas qaisar

Kis ko Bhati rhi rat bhar chandni



Kis ko Bhati rhi rat bhar chandni
Ji jalati rahi rat bhar chandni

Tmtmaty rahy hasraton k diye
Muskurati rhi Rat bhar chandni

Ik hasee jism ki tarhan aakhosh main
Kasmasati rhi rat bhar chandni

Ashk peety rhy hum kis or ko
Mye Pilati rhi rat bhar chandi

Sagir Sidiqi

Meri wafa ne khilay thy jo gulab


Meri wafa ne khilay thy jo gulab
Sary julas gye hain

Tumhari aankhon me jis qadar thy
wo khuab sary julas gye hain

Meri zamin ko he kisi nay
Hadsy ka intizar shayad

Gunah phlny lagy hain
Ajar o sawab sary julas gye hain

Jo tum gye to meri nazron py
Haqeeqaton k azab utry

Sochta hon k kia karon ga
Sarab sary julas gye hain

Ye mojza sirf ik shab ki
Musafton k sabab hoa he

Tumhary or mery darmiyan
Sary hijab julas gye hain

Isy batana k uski yadon k
Sary Safhy Jala chuka hon

Kitab-e-dill me rakm thy jitny
Wo bab sary julas gye hain

Nazar Uthon main jis taraf bhi muhib
Say hain zulmaton ke

Ye kia he k mery naseeb k
Mhtaab sary julas gye hain

Tumhari nazron ki tapish he k
Mery lafzon pe aa bly hain

Sawal sary julas gye hain
Jawab sary julas gye hain

Ye aag Khamoshiyon ki Kesi
Tumhari aankhon me terti he

Tumhary honton py jo thy darj
Wo nisab sary julas gye hain


Intazar rahy ga


Meri Aankhon ko tumhara intazar rhy ga
Jab bhi aao ge muntazir paao ge

Jab bhi koi gham tum ko chu jay ga
Tum mujhy bhi ghamgeen pao ge

Jab kabhi yadon ko jinjora tum ne
Tum mujy bhi Apny sath beqarar pao ge

Or gar kabhi socho be wafai ka
To mujhy bhi rukh mora hoa pao ge


Teri Umeed Tera Intazar jab se he


Teri Umeed tera intazar jab se he
Na shab ko din se shikayat na din ko shab se he

Kisi ka dard ho karty hain tery naam raqam
Gila he jo bhi kisi se tery sbab se he

hoa he jab se dill na sabur be qabu
Kalam tujh se nazar ko bary adab se he

Agr sharar he to bhargy jo phol he to khily
Tarha tarha ki talab tery rang lab se he

Kha gye shabo frqat k jagny waly
Sitare shri hum kalam kab se he




forumsmix.com

Sunday, 4 May 2014

Misaal Barg main khud ko urana chahti hon

Poetry of Farzana Naina



Misaal barg main khud ko urana chahti hon
http://photos1.blogger.com
Hway tand pe maskn banana chahti hon

Wo jin ki aankhon me hota he zindagi me mlal
usi qabely se khud ko milana chahti hon

Jha k band hain sadiyon se mujh pe drwazy
Me ik bar usi ghar me jana chahti hon

sitam shar ki chokhat pe adal ki zanjeer
baray dad rasi ab hilana chahti hon

Najany kesy guzaron gi higar ki sa at
ghari ko tor k sab bhul jaana chahti hon

Musafton ko mily manzil talab neena
Wafa Ki rah main apna thikana chahti hon

Farzana Naina



Mery ban jao

Tumhary chahny waly bhi sog karty hain

Tumhary chahny waly bhi sog karty hain


Falak Pey Chand ka haly bhi sog karty hain
Jo to nhi to ujaly bhi sog karty hain

Nagar nagar main wo bikhry hain zulm k manzar
Hamari roh k jaaly bhi sog karty hain

Usy kaho k sitam me wo kuch kami kar de
K zulm torny waly bhi sog karty hain

Tum apny dukh pe akely nahi ho afsurda
Tumhary chahny waly bhi sog karty hain

Allama Iqbal Famous ghazal nisha yahi he

Nisha Yahi He


Nisha Yhi he zamany main zinda qomon ka
K suba o sham badalti hain un ki taqdeerain

