Showing posts with label Dost. Show all posts
Showing posts with label Dost. Show all posts

Monday, 6 January 2014

Lutf wo ishq mein paye hain ki jee janata hai




Lutf wo ishq mein paye hain ki jee janata hai
ranj bhi itane uthaye hain kio jee janata hai

jo zamane ke sitam hain wo zamana jane
tune dil itane dukhaye hain ki jee janata hai

tum nahi janate ab tak ye tumhare andaz
wo mere dil mein samaye hain ki jee janata hai

inhin qadmon ne tumhare inhin qadmon ke qasam
khak mein itane milaye hain ki jee janata hai

dosti mein teri daraparda hamare dushman
is qadar apne paraye hain ki jee janata hai


Na shab-o-roz hi badle hain na haal acha hai



na shab-o-roz hi badle hain na haal acha hai 
kis barhaman ne kaha tha k ye saal acha hai 

hum k dono ke giriftar rahe, jante hain 
daam duniya se kahin zulf ka jaal acha hai 

main ne poocha tha k akhir ye taghafil kab tak? 
muskurate huwe bole k sawaal acha hai 

dil na mane bhi to aisa hai k gahe gahe 
yar-e-be faiz se halka saa malaal acha hai 

lazatain qurb-o-judai ki hain apni apni 
mustaqil hijar hi acha na wasaal acha hai 

rahwan-e-rah-e-ulfat ka muqadar maloom 
in ka aaghaz hi acha na maal caha hai 

dosto apni jaga par ye haqeeqat hai faraz 
teri ghazlon se kahin tera ghazaal acha hai


Sunday, 5 January 2014

Jab Tera Dard Myrey Sath Wafa Karta Hae

Jab Tera Dard Myrey Sath Wafa Karta Hae
Ek Samandar Myri Aankhon Se Baha Karta Hae

Uss Ki Batain Mujey Khushbu Ki Tarah Lagti Hain
Phool Jaisey Koi Sehra Main Khila Karta Hae

Myrey Dost Ki Pehchan Yahi Kaafi Hae
Woh Har Ek Shakhs Ko Daanista Khafa Karta Hae

Aur Tu Koi Sabab Uss Ki Muhabbat Ka Nahi
Baat Itni Hae Kay Woh Muj Se Jafa Karta Hae

Jub Khizan Aai Tu Laut Aaye Ga Woh Bhi Faraz
Woh Baharon Main Zara Kum Mila Karta Hae 

Thursday, 2 January 2014

Is se pahale ke bewafa ho jayein

Is se pahale ke bewafa ho jayein 
kyon na aye dost ham juda ho jayein 

tu bhi heere se ban gayaa patthar 
ham bhi kal kya se kya ho jayein 

ham bhi majaburiyion ka uzr karein 
aur kahein aur mubtala ho jayein 

ishq bhi khel hai nasibo'n kaa 
Khaak ho jaayein kimiyaa ho jayein

ab ke gar tu mile to ham tujh se 
aise Lipatein teri qabaa ho jayein 

bandagi ham ne chor di hai 'Faraz'
kya karei'n log jab Khudaa ho jayein 


Friday, 18 November 2011

Aye Mere Dost - (Nazm)



Aye mere dost
Safar ka kaam hai katna
kat hi jaye ga
Waqt ka kaam hai ghuzrna
ghuzar hi jaye ga
magr rastoon per urti dhool
Mazi per pardnay na dena
apni yaad ke mehwar se
Mujhe nikalne na dena

Aye mere dost
Khwaboon ka dais
banana zaroor
magar haqeeqat ka sath
nibhana zaroor
Kal (anay wala) ke liye
Apna aaj barbad na kerna
Kisi ka dil torde ker
Apna ghar abad na kerna

Aye mere dost
Lakh badlay zamana taiwar
Tum kabhi na badlna
Aaj to mein tumharay sath hoon
Mujhe tum kal bhi yaad rakhna
apni yaad mein kahien
mera bhi makan rakhna
Apne ahad aefa kerna
Apne peeman yaad rakhna