Sunday, 22 November 2015

Ghazal - Neendien Humari Chura Gaya Ik Shaksh


ﺩﺳﻤﺒﺮ ﺁ ﮔﯿﺎ ﺟﺎﻧﺎﮞ

ﺩﺳﻤﺒﺮ ﺁ ﮔﯿﺎ ﺟﺎﻧﺎﮞ
ﮐﮧ ﭘﮭﺮ ﺍﮎ ﺳﺎﻝ
ﺗﯿﺮﯼ ﯾﺎﺩ ﮐﮯ ﺳﻤﻨﺪﺭ ﻣﯿﮟ
ﺍﺗﺮ ﮐﺮ ﺟﺎﻧﮯ ﻭﺍﻻ ﮨﮯ
ﯾﮧ ﺩﻝ ﭘﮭﺮ ﺭﻭﻧﮯ ﻭﺍﻻ ﮨﮯ
ﺗﻤﮭﯿﮟ ﮐﭽﮫ ﯾﺎﺩ ﮨﮯ ﺟﺎﻧﺎﮞ ؟

ﺍﺳﯽ ﭘﭽﮭﻠﮯ ﺩﺳﻤﺒﺮ ﻣﯿﮟ
ﺗﻤﮩﯽ ﻧﮯ ﻣﺠﮫ ﮐﻮ ﻟﮑﮭﺎ ﺗﮭﺎ
ﮐﮧ ﻧﯿﺎ ﺟﻮ ﺳﺎﻝ ﺁﮮ ﮔﺎ
ﺍﺱ ﻣﯿﮟ ﻣﻞ ﮐﮯ ﺭﮨﻨﺎ ﮨﮯ
ﺑﮩﺖ ﺳﮯ ﭘﯿﺎﺭ ﮐﮯ ﻭﻋﺪﮮ
ﺑﮩﺖ ﺳﯽ ﺍﻥ ﮐﮩﯽ ﺑﺎﺗﯿﮟ
ﮨﻤﯿﮟ ﺗﺤﺮﯾﺮ ﮐﺮﻧﯽ ﮨﯿﮟ
ﻣﺤﺒﺖ ﮐﯽ ﻧﺌﯽ ﻧﻈﻤﯿﮟ ﮨﻤﯿﮟ ﺍﺱ ﺑﺎﺭ
ﻟﮑﮭﻨﯽ ﮨﯿﮟ
ﻣﮕﺮ ﺟﺎﻧﺎﮞ !
ﻭﮨﯽ ﺭﺍﺗﯿﮟ ، ﻭﮨﯽ ﺷﺎﻣﯿﮟ
ﻭﮨﯽ ﺧﻮﺷﺒﻮ ، ﻭﮨﯽ ﻧﻈﻤﯿﮟ
ﻣﺠﮭﮯ ﮨﺮ ﻭﻗﺖ ﮐﮩﺘﯽ ﮨﯿﮟ
ﺩﺳﻤﺒﺮ ﻟﻮﭦ ﺁﯾﺎ ﮨﮯ
ﻣﮕﺮ
ﺗﺮﺍ ﺳﺎﺗﮭﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﺁﯾﺎ ؟
ﺩﺳﻤﺒﺮ ﺁ ﮔﯿﺎ ﺟﺎﻧﺎﮞ

Tuesday, 18 August 2015

Mujhe Maaf Kar Mere Hamsafar

Mujhe Maaf Kar
Mere Hamsafar,
Tujhe Chahna
Meri Bhool Thi, Kisi Raah Per
Jo Uthhi Nazar,
Tujhe Dekhna
Meri Bhool Thi,
Koi Nazm Ho
Ya Koi Ghazal,
Kahin Raat Ho
Ya kahin SEHR
Wo Gali Gali wo
Shehr Shehr,
Tujhe Dhondna
Meri Bhool Thi,
Mere Gham ki
koi Dava Nahin,
Mujhe Tujh Se
koi Gilaa Nahin,
Tera koi Merey
Siva Nahin,
Yahi Sochna
Meri”BHOOL” Thi.

Kabhi Rim Jhim Kabhi Garmi Kabhi Saaya Mujh Mein


Kabhi Rim Jhim Kabhi Garmi Kabhi Saaya Mujh Mein
Janay Kiyon Ek Sa Mausum Nahi Rehta Mujh Mein,

Warna Duniya To Nahi Rakhti Kisi Par Bhi Nazar
Hai Meri Jaan Koi Dilchasp Tamasha Mujh Mein,

Jis Ka Sangam Meri Aankhein Hain Meri Palkein Hain
Behta Rehta Hai Musalsal Koi Darya Mujh Mein,

Apni Hi Zaat Mein Mehsoor Hua Betha Hon
Bhaag Janay Ka Nahi Koi Bhi Rasta Mujh Mein,

