2 line shayari in hindi, urdu, and roman script | short shayari sms collection | Two lines poetry | sad poetry | love shayari updated collection.
Showing posts with label Urdu. Show all posts
Showing posts with label Urdu. Show all posts
Sunday, 22 November 2015
Saturday, 29 December 2012
Is Door Ka Insan By Mohsin Naqvi
Na Murawat,
Na Mohabbat,
Na Khaloos Hai Mohsin
Mein To Shirminda Hoon
Is Door Ka Insan Ho Ker
By Mohsin Naqvi
Tuesday, 23 October 2012
Haan Yeah Such Hai Ke Mujhe Tum Se Mohabbat Hai
Haan ! yeah such hai ke mujhe tum se mohabbat hai
Yeah bhi such hai ke mein tumhari chahat hoon
Per meri zindagi mein chahtoon ki kami to nahi
Rishte aur bhi hain sirf tum hi nahi
Apni zaat ke is pehloo se aaj milwaoon tumhien
Mein kia hoon, Kaisi hoon, Zara batlaoon tumhien
Mein apni maa'n ke tarbiyat mein dhala sancha hoon
Apne BABA ki umeedoon se pur ik khaka hoon
Apne bhai ki ghairat hoon janti hoon mein
Mujh se hi hai ghar ki izzat manti hoon mein
To behak jaoon mein yeah kabhi mumkin hi nahi!
Ke dil wo bhi rakhte hain
Sirf HUM TUM hi nahi!
Tuesday, 16 October 2012
Humdam Ke Liye Humdam Se Gay By Ameer Menai
Humdam ke liye humdam se gay, humdam ki qasam humdam na milla
Marham ke liye marham se gay, marham ki qasam marham na milla
By Ameer Menai
Friday, 12 October 2012
Kabhi Jo Chair Gaye Yaad-e-Raftgaa'n Mohsin By Mohsin Naqvi
Kabhi jo chair gaye yaad-e-raftgaa'n Mohsin
Bikher gaye hain nighahien kahan kahan Mohsin
Hawa ne raakh urdaye to dil ko yaad aya
Ke jal bhujien mere khawab ki bastiyan Mohsin
Kuch aisay ghar bhi mile jin mein ghongtoon ke aewaz
Hoi hain dafn dupatoon mein larkiyan Mohsin
Khandar hai ahd-e-ghasta, na cho na chair ise
Khulien to band na hoon iski khirkiyan Mohsin
Bhujha hai kon sitara ke apni ankh ke sath
Hoye hain saray manzir dhuwan dhuwan Mohsin
Nahi ke us ne ghanwaye hain maah-o-saal apne
Tamam umer katti yoon bhi raigaa'n Mohsin
Mila to aur bhi taqseem ker gaya mujh ko
Smaitna thien jise meri kirchiyan Mohsin
Kahien se us ne bhi torda hai, khud se rabt-e-wafa
Kahien se bhool gaya mein dastaa'n Mohsin
By Mohsin Naqvi
Wednesday, 10 October 2012
Sadaqat By Dr.Allama Muhammad Iqbal
Ho sadaqat ke liye jis dil mein marne ki tamanha
Pehle apne khaki mein jaan paida kere
By Dr.Allama Muhammad Iqbal
Saturday, 6 October 2012
Monday, 24 September 2012
Mera Naam Badal Dena
Aik lafz mohabbat hai, use ker ke dekho tum
Barbad na ho jaoo, to mera naam badal dena
Aik lafz muqadar hai, us se lard ke dekho tum
Haar na jaoo to mera naam badal dena
Aik lafz wafa hai, jo duniya mein nahi milti
Kahien se agar mil jaye to, mera naam badal dena
Aik lafz ansoo hai, use dil mein chupa ker dekho tum
Ankhoon se na beh jaye to, mera naam badal dena
Aik lafz judai hai, use seh ker dekho tum
Toot ker na bikher jaoo to, mera naam badal dena
Friday, 21 September 2012
Safar-e-Ishq
"Safar-e-Ishq"
"Maa'n"
Meri ankhoon se.....
Mut pocho....
Karab ke sumandar ka
Bikherna hai kaisa
Bachpan mein jo sekhaya tha
Guriya ko sajana
Rait se gharwanday banana
Sabar ki char-deewari se
Ansoon se pyar ghondna
Maa'n sab janti ho tum
Meri ankhoon se....
Mut pochoo...
Tuesday, 18 September 2012
Pehli Nazar Ki Qaid By Mohsin Naqvi
Ik bar aur dekh ker azad ker de mujhe "Mohsin"
Ke mein aaj bhi teri pehli nazar ki qaid mein hoon
By Mohsin Naqvi
Friday, 14 September 2012
Saturday, 8 September 2012
Kanwara - Funny Urdu Poetry
Dobte ko tinke ka sahara chaye..........
Shadi ke liye bas, Ama'n ka Ishara Chaye
Hazar nuqs nikalti hai larki ke chehre mein
Koi in se pocho! kia sitara chaye .............
Char suitoon se baat nahi banay gi
Sath mein ik khatara chaye...........
Buhat samjhaya ke larki hai yahi behter
Mujhe bhi to ghunahoon ka kufara chaye
Ama'n kehti hai, Lagaoo kia moul lagatay ho
Aur le jaoo agar larka humara chaye............
