Showing posts with label Dil. Show all posts
Showing posts with label Dil. Show all posts

Tuesday, 7 October 2014

Jinhain Bhulane main Yaaro Bare Zamane lage

Jinhain Bhulane main Yaaro Bare Zamane lage

Jo Dil dukha to wohi log Yaad Aane lage

Tuesday, 8 April 2014

Saturday, 22 March 2014

Ab muhabbat ki wakalat nai ki ja sakti

Ab muhabbat ki wakalat nai ki ja sakti
shehr bhr sy to adawat nai ki ja sakti

mera chehra meri ankhien hain salamat ab b
kon kehta hai wazahat nai ki ja sakti

baat ye hai k koi toot k chahey to sahi
hr kisi sy to muhabbat nai ki ja sakti

aankh kehti hai kahin or chaley jayen hm..
dil ye kehta hai k hijrat nai ki ja sakti

loh-e-dil pr yehi tehreer likhi hai “wasi”
ishq walon ko naseehat nhi ki ja sakti.

Ik Taza Hikayat Hai

Ik Taza Hikayat Hai
Sunlo Tu Inayat Hai

Ek Shakhs Ko Dekha Tha
Taron Ki Tarah Hm Nay

Ek Shakhs Ko Chaha Tha
Apnon Ki Tarah Hm Nay

Ek Shakhs Ko Samjha Tha
Phoolon Ki Tarah Hm Nay

Wo Shakhs Qiamat Tha
Kia Uski Krain Baatain

Din Us K Lya Paida
Aur Us Ki Hi Thin Raatain

Kb Milta Kisi Se Tha
Hum Se Thin Mulakatain

Rang Uska Shahabi Tha
Zulfon Ma Thin Mahkarain

Aankhain Thin K Jadu Tha
Palkain Thin K Talwarain

Dushman Bhi Agar Dakhay
So Jaan Se Dil Haray

Kuch Tm Se Wo Milta Tha
Baton Ma Shabahat Thi

Haan Tum Sa Hi Lagta Tha
Shokhi Main Shararat Main

Lagta Bhi Tumhi Sa Tha
Dastoor E Muhabat Main

Wo Shakhs Hmain Ik Din
Apno Ki Tarah Bhola

Taron Ki Tarah Dooba
Phoolon Ki Tarah Toota

Phir Haath Na Aaya Wo
Hum Nay Buhat Dhoonda

Tum Kis Lya Chonkay Ho
Tum Kis Lya Chonkay Ho

Kb Zikr Tumhara Hai
Kb Tum Se Takaza Hai

Kb Tum Se Shikayat Hai
Ik Taza Hikayat Hai

Sun Lo Tu Inayat Hai
Ek Shakhs Ko Dakha Tha

Taroon Ki Tarah Hm Nay
Ek Shakhs Ko Chaha Tha
Apnon Ki Tarha Hm Nay

Wo Tum Na Thay Ek Khayal Tha


Wo Tum Na Thay Ek Khayal Tha

Meri Soch Ka Hee Kamal Tha

WO Mohabbaten, Wo Chahaten

WO Uljhanon Ka Hee Jall Tha

Meray Dil Men Theen Jo Ronaqen

WO Tera Hee Husn-o-Jamal Tha

Jawab Jis Ka Mila Nahee

Wo Aisa He Ek Sawal Tha

Wo Aaj Mila To Yun Laga

Yehi To Hai Jis Ka Intazar Tha

Usay Yad Kesay Na Karey Koyee

Ussay Bhoolna To Muhal Tha

Ab Us Kee Men Kya Misal Dun

Wo Khud Apni Misal Aap Thay

Kuch din Say teray Sath koi baat nahi hai,


Kuch din Say teray Sath koi baat nahi hai,
Yoon lagta hay Sadio'n Say Mulaqat nahi hay

Dukh dard Sunao mujhay har baat batao.
Ye dil ki khuwahish hay meri baat nahi hay,

Jab yad teri aye to aa jatay hain aansu.
Main kaysay kahu aankh may Barsaat nahi hay,

Sookhay huway kuch phool hain or ashk hain taaza,
Kuch or meray paas to Söghaat nahi hay,

Waaqif hay meray dard Say Subho ka ujaala.
Laa-ilm meray gham Say meri raat nahi hay,

Main jis kì Mohbat may yoon be-haal hoon ab tak.
Wo hans k ye kehta hay "Koi baat nahi hay".

Koi Sune ga To Kya Kahega


Kisi ki khatir Qaraar Khona,
Koi Sune ga To Kya Kahega?
Tumhara Raaton Ko Uth K Rona,
Koi Sune ga To Kya Kahe ga?

