Showing posts with label Ahmad Faraz. Show all posts
Showing posts with label Ahmad Faraz. Show all posts

Monday, 22 February 2016

Rog Aisy Bhi Gham e Yaad Se Lag Jaaty Hain - Full Ghazal

Rog Aisy Bhi Gham e Yaad Se Lag Jaaty Hain - Full Ghazal

روگ ایسے بھی غمِ یار سے لگ جاتے ہیں​
در سے اُٹھتے ہیں تو دیوار سے لگ جاتے ہیں​
عشق آغاز میں ہلکی سی خلش رکھتا ہے​
بعد میں سینکڑوں آزار سے لگ جاتے ہیں​
پہلے پہلے ہوس اک آدھ دکاں کھولتی ہے​
پھر تو بازار کے بازار سے لگ جاتے ہیں​
بے بسی بھی کبھی قربت کا سبب بنتی ہے​
رو نہ پائیں تو گلے یار سےلگ جاتے ہیں​
کترنیں غم کی جو گلیوں میں اڑی پھرتی ہیں​
گھر میں لے آؤ تو انبار سے لگ جاتے ہیں​
داغ دامن کے ہوں، دل کے ہوں کہ چہرے کے فرازؔ​
کچھ نشاں عمر کی رفتار سے لگ جاتے ہیں

Thursday, 6 February 2014

Tuesday, 21 January 2014

Kisi bewafa ki khatir ye Junon Faraz Kab tak



Kisi bewafa ki khatir ye Junon Faraz Kab tak

Jo tumhe Bhula chuka ha Usse tum bhi bhool jao


Wednesday, 8 January 2014

Saqi aik nazar jaam se pehle pehle




Saqi aik nazar jaam se pehle pehle


hum ko jaana hai kahin shaam se pehle pehle

khush ho ae dil ke mohabbat to nibha di tu ne

log ujarr jaate hain anjaam se pehle pehle

ab tere ziker per hum baat badal dete hain

kitni raghbat thi tere naam se pehle pehle

saamne umer parri hai shab e tanhaai ki

wo mujhe chor gaya shaam se pehle pehle

kitna acha tha ke hum bhi jiya kerte the faraz

gair maroof se,gumnaam se pehle pehle


Monday, 6 January 2014

Na shab-o-roz hi badle hain na haal acha hai



na shab-o-roz hi badle hain na haal acha hai 
kis barhaman ne kaha tha k ye saal acha hai 

hum k dono ke giriftar rahe, jante hain 
daam duniya se kahin zulf ka jaal acha hai 

main ne poocha tha k akhir ye taghafil kab tak? 
muskurate huwe bole k sawaal acha hai 

dil na mane bhi to aisa hai k gahe gahe 
yar-e-be faiz se halka saa malaal acha hai 

lazatain qurb-o-judai ki hain apni apni 
mustaqil hijar hi acha na wasaal acha hai 

rahwan-e-rah-e-ulfat ka muqadar maloom 
in ka aaghaz hi acha na maal caha hai 

dosto apni jaga par ye haqeeqat hai faraz 
teri ghazlon se kahin tera ghazaal acha hai


Sunday, 5 January 2014

Jab Tera Dard Myrey Sath Wafa Karta Hae

Jab Tera Dard Myrey Sath Wafa Karta Hae
Ek Samandar Myri Aankhon Se Baha Karta Hae

Uss Ki Batain Mujey Khushbu Ki Tarah Lagti Hain
Phool Jaisey Koi Sehra Main Khila Karta Hae

Myrey Dost Ki Pehchan Yahi Kaafi Hae
Woh Har Ek Shakhs Ko Daanista Khafa Karta Hae

Aur Tu Koi Sabab Uss Ki Muhabbat Ka Nahi
Baat Itni Hae Kay Woh Muj Se Jafa Karta Hae

Jub Khizan Aai Tu Laut Aaye Ga Woh Bhi Faraz
Woh Baharon Main Zara Kum Mila Karta Hae 

Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay

Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay
K ashq rokna tum se mohaal hona hay

Har aik lab pe hay meri wafa k afsanay
Tere sitaam ko abhi lazawal hona hay

Tumhain khabar hi nahin tum to loot jao gay
Tumharay hijar main ik lamha sal hona hay

Humari rooh pe jaab bhi azaab otrain hay
Tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hay

Kabhi to roye ga woh bhi kisi ki bahoon main
Kabhi to us ki hansi ko zawal hona hay

Milay gi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan
Bas intizaar hay kab yeh kamal hona hay

Har aik shaks chalay ga humari rahoon per
Mohabatoon main humahin woh misaal hona hay

Zamana jis k kham-o-peech main olajh jaye
Humari zaat ko aisa sawal hona hay

" yaqeen hay mujh ko woh loot aye ga
Usay bhi apne kiye ka malal hona hay

Thursday, 2 January 2014

Is se pahale ke bewafa ho jayein

Is se pahale ke bewafa ho jayein 
kyon na aye dost ham juda ho jayein 

tu bhi heere se ban gayaa patthar 
ham bhi kal kya se kya ho jayein 

ham bhi majaburiyion ka uzr karein 
aur kahein aur mubtala ho jayein 

ishq bhi khel hai nasibo'n kaa 
Khaak ho jaayein kimiyaa ho jayein

ab ke gar tu mile to ham tujh se 
aise Lipatein teri qabaa ho jayein 

bandagi ham ne chor di hai 'Faraz'
kya karei'n log jab Khudaa ho jayein