Showing posts with label Mohabat. Show all posts
Showing posts with label Mohabat. Show all posts

Tuesday, 15 April 2014

Main Nafraton k jahan mein reh kar, juda rahon ga to kia karonga

Main Nafraton k jahan mein reh kar, juda rahon ga to kia karonga?
Ye theek kehte ho bewafa hon, wafa karon ga to kia karonga?


Bas aik tu hi reh gia ha, jahan sara to kho chuka hon
Tujhe bhi apni ana mein aa kar khafa karon ga to kia karonga?


Hazar sajdey to kar chuka hon qaza tumhari mohabbat mein
Main ab dikhawey ka koi sajda ada karon ga to kia karonga?


Baghair pani k koi machhli bhala kabhi reh saki ha zinda
Main tujh ko kho kar, kisi ka ho kar, bata karon ga to kia karonga

Saturday, 22 March 2014

Ab muhabbat ki wakalat nai ki ja sakti

Ab muhabbat ki wakalat nai ki ja sakti
shehr bhr sy to adawat nai ki ja sakti

mera chehra meri ankhien hain salamat ab b
kon kehta hai wazahat nai ki ja sakti

baat ye hai k koi toot k chahey to sahi
hr kisi sy to muhabbat nai ki ja sakti

aankh kehti hai kahin or chaley jayen hm..
dil ye kehta hai k hijrat nai ki ja sakti

loh-e-dil pr yehi tehreer likhi hai “wasi”
ishq walon ko naseehat nhi ki ja sakti.

Ik Taza Hikayat Hai

Ik Taza Hikayat Hai
Sunlo Tu Inayat Hai

Ek Shakhs Ko Dekha Tha
Taron Ki Tarah Hm Nay

Ek Shakhs Ko Chaha Tha
Apnon Ki Tarah Hm Nay

Ek Shakhs Ko Samjha Tha
Phoolon Ki Tarah Hm Nay

Wo Shakhs Qiamat Tha
Kia Uski Krain Baatain

Din Us K Lya Paida
Aur Us Ki Hi Thin Raatain

Kb Milta Kisi Se Tha
Hum Se Thin Mulakatain

Rang Uska Shahabi Tha
Zulfon Ma Thin Mahkarain

Aankhain Thin K Jadu Tha
Palkain Thin K Talwarain

Dushman Bhi Agar Dakhay
So Jaan Se Dil Haray

Kuch Tm Se Wo Milta Tha
Baton Ma Shabahat Thi

Haan Tum Sa Hi Lagta Tha
Shokhi Main Shararat Main

Lagta Bhi Tumhi Sa Tha
Dastoor E Muhabat Main

Wo Shakhs Hmain Ik Din
Apno Ki Tarah Bhola

Taron Ki Tarah Dooba
Phoolon Ki Tarah Toota

Phir Haath Na Aaya Wo
Hum Nay Buhat Dhoonda

Tum Kis Lya Chonkay Ho
Tum Kis Lya Chonkay Ho

Kb Zikr Tumhara Hai
Kb Tum Se Takaza Hai

Kb Tum Se Shikayat Hai
Ik Taza Hikayat Hai

Sun Lo Tu Inayat Hai
Ek Shakhs Ko Dakha Tha

Taroon Ki Tarah Hm Nay
Ek Shakhs Ko Chaha Tha
Apnon Ki Tarha Hm Nay

Wo Tum Na Thay Ek Khayal Tha


Wo Tum Na Thay Ek Khayal Tha

Meri Soch Ka Hee Kamal Tha

WO Mohabbaten, Wo Chahaten

WO Uljhanon Ka Hee Jall Tha

Meray Dil Men Theen Jo Ronaqen

WO Tera Hee Husn-o-Jamal Tha

Jawab Jis Ka Mila Nahee

Wo Aisa He Ek Sawal Tha

Wo Aaj Mila To Yun Laga

Yehi To Hai Jis Ka Intazar Tha

Usay Yad Kesay Na Karey Koyee

Ussay Bhoolna To Muhal Tha

Ab Us Kee Men Kya Misal Dun

Wo Khud Apni Misal Aap Thay

Kuch din Say teray Sath koi baat nahi hai,


Kuch din Say teray Sath koi baat nahi hai,
Yoon lagta hay Sadio'n Say Mulaqat nahi hay

Dukh dard Sunao mujhay har baat batao.
Ye dil ki khuwahish hay meri baat nahi hay,

Jab yad teri aye to aa jatay hain aansu.
Main kaysay kahu aankh may Barsaat nahi hay,

Sookhay huway kuch phool hain or ashk hain taaza,
Kuch or meray paas to Söghaat nahi hay,

Waaqif hay meray dard Say Subho ka ujaala.
Laa-ilm meray gham Say meri raat nahi hay,

Main jis kì Mohbat may yoon be-haal hoon ab tak.
Wo hans k ye kehta hay "Koi baat nahi hay".