Zamaana Ehd-E-Shabab Ka hy,
Naye Khayaal-O-Khwaab Ka hy.
Ye Shab-Bedari, ye din ka sona,
Koi Sune ga To Kya Kahe ga?

Bhanwar Me Tum Mujhko chor aaty,
yoonhi Mohabbat Ka Raaz rehta,
Ye Laa Ky Sahil Py yoon Dubona,
Koi Sune ga To Kya Kahe ga?

Kaha ye men ny daro KHUDA sy,
hamary dil ko dukha rahy ho.
Wo hans ky boly "Chup raho na",
Koi Sune ga To Kya Kahega...!

Woh log hi qadmon se zameen chheen rahy hen


Woh log hi qadmon se zameen chheen rahy hen
Jo log meray qadd ky baraabar naheen aatay

IK "Tum" ky Tumhare liye Main bhi' Meri jaan bhi.
IK Main' ky Mujhe Tum bhi muyassar naheen atay.

Jis shaan se LOtey hen ganwa kar Dil-o-jaan Hum
Es taur to Haarey huwey Lashkar naheen atay.

Koi to khabar laaye Merey Dushmn-e-Jaan ki
Kuch Din se Meray sehn men Pathar naheen atay.

Dil Bhi koi Aasaib ki Nagri hay ky 'MOHSIN'.
Jo is se nikal jatey hain murr kar naheen atay..

Zameer Soorat-E-Badr-E-Muneer Rakhtay Hain


Zameer Soorat-E-Badr-E-Muneer Rakhtay Hain
Yeh Ek Siffatt Tau Yaqeenan Faqeer Rakhtay Hain

Aggar Mizaaj Tera Mujh Say MiL Nahien Sakta
Teray KheyaL Mujhay Kiyoon Aseer Rakhtay Hain

Barri Khushi Say Humein Loot Lo Pari-Zaado
Keh Hum Mataa-E-Mohabbatt Kaseer Rakhtay Hain

Beghair Ess Kay Na Jaaye Gi Badd-Zani Un Ki
Hum Aaj Apnay KaLejay Ko Cheer Rakhtay Hain

Tawaan-Gari Ka Tau DiL Hi Say Waastah Hai Addam
Kushadah-Zarf Bahut Kamm Ameer Rakhtay Hain

Nazar se nazar tum milane se pehly


Nazar se nazar tum milane se pehly
Zara soch lo dil lagaane se pehly

Zara us k dil main bhi tum jhaank lena
Use raaz dil ka bataane se pehly

Main ye janta hun meri zindgi mein
Koi gham na tha tere aane se pehly

Bohat roya ho ga wo apni khata par
Saza muj ko gham ki sunane se pehly

KHUDA rooth jata he ye soch lena
Kisi dil ko itna dukhane se pehly

Kahin jal na jao khud is aag main tum
Kisi aur ka ghar jalaane se pehle

Qunj-e-Hairat Se Chalay Dasht-e-Ziyan Tak Laye

Qunj-e-Hairat Se Chalay Dasht-e-Ziyan Tak Laye
Kon La Sakta Hy Ham Dil Ko Jahan Tak Laye

Aik Hangama Bapa Hy Pas-e-Diwaar-e-Badan
Hy Kisy Taab-e-Sukhan, Kon Zuban Tak Laye

Thek Hy Chashm-e-Taghaful Ye Teri Dein Sahi
Taab Zakhmon Ki Mgr Koi Kahan Tak Laye

Aankh Weeran Thi Kisi Dasht-e-Tapan Ki Surat
Hum isy Silsla-e-Aab-e-Rawan Tak Laye

Tujh Ko Jo Chahiye Be Khof-o-Khatar Le Ja tu
MéeR Kafir Ho Jo is Dil Me Gumaan Tak Laye.

Friday, 14 March 2014

Mujh Se Kehta Hy Kabhi DiL Mein Malaal Aatay Hain

Mujh Se Kehta Hy Kabhi DiL Mein Malaal Aatay Hain?
Kaisy Kaisy Mere Dushman Ko Sawal Aatay Hain

Ye Jo Hum Rotay Hain Chup Kr Kabi Tanhai Mein
Rafta Rafta Tujy Aankhon se Nikaal Aatay Hain

Hum Mohabat Pe B Ehsaan Koi Rakhty Nahi
Naikiyan Krty Hain Daryaao'n Mein Daal Aatay Hain

Ye To Saanso'n K Ukharr Janay K Din Hain
Aisay Mousam Mein Kahan Jaah-o-Jalaal Aatay Hain

Bas Esi Khouf Se Soye Nahi Ek Muddat Se
Hijar Milta Hy Agr Khawaab Wisaal Aatay Hain

Phool Khil Jaen To 0s Shakhs Se Km Km Milna
Aisay Mousam Mein Mohabat Pe Zawaal Aatay Hain


Kitni Dil kash ha Khamoshi uski



Kitni Dil kash ha Khamoshi uski

Sari Baatain Fazool hon Jesay...


