Showing posts with label Hijar. Show all posts
Showing posts with label Hijar. Show all posts

Tuesday, 18 August 2015

Kabhi Rim Jhim Kabhi Garmi Kabhi Saaya Mujh Mein


Kabhi Rim Jhim Kabhi Garmi Kabhi Saaya Mujh Mein
Janay Kiyon Ek Sa Mausum Nahi Rehta Mujh Mein,

Warna Duniya To Nahi Rakhti Kisi Par Bhi Nazar
Hai Meri Jaan Koi Dilchasp Tamasha Mujh Mein,

Jis Ka Sangam Meri Aankhein Hain Meri Palkein Hain
Behta Rehta Hai Musalsal Koi Darya Mujh Mein,

Apni Hi Zaat Mein Mehsoor Hua Betha Hon
Bhaag Janay Ka Nahi Koi Bhi Rasta Mujh Mein,

Main Khilonon Say Behalnay Pay Qana'at Karta
Kaash Rehta Mera Bachpan Hi Hamesha Mujh Mein. 

Tuesday, 26 May 2015

raah aasaan ho ga_ii hogii

raah aasaan ho ga_ii hogii
jaan pahachaan ho ga_ii hogii

phir palaT kar nigaah nahii.n aa_ii
tujh pe qurabaa.N ho ga_ii hogii

terii zulfo.n ko chhe.Datii thii sabaa
Khud pareshaa.N ho ga_ii hogii

maut se tere dard_mando.n kii
mushkil aasaan ho ga_ii hogii

un se bhii chhiin loge yaad apanii
jin kaa imaan ho ga_ii hogii

dil kii taskiin puuchhate hai.n aap
haa.N merii jaan ho ga_ii hogii

marane vaalo pe ’Saif’ hairat kyo.n
maut aasaan ho ga_ii hogii ....!!!

Saturday, 8 November 2014

yun mujhay kab talak sahogay tum

yun mujhay kab talak sahogay tum
kab talak mubtala rahogay tum

dard-mandi ki mat saza pao
ab tau tum mujh se tang aa jao

mein koi markaz-e-hayat nahin
wajah-e-takhleeq-e-kainaat nahin

mera har charah-gar nidhaal hua
yani’ mein kia hua wabaal hua

Jaun gham k hujoom se niklay
aur janaaza bhi dhoom se niklay

aur janazey mein ho yeh shor-e-hazeen
aaj woh mar gaya jo tha he nahin

Saturday, 2 February 2013

Hawa ko awara kehne walon

Hawa ko awara kehne walon
Kabhi tu socho kabhi tu likho
Hawayein kyun apni manzilon se bhatak gayi hain
Na unki aankhon main khawab koi
Na khawb main intezaar koi

Ab unkay saaray safar main subhay yaqeen koi
Na shaam-e-sada aitbar koi
Na unki apni zameen koi na aasman per koi sitarah
Na koi mausam na khushboo ka istaara
Na roshni ki lakeer koi na unka apna safer koi
Jo unkay dukh per kitaab likhay
Musafirat ka azaab likhay
Hawa ko awaara kehnay walon
kabhi tu socho!