Kamal sdeeqo Murawat he zindagi un ki
Maf karti he fitrat bhi un ki tqseerain

Kalandrana adaain sikandrana jalaal
Ye Umatain hain Jaha me Barhana shmsherain

Khude se mard khud aagah ka jamal o jalal
K ye kitaab he baqi tamam tafseerain

Shikwa eid ka munkir nahi hon main lekin
Qabul haq hain faqat mard k takbeerain

Haqeem meri noaon raz kia jaany
Waray aqal hain ahle junu ki tadbeerain

Friday, 2 May 2014

best urdu ghazal

Wo Piyar Karta to

www.aanchal.com.pk
merybanjao.blogspot.com

Me sub qadrain luta deti wo aetbar karta to
Han me sub kuch gnwa deti agar wo piyar karta to

Udasi mujhy Is ki qatann Gawara na thi
Me ho jati gayal wo war karta to

Me chun chun phool barsati us par
Par mery naam koi bahar karta to

Ye chot sehna duswar to he lekin
Me har jati gar wo takraar karta to

best ghazal

Us Ne Ashfqa mizaji ko


Us ne ashfqa mizaji ko naya mor diya
Mujh ko paba zanjeer kia or chor diya

Us ne aanchal se nikali mery gam kashta kitab
www.itdunya.com
merybanjao.blogspot.com
Or chupky se muhabat ka wark mor diya

Hum Ko malum tha anjaam muhabat hum ne
Aakhri haroof se pehly hi qalam tor diya

best ghazal

Adhori batain jo kar gye ho


Adhori batain jo kar gye ho
mery dill main utar gye ho

kis ki chahat ka ye asar he
k reza reza bikhr gye ho

tum hi to ho jo hamary dill ki
hadon ko chu kar guzar gye ho

Hamara thamo gy hath kia tum
www.itdunya.com
merybanjao.blogspot.com
Abhi se dunyaa se der gye ho

Chaly gye ho nazar jhuka key
humain diwana sa kar gye ho

Bhul bethy ho aehd sary
Abhi se q tum muqar gye ho

Dhondty hy nazar ye tum ko
Aa bhi jao kidhar gye ho

best ghazal

Jaty jaty wo mujhko


Jaty jaty wo mujhko achi nishani de gya
Us se main kuch paa sakon aesi khani de gya

Us se me kuch paa sako esi umeed thi
Gham bhi wo shayed baray mehrbani de gya

Sab hawayn Le gya mery samandar ki koi
Or mujh ko ik karty badbaani de gya

Khair me piyasa rha Us ne itna to kia
Meri Palko ki qataron ko pani de gya

best ghazal

Kabhi Nazar to aa


Kabhi nazar to aa tasqeen iztarab to de
Meri khuli hoi aankhon ko koi khuab to de

Jawaz dhond na barson ki ranjishon ka
Magar qareeb aa kar tamshay ijtanaab to de

Kabhi to sang sada tor de skute wafa
kabhi wo khuab me aa kar dum siraab to de

Me zakham tshna labi se libat k ro lon gi
Na de sakon wafa qabar iztarab to de

Na cheen hum se yaq kona lazat tadbeer
Naseem msnd gull arsa habab to de

Bichar k milny me lazat shi magar naheed
Kabhi to wasal musalsal ka hi azab to de

best ghazal

Ye Kasur mera he


Ye kasur mera he k yaqeen kia he
Dill teri hi khater rakhchor diya he

Ye kasur mera he k yaqeen kia he
Dill teri hi khater rakhchor diya he

Tu hi sab se qareeb he mery
Tu hi mera naseeb he ab ye mehsus kia he

Tu hi sab se qareeb he mery
Tu hi mera naseeb he ab ye mehsus kia he

Ye qasur mera he k yaqeen kia he
Dill Teri Hi khatir rakh chor diya he


Ik tu hi he dolat meri
Hasil to mera

Kitni he muhabat tujh se
Be hisab wafa

Hasraton se barh kar apni
Chaha tujh hamesha

Ye kasur mera he k yaqeen kia he
Dill teri hi khater rakhchor diya he

Tu hi sab se qareeb he mery
Tu hi mera naseeb he ab ye mehsus kia he

Koi dard raha na dill me
Na koi khala

Har khuahish pori hoi he tujhy paa jo liya
Dor mujh se ho na kabhi na
Karna ye ik ehsaa