Main Khilonon Say Behalnay Pay Qana'at Karta
Kaash Rehta Mera Bachpan Hi Hamesha Mujh Mein. 

ajnabI ek baat yaad rakhna


SunO 
ajnabI ek baat yaad rakhna 
raasty lakh haseen hO 
musafir lOt aty hen 
jab manzilen rOoth jaen tOu 
tum bhi lOt ana 
nazrOn me intizar k lahmy 
liye kOyi betha hy 
sunO anjabi tum lOt ana 
k tum bin kOyi adhOra hy 
na ab kOyi swera hy 
sUnO ajnabi tum lOt ana

Tuesday, 4 August 2015

Zindagi Mein Khush Rehne Ke Liye


Tareekh ke hassas insanon nay apni zindagi ka ziada hissa udaas reh kar guzara hai.
Zindagi mein khush rehne ke liye boht ziada himmat balke boht ziada be hissi chahiye..
John Elia


Zindagi me khush rehne ke liye



Tuesday, 26 May 2015

Apni ankhon k sabhi ashk baha kr sona

Apni ankhon k sabhi ashk baha kr sona
Tum meri yaad ka hr deep bujha kr sona

Ek sitara bhi mere khiyal ka baqi na rahey
Chandni shabb k nishanaat mita kr sona

Darr lgta hai k ye neend kahin cheen na ley
Tera hr roz mere khawab mein aa kr sona

Baad mein log gira dein gey to koi baat nahi
Her taraf piyar ki dewaar uthaa kr sona

Subah hotey hi tere shehr se jana hai mujhe
Aaj ki raat zara mujh ko mana kr sona...!!

raah aasaan ho ga_ii hogii

raah aasaan ho ga_ii hogii
jaan pahachaan ho ga_ii hogii

phir palaT kar nigaah nahii.n aa_ii
tujh pe qurabaa.N ho ga_ii hogii

terii zulfo.n ko chhe.Datii thii sabaa
Khud pareshaa.N ho ga_ii hogii

maut se tere dard_mando.n kii
mushkil aasaan ho ga_ii hogii

un se bhii chhiin loge yaad apanii
jin kaa imaan ho ga_ii hogii

dil kii taskiin puuchhate hai.n aap
haa.N merii jaan ho ga_ii hogii

marane vaalo pe ’Saif’ hairat kyo.n
maut aasaan ho ga_ii hogii ....!!!

Main Thak Gaya Hoon

Main Thak Gaya Hoon Jana'n !!
Kandho'n Pe Daale Kab Se
Beetey Dino'n Ki Yaadai'n
Tumhari Rah Guzar Main
Gumsum Khara Hua Hoon
Ek Aas Si Hai Dil Ko
Palto Ge Tum Kabhi Tou
Lekin Ae Mere Jana'n
Tum Se Meri Taraf Tak
Jitne Bhi Raaste Hain
Wo Bad-Gumanion K
Kanto'n Se Bhar Chuke Hain
Kanto'n Main Meri Khatir
Koi Rasta Bana Lo
Bas Ab Mujhe Mana Lo......!

Uski Chahat Ka Bharam Kia Rakhna


Uski Chahat Ka Bharam Kia Rakhna..??
Dasht-e-Hijraan Mein Qadam Kia Rakhna..??

Apnay Jaisa Koi Milta Hi Nahe...!!
Aankh Mein Dolat-e-Ghum Kia Rakhna..??

Baat Chup Reh Kar Bhi Hoo Sakti Hay..!!
Paas Qirtaas-o-Qalam Kia Rakhna...??

Aaoo Kashkool Ko Nelaam Karein..!!
Qarz-e-Arbaab-e-Karam Kia Rakhna..??

Fikar-e-Araish-e-Maqtal Mein Rahoo..!!
Mehr-o-Mezaaan-e-Alam Kia Rakhna..??

Uski Yadoon Ko Ghanimat Janoo...!!
Is Ta'luq Ko Toa Kam Kia Rakhna...??

Hans Bhi Lena Kabi Khud Per Mohsin..!!
Har Garhi Aankh Ko Numm Kia Rakhna..??

Kabhi Jo Cheirr Gai Yaad'e'Raftagan Mohsin


Kabhi Jo Cheirr Gai Yaad'e'Raftagan Mohsin!
Bikher Gai Hain Nigahein Kahan Kahan Mohsin !

Hawa Ne Raakh Urayee To Dil Ko Yaad Aaya....
K Jal Bujhain Mere Khawabon Ke Bastiyaan Mohsin !

Kuch Aisay Gher B Mile Jin Main Ghonghaton K Aawaz..
Hoi Hain Dafan Dopaton Main Larkiyaan Mohsin......!

Khun'der Hai Ehud'e'Guzishta Na Chu Na Chair Esay.....
Khulain To Band Na Hoon Is Ki Khirkiyaan Mohsin...!

Bujha Hai Kaun Sitara K Apni Aankh K Sath....
Howey Hain Sare Manazir Dhowan Dhowan Mohsin...!

