Saturday 15 November 2014

Udas Karna Udas hona

Udas Karna Udas hona
Na Door rehna na paas hona

Woh aahaton ka sunai dena
Aur Mujhko Tera qayaas hona

Acha lagta hai Tujh se milna
Mujhko Tera Libas hona

Main Aankhon Ankhon mein sab kahon ga
Tum kuch Ishara Shanas hona

Meri yaadon se baatain krna
Jab kabhi Tum Udas hona..!!! 

Jo Rishtey Dil se jurte hain inhain tora nahi karte

Jo Rishtey Dil se jurte hain inhain tora nahi karte
Kisi ka saath Raste mai kabhi chora nahi karte

Kahin is se Tumhare haath hi zakhmi na ho jayein
Jo Toote Aaina to phir ise jora nahi karte

Koi Toofan Teri Kishti ko Garq-e-Aab na karde
Kabhi Biphri hoi Mojon ka Rukh mora nahi karte

Tijarat ke usulon per Mohabbat ki nahi jati
Muhabbat mai kabhi Jazbaat ka Souda nahi karte

Sitam karna Mohabbat per, yeh hai Adat zamane ki
Zamane ke sitam per Hum yeh Dil tora nahi karte

Muhabbat ke usulon mai, yehi pehla usool apna
Ke Hum apni Mohabbat ko kabhi Ruswa nahi karte..!!

rishta


Na Sada'en Badlti Hain,

Na Sada'en Badlti Hain, 
Na Wafa'en Badlti Hain, 

Kuch Logon Ki Bas Ada'en Badlti Hain, 

Toot Jata Hai Bana Banaya Aashyana Ik Pal Main, 
Jab Mosmon Ki Tarah Hawa'en Badalti Hain, 

Apna Sab Kuch De Dete Hain Hum Chahat Me, 
Na jane Phir Bhi Q Logon Ki Nigah'en Badlti Hain

Saturday 8 November 2014

Tere ishq ki intaha chahta hun

Tere ishq ki intaha chahta hun
Meri sadgi dekh kya chahta hun

Sitam ho k ho wada-e-behijabi
Koi bat sabr-azma chahta hun

Ye jannat mubarak rahe zahidon ko
K main ap ka samna chahta hun

Koi dam ka mehman hun ai ahl-e-mahfil
Chirag-e-sahar hun, bujha chahta hun

Bhari bazm mein raz ki bat kah di
Bara be-adab hun, saza chahta hun

itni mudat bad mile ho!

itni mudat bad mile ho!
Kin sochun me gum phirte ho?
itne khayaf kyn rehte ho?
har aahat se dar jate ho
tez hawa ne muj se pucha
reat pe kia likhte rehte ho?
kaash koi hum se bhi puche
raat gae tak kyn jage ho?
me darya se bhi darta hun
tum darya se bhi ghehre ho
konsi bat hai tum me esi,
itne ache kyn lagte ho?

yun mujhay kab talak sahogay tum

yun mujhay kab talak sahogay tum
kab talak mubtala rahogay tum

dard-mandi ki mat saza pao
ab tau tum mujh se tang aa jao

mein koi markaz-e-hayat nahin
wajah-e-takhleeq-e-kainaat nahin

mera har charah-gar nidhaal hua
yani’ mein kia hua wabaal hua

Jaun gham k hujoom se niklay
aur janaaza bhi dhoom se niklay

aur janazey mein ho yeh shor-e-hazeen
aaj woh mar gaya jo tha he nahin

Kya bohat zaroori hai?

Kya bohat zaroori hai?
Khawb posh ankhon mein,
Aansuon ka bhar jana?

Hasrton se saahil par,
Titliyon ka mar jana?
Habss ki hawaaon mein,
Khushbuyon ka dar jana?
Dil ke garam sehraa main,
Hashar hi barpaa hona?
Dard la’dawaa hona ?
Kya bohat zaroori hai?

Tumhen Jo Besabub Mujh Se

Tumhen Jo Besabub Mujh Se,
Khafa Hony Ki Aadat Hy!