Ye kasur mera he k yaqeen kia he
Dill teri hi khater rakhchor diya he

Tu hi sab se qareeb he mery
Tu hi mera naseeb he ab ye mehsus kia he

best ghazal

Gulabi se galon pe aansu k qatry



Gulabi se galon pe aansu k qatry
K pholon k mukhry pe shabnam ho jesy

Raseely se honto pe halka sa tabsum
K yaqoot se tapakta shed ho jesy

He us ki hasi me taranum bi kitna
Koi jal tarng khi bujhta ho jesy

Wo zulfon k khilny pe rukna hawa ka
Ghta asmaa ko chupaati ho jesy

Kanwal is ko takty hoy kho gya
K pathar ka koi mujasma ho jesy


best ghazal

Wehm esa he k


Wehm esa he k say se bhi dar lagta he
Jesy Har shakhs hi aseeb asar lagta he

Ajnabi logon ka qabza he meri galuon par
Shaher apna mujhy ghairon ka nagar lagta he

Kotwalon ki darandazi se mahfoz nahi
Ab to sehra se bhi badtar hamain ghar lagta he

Usko insaf ki suli pe latakta paya
Qazi sher k moh agar koi lagta he

Martaba jhd musalsal ne diya he mujh ko
Ja k manzil pe thrna bhi safar lagta he

Itni madhosh he ab ghalba batil se nazar
Kia zamana he yaha khir bhi shar lagta he

Wo khliel asal he bunyad bani Ismail
Ahle Toret ko kun aan Badar lagta he

best ghazal


Mery Ban Jao

www.urdupoetryimages.com


Thursday, 1 May 2014

Wo Ishk jo Hum se roth gya

Wo Ishk jo Hum se roth gya

kmjeenovels.blogspot.com

Wo Ishk jo Hum se roth gya
Ab uska haal batay kia

Wo Ishk jo Hum se Roth gya
Ab uska hall batay kia

Koi Mehr nahi koi qehr nah
Phir sacha sher sunay kia

Wo ishk jo hum se roth gya
Ab uss ka haal batain kia

Ik Hijar jo hum ko lahaq hai
Tadir usy Duhray kia

Ik Hijar jo hum ko lahaq hai
Tadir usy Duhray kia

Wo zehr jo Dill main utar diya
Phir uss ke naaz uthaye kia

Wo zehr jo Dill main utar diya
Phir uss ke naaz uthaye kia

Koi Mehr nahi koi qehr nah
Phir sacha sher sunay kia
WO IshK jO hUm sE Ruth gYa

Eik Aag Gham-e-Tanhai Ki
Jo sary Badan Me Phel gyi
www.urdumaza.com

Eik Aag Gham-e-Tanhai Ki
Jo sary Badan Me Phel gyi

Jab jism hi sara jalta ho
Phir Daman-e-Dill ko bachay kia

Koi Mehr nahi koi qehr nah
Phir sacha sher sunay kia
WO IshK jO hUm sE Ruth gYa

Hum naghma sara kuch ghazlon ke
hum sorat gar kuch khuabon ke

Hum naghma sara kuch ghazlon ke
hum sorat gar kuch khuabon ke

Be jazba-e-shouq kya?
Koi khawab na ho to batay kia

Be jazba-e-shouq kya?
Koi khawab na ho to batay kia

Koi Mehr nahi koi qehr nah
Phir sacha sher sunay kia

WO IshK jO hUm sE Ruth gYa
Ab uska haal batay kia

WO IshK jO hUm sE Ruth gYa
Ab uska haal batay kia

Wednesday, 30 April 2014

Sad Urdu Poetry

Sad Urdu Poetry

www.urdusadpoetry.com

Lafz Ki shakal main Aehsaas Likha Jaata He
Yani Garmi ko piyaas likha jaata he

Mery Jazbaat se waqif he Qalam Mera
Me Wafa Likhon To Tera Naam Likha Jata He
sad urdu poetry

Wo Kesy Log Thy


Wo kesy Log Thy Yarab Jinho ne paa liya tujh ko
Hamain to ho gya dushwar Ik Insaan Ka Milna
sad urdu poetry

Tumhara Naam


Tumhara naam likhny ki Ijazal Chin Gyi Jab Se
Koi Bhi Lafz Likhta hon to aankhain Bheeg Jati Hain
sad urdu poetry

Khayalon main agar aao


Khayalon main agar aao sambhal jata dill jaa main
Mery Ashkon K drya main meri Aahon k tofaan main

