Showing posts with label Mohsin Naqvi. Show all posts
Showing posts with label Mohsin Naqvi. Show all posts

Friday, 12 October 2012

Kabhi Jo Chair Gaye Yaad-e-Raftgaa'n Mohsin By Mohsin Naqvi


Kabhi jo chair gaye yaad-e-raftgaa'n Mohsin
Bikher gaye hain nighahien kahan kahan Mohsin

Hawa ne raakh urdaye to dil ko yaad aya
Ke jal bhujien mere khawab ki bastiyan Mohsin

Kuch aisay ghar bhi mile jin mein ghongtoon ke aewaz
Hoi hain dafn dupatoon mein larkiyan Mohsin

Khandar hai ahd-e-ghasta, na cho na chair ise
Khulien to band na hoon iski khirkiyan Mohsin

Bhujha hai kon sitara ke apni ankh ke sath
Hoye hain saray manzir dhuwan dhuwan Mohsin

Nahi ke us ne ghanwaye hain maah-o-saal apne
Tamam umer katti yoon bhi raigaa'n Mohsin

Mila to aur bhi taqseem ker gaya mujh ko
Smaitna thien jise meri kirchiyan Mohsin

Kahien se us ne bhi torda hai, khud se rabt-e-wafa
Kahien se bhool gaya mein dastaa'n Mohsin


By Mohsin Naqvi

Tuesday, 18 September 2012

Tuesday, 4 September 2012

Meri Mohabbat Ka Naam Kia Hai By Mohsin Naqvi


Yeah Khoob-roo log jinki ankhien
Tumharay ujle badan per chispa'n
Tumharay naqsh-e-qadm ki khushboo mein
Sabt aisay
Bhanwar mein jaisay hina ke pattay
Mein sochta hoon
Ke itni ankhoon ke dairoon mein
Meri Akeeli
Udas ankhoon ki
Hasiyat kia hai?
Meri Wafa ka muqam kia hai?
Meri mohabbat ka naam kia hai?

By Mosin Naqvi

Wednesday, 29 August 2012

Aaj Bhi Sham Udas Rahi By Mohsin Naqvi



Aaj bhi tapti dhoop ka sehra
Tere naram laboon ki shabnam
Saye se mehroom raha
Aaj bhi pathar hijer ka lamha, Sadiyoon se bekhawab rutoon ki
Ankhoon ka mehfoom raha
Aaj bhi apne wasal ka tara
Rakh urati shokh shafaq ki mazil se ma'doom raha
Aaj bhi shehar mein pagal dil ko
Teri deed ki Aas rahi
Mudat se ghum-sum tanhye, Aaj bhi mere pass rahi
Aaj bhi sham udas rahi

~!~ By Mohsin Naqvi ~!~

Tuesday, 25 October 2011

Ab yeah Sochoon to By Mohsin Naqvi



Ab yeah sochoon to bhanwar zahan mein par jatay hain
kaisay chehray hain jo milte hain bichar jatay hain

Kion tere durd ko dien tuhmat-e-weerani-e-dil?
Zalzaloon mein to bharay shehar ujar jatay hain

Mousam-e-durd mein ik dil ko bachaoon kaisay???
Taiz andhi mein to khaimay bhi ukhar jatay hain

Soch ka aaina dhundla ho to phir waqt ke sath
chand chehroon ke khad-o-khaal bigar jatay hain

Shidat-e-ghum mein bhi zinda hoon to hairat kaisi???
Kuch diye tund hawaoon se bhi larde jatay hain

Wo bhi kia log hain "Mohsin" jo wafa ki khatir
Khud Tarasheeda asooloon pe bhi urd jatay hain


Thursday, 13 October 2011

Yeah Dil Yeah Pagal Dil Mera By Mohsin Naqvi




Yeah Dil Yeah Pagal Dil Mera kion bujh gaya awargi
Is dasht mein ik shehar tha wo kia huwa awargi

Kal shab mujhe Be-shakal see awaz ne chunka diya
Mein ne kaha tu kon hai us ne kaha awargi

ik tu ke sadiyoon se mere humrah bhi humnawaz bhi
Ik mein ke tere naam se na-Ashna Awargi

Yeah durd ki tanhayian yeah dasht ka weeran safar
Hum log to ukta gay apni suna awargi

Ik ajnabi jhonkay ne jab poocha mere ghum ka sabab
Sehra ki tapti rait per mein ne likha awargi

Le ab to dasht-e-shab ki sari wastien sonay lagien
Ab jagna ho ga humien kab tuk bata awargi

Kal raat tanha chand ko dekha tha mein ne Khawab mein
"Mohsin" Mujhe raas aye gi shayad sada awargi