Ye Aaghaz-e-Judai Hy?
K
Andaz-e-Mohabbat Hy?

Wafa k Rung Main Dekho,
Jafa Achi Nhi Hoti!

Kisi se dosti main itni,
Anaa achi nhi hoti!

Chalo ab maan b jaao,
Boht ab ho chuki ranjish!

Kisi din or ker lena,
Ye poori apni tum khuwahish!

Faqat Kehne ki Baatain Hain,
Nibhata Kon Hy kis Ko?

Chalo Ab Dekh Letay Hain,
Manata Kon Hy Kis Ko ..

Is des ki mitti sonay ki

Is des ki mitti sonay ki
Is des kay darya chandi kay
Is des ka mosam khushboo hai
Is des mein such aazadi kay

Yeh des mera mehboob mera

Yahan buta buta phul khilay
Yahan qaryah qaryah gulshan hai
Yahan darya darya noor hai
Yahan zarrah zarrah roshan hai

Yeh des mera mehboob mera

Yeh des hai meray logon ka
Yeh dharti meray apnon ki
Yeh des hai tarah aankhon ka
Yeh dharti meray sapnon ki

Yeh des mera mehboob mera

Monday 3 November 2014

usay kehna


Agar ham khawab ho jaate

Agar ham khawab ho jaate
To kis ne aa k kehna tha,
k tum tabeer ban jao,meri taqdeer ban jao,
aagar ham phool ban jaate,
tumhein yun aasmaan k in sitaron mein
chamakna kaisa lagta hai?
tumhein yak'dam kisi kacche se aangan
mein,
utarna kaisa lagta hai,
agar khushbu hamara naam ho jata,
to kis ne aa ka kahna tha,
hawaon par koi pagham likh jao,
hamare naam likh jao,
fana ko choo k bhi tum ko,
baqa ka yeh hunar kis ne sikhaya hai?
tumhein bekhud bnane ka, saleeqa
kese aaya hai?
tumhein phoolon k seene mein, mehakna
kaisa lagta hai,
magar ham kuch nahi janaan!
kahan khushbu ki soorat hein,
kahan ham phool jese hein,
kahan hein chaand ka partoy,
k ham to dhool jese hein
mitti taqdeer jesehein, faqat ham heer
jese hein

Friday 31 October 2014

Qateel Shifai Poetry

Mein Oska Dost Hun, Wo Aitraaz Karta Tha

Magar Wo Baatain Bhee Mere Khilaaf Karta Tha

Suna Hai Gir Ke Mera Baadalon Ki Seerhi Se

Wo Aasmaan Ki Chhat Mein Shigaaf Karta Tha

Kamaal Hai Ke Howa Wo Bhee Nazar-e-BeKhabari

Jo Hum Pe Roz Naye Inkishaaf Karta Tha

Wo Qatal Ho Gaya Badsooraton Ki Mehfil Mein

Jo Saaray Sheher Ke Aainay Saaf Karta Tha

Tuesday 7 October 2014

Shayad Mujhe Nikaal ke Pachta rahe ho Aap

Shayad Mujhe Nikaal ke Pachta rahe ho Aap

Mehfil main is Khayal se phir Aagya hon Main

Jinhain Bhulane main Yaaro Bare Zamane lage

Jinhain Bhulane main Yaaro Bare Zamane lage

Jo Dil dukha to wohi log Yaad Aane lage

Ankhein bhi wohi hain dareecha bhi wohi hai

Ankhein bhi wohi hain dareecha bhi wohi hai
aur soch ke aangan mai utarta bhi wohi hai,

Jis nay mere jazbon ki sadaaqat ko naa jana
ab meri rafaaqat ko tarasta bhi wohi hai,

Is dil ke kharabe se guzar kis ka hua hai
ankhein bhi wohi hont bhi wohi lehja bhi wohi hai,

Jo kuch bhi kaha tha meri tanhai ne tujh sey
is sheher ki deewar per likha bhi wohi hai,

Woh jis nay diye mujh ko mohabbat ke khazaane
baadal ki taraha aankh se barasta bhi wohi hai.