Sunday, 23 February 2014

Pass hote to koi shararat karte


Pass hote to koi shararat karte.. 
Tujhe lekar bahon mein mohabbat karte… 

Dekhta teri aankhon mein neend ka khumar… 
Apni khoi hoi needon ki shikayat karte… 

Teri aankhon mein apna aks dhondte… 
Khud se bhi ziyada tujhe chaha karte… 

Ek dil hi thaw o bhi tere pass hai…. 
Raat bhar jag ke kis ki hifazat karte? 

Mere mazhab mein shirk haraam hai…. 
Warna 
Dil-o-jaan 
Se teri ebadat karte

HUM CHHORH CHALE HAIN MEHFIL KO




HUM CHHODH CHALE HAIN MEHFIL KO 

YAAD AAYEN KABHI TO MAT RONA
ISS DIL KO TASALLI DE DENA
GHABRAYE KABHI TO MAT RONA 
HUM CHHORH CHALE...

EK KHWAB SA DEKHA THA HUMNE
JAB AANKH KHULI TO TOOT GAYA
YEH PYAAR TUMHE SAPNA BANKAR
TARPAYE KABHI TO MAT RONA
HUM CHHORH CHALE...

TUM MERE KHAYALON MEIN KHOKAR
BARBAD NA KARNA JEEVAN KO
JAB KOI SAHELI BAAT TUMHE
SAMJHAYE KABHI TO MAT RONA
HUM CHHORH CHALE...

JEEVAN KE SAFAR MEIN TANHAI
MUJHKO TO NA ZINDA CHHORHEGI
MARNE KI KHABAR AYE JAANE JIGAR
MIL JAYE KABHI TO MAT RONA
HUM CHHORH CHALE...


Saturday, 22 February 2014

Ik Ye Khuwahish k koi Zakham na Dekhe Dil k





Ik Ye Khuwahish k koi Zakham na Dekhe Dil k
Ik ye Hasrat k koi Dekhne wala Hota....

Tuesday, 18 February 2014

Mere Dil ki Tasali k liye Fakat itna kafi ha



Mere Dil ki Tasali k liye Fakat itna kafi ha 

Hawa jo Tum ko Chooti ha Main usme saans Leta hon..


Friday, 14 February 2014

Door tujhse guzri har ghari likh raha hon




Door tujhse guzri har ghari likh raha hon

Jo beeta hai Mujh par wo sabhi kuch likh raha hon


Tu ne ghamo'n mein uljhaya hai bohat
Main naam Tere apni har khushi likh raha hon

Ye umar bhar ka bandhan hai do char din ka sath nahi
Dil mein jitni hai chahat sabhi kuch likh raha hon

Karo meri baat ka yaqeen agar karte ho
Main tere liye jo kuch bhi hon abhi likh raha hon

Nahi kami kisi lafz ki is mein
Main faqat apni ghazal meinn teri kami likh raha hon

Shayad tujhe Mera Acha na lage Naam
Main tere liye khud ko Ajnabi likh raha hon


Sunday, 9 February 2014

Apne hathon se yoon chehre ko chhupate kiun ho




Apne hathon se yoon chehre ko chhupate kiun ho,

Muj se shrmate ho to saamne aate kiun ho.


Tm kbhi mri tarha kar bhi lo iqrar-e-wafa,
Pyar krte ho to phr pyar chupate kiun ho.

Ashk aankhon me meri dekh k rote kiun ho,
Dil bhr aata hai to phr dil ko dhukate kiun ho.

Un se wabsta hai jb mera muqadr phr tm,
Mere shano se ye zulf apni hatate kiun ho

Roz mar mar ke mujhe jeene ko kahte kyon ho, 
milne aate ho to phir laut ke jaate kyon ho ...



Monday, 3 February 2014

Haal-e-Dil Sun Sako Agar Apna



Haal-e-Dil Sun Sako Agar Apna
Hai Bhot Qisa Mukhtasar Apna

Zindagi Dard Ki Musaafat Hai
Kaash Hota Woh Hum-Safar Apna

Apni Aankhon Se Toot-they Dehka
Choorhiyon Ki Taraha Se Ghar Apna

Ab Woh Nazrein Churaaye Phirta Hai
Woh Jo Tha Aik Chara-Gar Apna

Koi Deewar Bhi Nahi Apni
Ab Nahi , Koi Bhi Shajar Apna

Chaaon Ki Hai Sadaf Thalb Tu Bhot
Door Hai Saaya Kis Qadar Apna