Friday, 14 March 2014

Mujh Se Kehta Hy Kabhi DiL Mein Malaal Aatay Hain

Mujh Se Kehta Hy Kabhi DiL Mein Malaal Aatay Hain?
Kaisy Kaisy Mere Dushman Ko Sawal Aatay Hain

Ye Jo Hum Rotay Hain Chup Kr Kabi Tanhai Mein
Rafta Rafta Tujy Aankhon se Nikaal Aatay Hain

Hum Mohabat Pe B Ehsaan Koi Rakhty Nahi
Naikiyan Krty Hain Daryaao'n Mein Daal Aatay Hain

Ye To Saanso'n K Ukharr Janay K Din Hain
Aisay Mousam Mein Kahan Jaah-o-Jalaal Aatay Hain

Bas Esi Khouf Se Soye Nahi Ek Muddat Se
Hijar Milta Hy Agr Khawaab Wisaal Aatay Hain

Phool Khil Jaen To 0s Shakhs Se Km Km Milna
Aisay Mousam Mein Mohabat Pe Zawaal Aatay Hain


Tujhe jo Maloom hotay Wafa k Rasm-o-Rawaj Saaray



Tujhe jo Maloom hotay 
Wafa k Rasm-o-Rawaj Saaray..

Mohabaton Main Hamara Qissa 
Misal hota, Kamaal Hota,,,


Sunday, 23 February 2014

Uski Mohabat ne Cheen Li Hian Mujh se Sharartain Meri



Uski Mohabat ne Cheen Li Hian Mujh se Sharartain Meri

Aur Log Samajthe Hain k Bohat Sulajh Gaye hain Hum.

Pass hote to koi shararat karte


Pass hote to koi shararat karte.. 
Tujhe lekar bahon mein mohabbat karte… 

Dekhta teri aankhon mein neend ka khumar… 
Apni khoi hoi needon ki shikayat karte… 

Teri aankhon mein apna aks dhondte… 
Khud se bhi ziyada tujhe chaha karte… 

Ek dil hi thaw o bhi tere pass hai…. 
Raat bhar jag ke kis ki hifazat karte? 

Mere mazhab mein shirk haraam hai…. 
Warna 
Dil-o-jaan 
Se teri ebadat karte

Shak to Tha k Mohabat Main Khasare honge



Shak to Tha k Mohabat Main Khasare honge..

Yakeen na Tha k Saare he Hamare honge...


Saturday, 22 February 2014

Yaad Rakhte hain Hum Aaj bhi Unhain Pehle ki Trah



Yaad Rakhte hain Hum Aaj bhi Unhain Pehle ki Trah

Kon kehta ha Fasly Mohabat ki Yaad Mita dete hain...

Friday, 14 February 2014

Log kehte hain ke Mohabat ik baar hoti ha



Log kehte hain ke Mohabat ik baar hoti ha

Main jab jab dekhon mujhe har baar hoti ha 

Thursday, 6 February 2014

Wo kisi aur ka hoga to qayamat hogi



Wo kisi aur ka hoga to qayamat hogi
Phir na kisi ko kisi sey mohabbat hogi
Usey deakhay koi mujhay acha nhe lagta
Is sey barh kar bhe koi mohabbat hogi
Chand ko deakha to yeh ehsas howa
Wo akela hai usey meri zarorat hogi
Aey chand us ko kisi aur ka na honay dena
Warna zindagi bhar phir mujhay shikayat hogi


Tuesday, 21 January 2014

Kinara kr k rishto'n se Wafain haar k saari



Kinara kr k rishto'n se  Wafain haar k saari

Mohabat ki Haqeeqat ko jo ab samjhe to kia samjhe


Sunday, 19 January 2014

Sookhy huye kuch phool hen, aur ashak hen tazaa





Kuch din sy tery saath, koi baat nahi hy..! 
Yun lagta hy sadiyoon sy, mulaqat nahi hy..! 