Friday 26 September 2014

Sad Urdu Poetry

Yaad kar k mujhy nam ho gyi ho gayi hon gi ankhain
Aankh me par gya kuch kh kar ye tala hoga.

Sad Urdu poetry

Phir nahi basty wo dill ik bar ujar jaty hain
qabrain jitni bhi sanwron wha ronak nhi hoti.

Sad Urdu poetry

Eid k chand ko dekhy na koi mery siwa
Is k deedar ko ik saal guzara me ne

Sad Urdu poetry

Kisi dushman ne ye izat mujhy ab tak nahi bakhshi
hamesha dost hi ka hath pohncha he gareban tak

Sad Urdu poetry

Wafa ki talash to be wafaon ko hoti he faraz
Hum ne to dunya hi chor di kisi ki wafa k liye

Sad Urdu poetry

Mery mola karam kar dey to aesa kar bhi sakta he
Mery hathon ki janeb dekh inhain to bhar bhi sakta he.

Sad Urdu poetry

Kai kam rh gye hain teri yaad ki waja se
tery sath bhi khasara tery bad bhi khasara

Sad Urdu poetry

Na jany ku itna yaqeen he teri wafa par ae dost
Warna husn waly to khud se bhi wafa nahi karty

Sad Urdu poetry

Main khud harean hon apny sabar ka pehlu dekh kar
Tum ne yaad karna chor diya par me ne intazar karna nahi chora.

Sad Urdu poetry

Tash ka paton ki manid he zindagi meri FARAZ
Jis ne bhi khela taqseem kar diya mujhy

Sad Urdu poetry

Kabhi waqt mila to suljaon ga teri sabhi uljanain
Abi to khud ulja hoa hon waqt ko suljaany me

Sad Urdu poetry

Yaad aayn gi us waqt meri wafayn
Jis waqt kisi ghair pe bedad kro ge.



Tuesday 16 September 2014

Sad Urdu Poetry, Romantic Poetry, love poetry for her

Koi agar khalos-e-Dill se parhy mujhy
Me sar basar kitab tamanna dikhai doon

Har aeb shi mujh me magar aaj bhi mujh ko
Apno se khafa hony ka andaaz na aaya.

Mery Ban Jao
Mear kia hall he tery bina kabhi dekh to le
Ji rha hon tera bhula hoa wada ban kar.

Mery Ban Jao
Kal tak tha ahsaas kisi k hony ka
Aaj he sirf dard us ko khony ka

Hum dono ka nahi tha qasoor is me
Taqdeer ka fesla tha juda hony ka

Mery Ban Jao

Samjh jata hon lekin dair se me dao paich us ke
Wo bazi jeet jaata he mery chalak hony tak.

Mery Ban Jao

Aanso ahain tanhai werani or  Gham musalsal
Ik zara sa Ishk hoa tha kia kia virasat me de gya.

Saturday 16 August 2014

Love not, love not, ye hapless sons of clay

Love not, love not, ye hapless sons of clay!
Hope’s gayest wreaths are made of earthly flowers,—
Things that are made to fade and fall away
Ere they have blossomed for a few short hours.
Love not!

Love not! the thing ye love may change;
The rosy lip may cease to smile on you,
The kindly-beaming eye grow cold and strange,
The heart still warmly beat, yet not be true.
Love not!

Love not! the thing you love may die,—
May perish from the gay and gladsome earth;
The silent stars, the blue and smiling sky,
Beam o’er its grave, as once upon its birth.
Love not!

Love not! O warning vainly said
In present hours as in years gone by!
Love flings a halo round the dear one’s head,
Faultless, immortal, till they change or die.
Love not!

By CAROLINE ELIZABETH SHERIDAN

Go, lovely Rose,

Go, lovely Rose,
Tell her that wastes her time and me,
That now she knows
When I resemble her to thee
How sweet and fair she seems to be.