Me tum ko bhi bhula deta na hoty gr dill jaa main zaid
Mery Ashkon k drmiya main meri aahon k tofaan main
sad urdu poetry

Hum se bhi muhabaton ki numaish


Hum Se bhi Muhabaton ki numaish na ho saky gi
Bus itna jaanty hain k tujhy chahty hain Hum

Main Ik aansu hi shi


Main Ik aansu hi shi hon boht anmol magar
Yon Na Palkon se gira kar mujhy mati me Mila
sad urdu poetry

Shab Or Aks rukh yaar 


Shab Or Aks rukh yaar samny diwar
Phir Dill k aayny se laho photny laga

Phir wazy Ehtiyat se Dundla Gyi nazar
Phir zabt-e-Arzu Se badan Totny laga
sad urdu poetry

Han Yaad Aaya Usky 


Han Yaad Aaya Usky Aakhri Alfaz ye thy
Agar Ji Sako to Jee lena Wesy agar mar Jao To acha he
sad urdu poetry

Us Dor ki dunya se


Us Dor ki dunya se Guzar ku nahi jaaty
Ye log bhi kia log hain mar ku nahi jaty

He kon zamany main mera pochny wala
Nada hain jo kehty hian k ghr ku nahi jaty

Shely hian to ku in ko bhrkty nhi dekha
Hain Khak To rahon main bikhar ku nahi jaaty

Aansu bhi hain aankhon main duayin bhi hain lab par
Bigry hoy halat Sawar ku nahi jaaty
sad urdu poetry

Kuch Is Tarha Se 


Kuch is tarha seNazar Andaz Ho gye
Jesy Izafi Harf thy teri zindagi ki kitaab main
sad urdu poetry

Sukhy Paton ki tarha 


Sukhy paton ki tarha bikhry hain
Kisi Ne Sameeta bhi to sirf jalany k liye
sad urdu poetry

Wo mujh se bichar kar


Wo mujh se bichar kar ab tak roya nahi Ghaleb
Koi To he Humdard jo usy rony nahi deta
sad urdu poetry

Likhna To tha k khush hon


Likhna To tha k khush hon tery baghair bhi
Aansu Qalam se bhi pehly hi gir gye
sad urdu poetry

Shayed k tery haath pe


Shayed k tery haath pe likhta ho mera naam
To katibe taqder se darkhuast to karta
sad urdu poetry

Tumhari Aankh se dill tak


Tumhari Aankh se dill tak safar karna he bas hum ko
Ye ktni khubsurat manzilon ka rasta hoga
sad urdu poetry

Muhabat main Irada badal jana


Muhabat main irada badal jana Bhi mushkil he
Tumhain khona bhi mushkil he tumhain pana bhi Mushkel he

Udasi tery chry ki gawara bhi nahi Lekin
Tery khatir sitary tor k lana bhi mushkel he

Zara Si baat Py aankhain Bhigo k beth jay
Tumhain to apny dill ka haal batana bhi mushkel he
sad urdu poetry

Ab To Shayed Hi Mujh se


Ab To Shayed Hi Mujh se muhabat kary koi
Meri Aankhon main tum saf nazar aaty ho
sad urdu poetry

Ajeeb Halat hoti he


Ajeeb Halat hoti he Muhabat main is dill ki
Udaas jab bhi yaar ho qasur apna lagta he
sad urdu poetry

Sanson ki mohlat Kab Khatam ho jay


Sanson ki mohlat Kab Khatam ho jay Malum nahi
Dukh Koi Mila ho meri Zaat se to maaf kar dena
sad urdu poetry

Ab K bar Agar Wo mila to


Ab K bar Agar Wo mila to pochain ge us ki aankhon se
K kis ko aabaad kiya he hamain barbaad karny k bad
sad urdu poetry

Par Bhi Sakti he kabhi apni zarurat


Khud ko khoya to to ye bat kaha thi malom
Par Bhi Sakti he kabhi apni zarurat mujh ko
sad urdu poetry

Tujh Ko Nahi Ahsaas K


Tujh Ko Nahi Ahsaas K ae Dill Teri Khatr
Ik shaks bary kaam ka beqar hoa he
sad urdu poetry

K barish me mera ghar


Baat to such he magar dill manta hi nahi
K barish me mera ghar jala kesy

http://www.sadpoetry.org/















sad urdu poetry _bichhar jao magar sun lo NEW sad Gazal by MOHSIN BHATTI