Dukh dard sunaao mujhy, har baat bataao..! 

Ye dil ki khawahish hy, meri baat nahi hy..! 


Jab yaad teri aaye to, aa jaaty hen aansu..! 

Men kesy kahoon, aankh men barsaat nahi hy..? 



Sookhy huye kuch phool hen, aur ashak hen tazaa..! 

Kuch aur mery paas to, saughat nahi hy..! 



Waqif hy mery dard sy, sub'ha ka ujalaa..! 

La'ilm mery gham sy, meri raat nahi hy..! 



Men jiss ki muhabbat men, yun be'haal hon. 

Wo hanss k ye kehta hy, koi baat nahi hy




Wednesday, 15 January 2014

Haq Meri Mohabbat ka Ada Q Nhi Krty,




Haq Meri Mohabbat ka Ada Q Nhi Krty,
Tum Dard To Dety Ho Dawa Q Nhi Krty,

Q Behtay Ho Khamosh Si Rah Me Meray Agay,
Na Ro Mery Mrny Ki Dua Q Nhi Krty,

Phoolon Ki Tarah Jism He Pathr Ki Tarah Dil,
Mery Haseen Sajan Wafa Q Nhi Krty,


Aankhon Ki Adalt Se Bari Kr To Dia He,
Afsos Meri Jan Reha Q Ni Krty,


Tm Dard To Dety Ho Dawa Q Ni Krty,
Haq Meri Mhbt Ka Ada Q Nhi Krty……..


Tuesday, 14 January 2014

Tum Ne To Keh Diya Ke Muhabbat Nahi Mili





Tum Ne To Keh Diya Ke Muhabbat Nahi Mili

Mujh Ko To Ye Bhi Kehney Ki Mohlat Nahi Mili

Neendoon Ke Des Jatey Koi Khawab Dekhtey

Lakin Diya Jalaney Se Fursat Nahi Mili

Tujh Ko To Shehar Ke Logoon Ka Khauff Tha

Aur Mujh Ko Apne Ghar Se Ijazat Nahi Mili

Phir Ikhtilaf-e-Raye Ki Soorat Nikal Pari

Apni Yahan Kisi Se Bhi Aadat Nahi Mili

Be Zaar Yun Hue Ke Tere Ehad Mein Hame

Sab Kuch Mila Sukoon Ki Dolat Nahi Mili.



Sulagti Talkh baaton se bare be-dard Hatho'n se




Sulagti Talkh baaton se bare be-dard Hatho'n se

Lo dekho haar di tum ne, Mohabat maar di tum ne..... 

Husn Ki Jheel Ho Tum aor Kinaray Hain Yeh Hont





Husn Ki Jheel Ho Tum aor Kinaray Hain Yeh Hont.

Sach To Ye Hai K Mujhy Jaan Se Piaray Hain Ye Hont.

Mainy Hr Bar Mohabat Sy Inhain Chooma Hy.

Us Ny Hr Bar Mohabat Sy Obharay Hain Yeh Hont.

Haath Honto Py Mery Rkh K Mujhy Kehny Lgy.

Rokeay In Ko, Boht Shoq K Maary Hain Yeh Hont.

Band Hoty Hain Yeh Inkar Ki Soorat Mai Mgr.

Adh Khilay Hon To Mohabat K Isharay Hain Yeh Hont.

Aj Khud Apny Muqadar Py Mujhy Rashk Aya.

Aj Honto Mai Mery Us Ny Otaray Hain Yeh Hont.

Choom Kr Hont Mery Us Ny Kaha tha ye “QATEEL”

Bas Tumhary Hain,Tumhary Hain,Tumhary Hain Yeh Hont



Thursday, 9 January 2014

Wo bakashta hai gunah-e-azeem bhi lekin




Wo bakashta hai gunah-e-azeem bhi lekin,
hamari choti si neki sambhal rakhta hai.....

hum usse bhool jate hain roshni me,
wo andheron men bhi hamara khayal rakhta hai...

Jab kabhi der se loutun to meri maa ki tarah,
wo mere rizq ka hissa nikaal rakhta hai...

Gharon me jin ke diya bhi nahi hai lekin,
un k liye fiza me chand taare uchaal rakhta hai...

Mohabbat apne bando se kamal rakhta hai...
Wo Sirf Allah hai jo hum sab ka khayal rakhta hai