Tell her that’s young,
And shuns to have her graces spied,
That had’st thou sprung
In deserts where no men abide,
Thou must have uncommended died.

Small is the worth
Of beauty from the light retired;
Bid her come forth,
Suffer herself to be desired,
And not blush so to be admired.

Then die, that she
The common fate of all things rare
May read in thee,
How small a part of time they share
Who are so wondrous sweet and fair

Because She Would Ask Me Why I Loved Her

Sad Girl Picture HD Wallpaper Desktop
If questioning would make us wise
No eyes would ever gaze in eyes;
If all our tale were told in speech
No mouths would wander each to each.

Were spirits free from mortal mesh
And love not bound in hearts of flesh
No aching breasts would yearn to meet
And find their ecstasy complete.

For who is there that lives and knows
The secret powers by which he grows?
Were knowledge all, what were our need
To thrill and faint and sweetly bleed?.

Then seek not, sweet, the “If” and “Why”
I love you now until I die.
For I must love because I live
And life in me is what you give.

 Poet: Christopher Brennan

AN ODE TO LOVE


Love resides in the temple of a loving heart,
Both they live together in a room very small,
Eat, drink, dance, play and pray.
Like birds, lilies, sing prayer in silence calm.
When divine romance starts, light shines,
Soul baths in love, spiritual discourses start.
When fiery desire of love illumines the shrine,
Dressed up in a beggars’rags, lover sings under stars.
No one can slay love, none can burn love,
No one can drown love, none can destroy love.
O love ! Birds with broken wings cannot understand you.
O dream! Wanderers of barren fields don’t know you.
O soul! Kissing lips touch and depart,
Lovers’ names remain eternal on lips by far!

Look! There he is

Look! There he is!
Death is on these walls
Death is in this air
Death is on this ground
Don’t you see him?
He’s standing next to me
Whispering in my ear
He’s with me right now
Can’t you see him?
Death is behind you
He’s breathing down your neck
Death is close
Don’t you feel him?
Death is caressing me
He’s holding me close
He’s whispering sweet things
Don’t you see?
Can’t you feel him?

Look! There he is!

Does anyone care?

Does anyone care?
Do they even want to know?
I don’t think they do
Is there anyone out there?
Someone whose shoulder I can cry on?
I don’t think there is
Is there any hope for me?
Is there any sort of light?
I don’t think it exists
Does anyone care?
Is there anyone out there?
I don’t even know
Can anyone help me?
Anyone at all?
I’ve lost all hope…

I Fell In Love With You

I see the world through my eyes
As a vicious cycle of pain and lies
You’ll never see what’s inside of me
So back away and leave me be
I’m sorry to say
But stay away
I don’t want to hurt you
Even though it may seem cruel
You are there in everything I do
That’s only because I fell in love with you

Wednesday 13 August 2014

Tuesday 12 August 2014

Thursday 7 August 2014

Us se karta ho'n Mulakaat simatney ke liye


Us se karta ho'n Mulakaat simatney ke liye

Us se Milta ho'n to kuch or bikhar jata ho'n 

Monday 14 July 2014

Do pall ruka Khuabon ka karwa Written Ghazal

Do pall ruka Khuabon ka karwa
Or phir chal diye tum kha hum kha

Do pall ki thi Ye Dilon ki dastan
Or phir chal diye tum kha hum kha

Tum thy k thi koi ujli kiran
Tum thy ya koi kali muskai thi

Tum thy ya sapno ka tha sawan
Tum thy k khushiyon ki ghata chai thi

Tum Thy k tha koi phool khila
Tum Thy ya mila tha mujhy naya jaha

Do pall ruka khuabon ka karwa
Or phir chal diye tum kha hum kha

Do pall ki thi ye dilon ki dastan
Or phir chal diye tum kha hum kha

Tum thy ya khushbo hawaon me thi
Tum thy ya rang sari dishaon me thy

Tum thy ya roshni rahon me thi
Tum thy ya k gonj fizaon me thi

Tum thy mily ya mili thi manzalain
Tum thy ya tha jado bhara koi sama

Do pall ruka Khuabon ka karwa
Or phir chal diye tum kha hum kha

Do pall ki thi Ye Dilon ki dastan
Or phir chal diye tum kha hum kha

Friday 11 July 2014

Wo mujh se bichar kar, Faraz Urdu Poetry

Wo mujh se bichar kar

Wo mujh se bichar kar Ab tak Roya nahi ghleb
Koi to he hamdard jo usy rony nahi deta