Her rate mein milte hain, kahiye kia lijye ga
Dulha, Shadi Shuda, Ya'n Kanwara Chaye?
Payment ker ke kal ko tum bhi keh sako gay
Ab to humien damad, humara sara chaye .....
Tum bhi sun lo larki walo! yeah dasta'n
Phir na kehna humien interview dobara chaye
Ab to rah-ghuzar mein aa ke per gaya hoon
Le chaloo jisko yeah bechara chaye............
Kion dekhaye larki waloon ko itni sharafat "Faisal"
Wo kehte hain ke humien larka thorda awara chaye
Tuesday, 4 September 2012
Meri Mohabbat Ka Naam Kia Hai By Mohsin Naqvi
Yeah Khoob-roo log jinki ankhien
Tumharay ujle badan per chispa'n
Tumharay naqsh-e-qadm ki khushboo mein
Sabt aisay
Bhanwar mein jaisay hina ke pattay
Mein sochta hoon
Ke itni ankhoon ke dairoon mein
Meri Akeeli
Udas ankhoon ki
Hasiyat kia hai?
Meri Wafa ka muqam kia hai?
Meri mohabbat ka naam kia hai?
By Mosin Naqvi
Saturday, 1 September 2012
Yaaran Naal Hisab Nai Honde - Baba Bulleh Shah
Pathar zehan gulab nai honde
koray warq kitab nai honde
jay ker laye yaari bhulehaya
fir yaaran naal hisab nai honde
By Baba Bulleh Shah
Wednesday, 29 August 2012
Aaj Bhi Sham Udas Rahi By Mohsin Naqvi
Aaj bhi tapti dhoop ka sehra
Tere naram laboon ki shabnam
Saye se mehroom raha
Aaj bhi pathar hijer ka lamha, Sadiyoon se bekhawab rutoon ki
Ankhoon ka mehfoom raha
Aaj bhi apne wasal ka tara
Rakh urati shokh shafaq ki mazil se ma'doom raha
Aaj bhi shehar mein pagal dil ko
Teri deed ki Aas rahi
Mudat se ghum-sum tanhye, Aaj bhi mere pass rahi
Aaj bhi sham udas rahi
~!~ By Mohsin Naqvi ~!~
Thursday, 10 May 2012
Suno - Urdu Nazam
Suno!
Ab kuch dinoon se haal aisa hai
Koi kitni bhi zilat de
Koi jitni raonut se humien ronday
Bura bilkul nahi lagta
Gilla koi nahi hota
Sakoo'n mehsoos hota
Dua lab se nikalti hai
Monday, 23 January 2012
Tumhien Hum Yaad Kerte Hain
Yeah hum tasleem kerte hain
Tumhien Fursat nahi milti
Humaray waste tumko
Koi sayat nahi milti
Humari soch ke mehwar
Kabhi ik pal to socho tum
Tumhien hum yaad kerte hain
Aur itna yaad kerte hain
Ke khud ko bhool jatay hain
Wednesday, 4 January 2012
Hawa...!
Hawa....!
Tum janti ho sab
Ke mein ne raat ke pichle pehar
chupke se sari dastaan tum ko sunaye thi
Tumhien to yaad hi ho ga
Tabhi...
Jab ashk meri baat ke raste mein hayal the
Tabhi...
Jab lafz mere durd ki shidat se ghayal the
Meri sochien
Jab uski chaap ke peechay gaien thien to
Hawa tum ne hi mera bheegta pallo sukhaya tha
Hawa tum sun rahi thien na ke jab us ne kaha tha
Muntazar rehna mein Aoon ga
Hawa... Tum to gawa ho ke tan se ab talak
in rastoon se
Meri ankhoon ke diye bhujnay nahi paye
Hawa tum to usi ke rastoon se ho ke aye ho
Hawa....!
Wo aa raha tha na?
Hawa....!
Saturday, 3 December 2011
Na the Kuch To Khuda Tha By Mirza Ghalib
Na tha kuch to Khuda tha, Kuch na hota to Khuda hota
Daboya mujhko hone ne na hota mein to kia hota
Huwa jab gham se youn behis to ghum kia sir katnay ka
Na hota gar juda tan se to zanoon per dhara hota
Hoi mudat ke ghalib mar gaya per yaad ata hai
Wo her baat per kehna ke youn hota to kia hota
Friday, 18 November 2011
Aye Mere Dost - (Nazm)
Aye mere dost
Safar ka kaam hai katna
kat hi jaye ga
Waqt ka kaam hai ghuzrna
ghuzar hi jaye ga
magr rastoon per urti dhool
Mazi per pardnay na dena
apni yaad ke mehwar se
Mujhe nikalne na dena
Aye mere dost
Khwaboon ka dais
banana zaroor
magar haqeeqat ka sath
nibhana zaroor
Kal (anay wala) ke liye
Apna aaj barbad na kerna
Kisi ka dil torde ker
Apna ghar abad na kerna
Aye mere dost
Lakh badlay zamana taiwar
Tum kabhi na badlna
Aaj to mein tumharay sath hoon
Mujhe tum kal bhi yaad rakhna
apni yaad mein kahien
mera bhi makan rakhna
Apne ahad aefa kerna
Apne peeman yaad rakhna
Subscribe to:
Posts (Atom)