Nahi Keh Us Say Ganwa Hain Maah'o'Saal Apne....!!
Tamam Umer Kati Yun Bhe Ra'ye'gaan Mohsin....!

Mila To Aur Bhe Taqseem Ker Gaya Mujh Ko....!!!
Sameetna Then Jisay Meri Kirche'yaan Mohsin.....!

Kahe Say Us Nay B Tora Hai Khud Say Rabt'e'Wafa
Kahe Say Bhool Gaya Main B Dastaan !Mohsin!...!!!

Woh Jiski Deed Mein Laakhoun Masarratein Pinhaan




Woh Jiski Deed Mein Laakhoun Masarratein Pinhaan



Woh Husn Jiski Tamanna Mein Jannat Pinhaan


Hazaar Fitney Tah E Paa E Naaz Khaak E Nasheen


Har Eik Nigaah Khumar E Shabaab Se Rangeen


Shabaab Jis Se Takhaiyul Pe Bijliyaan Barsein


Waqaar Jiski Rafaqat Kou Shokhiyaan Tarsey

Ada E Laghzisheiy Paa Par Qyamatein Qurbaan


Bayaz E Rukh Sey Sahar Ki Sabahatein Qurbaan

Siyaah Zulfoun Mein Badaaon Sa Nikhatoun Ka Hujoom


Taweel Raatoun Ki Khwabeedah Raahatoun Ka Hujoom

Vo Aankh Jiski Banaun Pe Khaliq Dey Raae


Zabaan Shair Kou Tareef Kartey Sharmaae

Gudaaz Jism Qaba Jispe Saj Ke Naaz Karey


Daraaz Qad Jisey Sarw E Sahi Namaz Karey


Kisi Zamaney Mein Is Rah Guzar Sey Guzraa Thaa


Ba Sad Guroor O Tajammul Idhar Sey Guzraa Thaa


Aur Ab Ye Raah Guzar Bhi Hai Dilfareb O Haseen


Hai Uski Khaak Mein Kaife Sharab E Sair Makeen

Hawa Mein Shokhi E Raftaar Ki Addaen Hain


Faza Mein Narmi E Guftaar Ki Sadaen Hain

Garaz Vo Husn Is Raah Ka Juzu E Manzar Hai


Neyaaz E Ishq Kou Eik Sajda Gaah Maiyassar Hai

Friday, 10 April 2015

ZINDGI​

Aisi lagi udaas sar-E-shaam 
ZINDGI


Jaise kisi ki aankh ka ilzam 
"ZINDGI"


Apny jahan mein dekha teray baad kuch nahi,

Hum ne laga di aaj tery naam 
"ZINDGI"


Jis k bina ye saans mujhe DooBti lagi,

Ja k ussy bhi DhoonD kisi shaam 
"ZINDGI"


Ye piyaar dard na ban saky jis k nashy mein,

Mujhko pila de aaj wohi jaam 
"ZINDGI"


Ab doston k haath mery haath main nahi,

Girny laga hon aaj mujhe thaam 

"ZINDGI"
[​IMG]

Hamesha Sath Mein Rehne Ki

Hamesha Sath Mein Rehne Ki
 Aadat Kuch Nahi Hoti,
 Jo Lamhe Mil Gaye Jee Lo
 Riyazat Kuch Nahi Hoti, 
 Kai Rishton Ko Jab Parkha 
Nateeja Aik Hi Nikla,
 Zaroorat Hi Sabhi Kuch Hai
 Mohabbat Kuch Nahi Hoti,
 Kisi Ne Chor Kar Jana Ho 
To Phir Chor Jata Hai 
 Bicharna Ho To Sadion Ki
 Rafaqat Kuch Nahi Hoti, 
 Ta'luq Toot Jaye To
 Safeene Doob Jate Hain, 
 Ye Sab Kehne Ki Batain Hain 
 Haqeeqat Kuch Nahi Hoti.....!

Wednesday, 7 January 2015

Main Sojaon Tou Khuwabun Mein Ho Tum

Main Sojaon Tou Khuwabun Mein Ho Tum
Main Jagun Tou Mery Khayalon Mein Ho Tum,
Main Nazar Uthaon Tou Meri Aankhun Mein Ho Tum
Main Chalun Tou Meri Manzilon Mein Ho Tum,
Main Likhun Tou Mery Kaghazon Mein Ho Tum
Main Parhun Tou Meri Ghazlon Mein Ho Tum,
Main Gungunaon Tou Mera Geet Ho Tum
Main Sunaon Tou Meri Daastan Ho Tum,
Main Dhoop Mein Hun Tou Mera Saibaan Ho Tum
Main Raat Mein Hun Tou Mera Sahar Ho Tum,
Main Sochun Tou Mera Khayal Ho Tum
Main Mangun Tou Meri Dua Ho Tum