Batao kon se bahar laya

Batao kon se bahar laya he Junvary
Tum Sab jo kehty thy Boht weran he december

Tujh se bichar ke

Tujh se bichar ke hum bhi muqadar k ho gye
Phir jo bhi dar mila he usi dar k ho gye

Kis tarha log lakeeron se

Khali hathon ko kabhi ghor se dekha he Faraz
Kis tarha log lakeeron se nikal jaaty hain

Monday 23 June 2014

Best two line Urdu poetry

Mery hi hathon pe


Mery hi hathon pe meri taqdeer likhi he
or meri he taqdeer par mera bas nahi chalta

Best two line Urdu Poetry

Bata kia jawab don


Ae hasile khalos bata kia jawab don
dunya ye pochti he me q udaas hon

Best two line Urdu Poetry

Sanson ki mohlat


Sanson ki mohlat kab khatam ho jay maloom nahi
Dukh koi mila ho meri zaat se to maf kar dena

Best two line Urdu Poetry

Jurty hoy dekha na


Jurty hoy dekha na totty hoy dill ko
Gir jayn aanso to uthay nahi jaty

Best two line Urdu Poetry

Shayed k tery hath pe


Shayed k tery hath pe likhta wo mera naam
Tu qatibe taqdeer se darkhuast to karta

Best two line Urdu Poetry

Monday 16 June 2014

Best Two lines urdu Poetry

Or zamanat Wafa Ki kia hogi


Or zamanat Wafa Ki kia hogi
Tum Meri Saans Girvi Rakh lo

two lines urdu poetry

Mujhy bhi aayny jesa


Mujhy bhi aayny jesa kamal hasil he
Me tot ta hon to phir be shumar hota hon

two lines urdu poetry

Aasani Se koi mill jay to wo qismat ka sath he

Aasani Se koi mill jay to wo qismat ka sath he
Soli Par charh kar bhi jo na milain usy muhabat khty hain

two lines urdu poetry


Meri Hesiyat ka Andaz Tum


Meri Hesiyat ka Andaz Tum ye jaan kar laga lena
Hum kabhi un k nahi hoty jo har kisi k ho jayn

two lines urdu poetry


Rishwat bhi nahi leta kambakhat


Rishwat bhi nahi leta kambakhat jaan chorny ki
Ye Ishk mujhy Boht Imandar lagta he

two lines urdu poetry


Toot Jata he ghreebi me wo rishta


Toot Jata he ghreebi me wo rishta jo khas hota he
Hazaron yaar banty hain jab pesa paas hota he

two lines urdu poetry


Mera Karnama zindagi meri hasraton


Mera Karnama zindagi meri hasraton k siwa kuch nahi
Ye kia nahi wo hoa  nahi ye mila nahi wo raha nahi

two lines urdu poetry


Humy tum bhol jao gy Humain maloom he


Humy tum bhol jao gy Humain maloom he Lekin
Palat kar jab bi aao gy muhabat muntazir hogi

two lines urdu poetry


Muhabat kar k dekhi he muhabat saaf 


Muhabat kar k dekhi he muhabat saaf dhokha he
Ye sab khny ki batain hain phir kon kis ka hota he

two lines urdu poetry


Mery Myar ko samjhny keliye


Mery Myar ko samjhny keliye itna hi kafi he
Me Us ka hargiz nahi hota jo har kisi ka hota he

two lines urdu poetry