Saturday 23 February 2013

Uss Main Mujhh Main Ehed Hua Thaa

Uss Main
Mujhh Main...
Ehed Hua Thaa!

Ek Doojay
Ko
Bhoolnay Ka!


Uss Nay
Qoul
Nibhaaya Puura!

Mai Emaan
Ka
Kachaa Niklaa!


Filed in sad urdu poetry

Tuesday 12 February 2013

Usy kehna Qasm le lo

Usy kehna Qasm le lo
tmhary bad,gr hm ne,
Kisi ka khwab dekha ho
Kisi ko hm ne chaha ho
Kisi ko hm ne socha ho
Kisi ki aarzoo ki ho
Kisi ki justju ki ho
Kisi ki raah dekhi ho
Kisi ka Qurb manga ho
Kisi ko sath rkha ho
Kisi se aas rkhi ho
Koi umeed baandhi ho
Koi dil me utara ho
Koi gr tm se pyara ho
Koi dil mein bsaya ho
Koi apna bnaya ho
Koi rootha ho aur hm ne usay ro ro manaaya ho
December ki hseen rut mein
Ksi ka hijr jhaila ho
Kisi ki yaad ka mosum
Meray aangan mein khaila ho
Ksii se baat krny ko
Kbhi ye hont trsay hoon
Kisi ki bewfai pr
Kbhi ye nain brsay hoon
Usay Kehna qasam le lo,


Terey Ekhlaass Say Mohabbat Ki Hai


Terey Ekhlaass Say Mohabbat Ki Hai
Terey Ehssaas Say Mohabbat Ki Hai

Tu Merey Pass Nahin Hai Phir Bhi
Teri Yaad Say Mohabbat Ki Hai

Kabhi Tu Nay Bhi Mujhay Yaad Kya Ho Ga
Main Nay Un Lamhaat Say Mohabbat Ki Hai

Jin Main Ho Sirf Teri Aur Meri Baatain
Main Nay Un Auqaat Say Mohabbat Ki Hai

Aur Jo Mahekay Ho Sirf Teri Hi Mohabbat Say
Main Nay Un Jazbaat Say Mohabaat Ki Hai

Tujh Say Milna Tu Ab Khuwaab Sa Lagta Hai ???
Mohsin Nay Terey Intezaar Say Mohabbat Ki Hai

ko’ii mujhko meraa bharpuur saraapaa laa de


ko’ii mujhko meraa bharpuur saraapaa laa de
mere baazuu merii aaNkheN meraa chehraa laa de

aisaa dariyaa jo kisii aur samandar meN gire
is se behtar hai ke mujhko meraa sehraa laa de

nayaa mausam merii biinaa’ii ko tasliim nahiiN
merii aaNkhoN ko vohii Khvaab puraanaa laa de

kuch nahiiN chaahiye tujhse merii umr-e-ravaaN
meraa bachpan mere jugnuu merii guRiyaa laa de

kashtii-e-jaaN to bhanvar meN hai ka’ii barsoN se
ai Khudaa ab to Dubo de yaa kinaaraa laa de

Us-Ki Aankhon Main Muhabbat Ka Sitaara Ho Ga



Us-Ki Aankhon Main Muhabbat Ka Sitaara Ho Ga,

Aik Din Aaye Ga Wo Shakhs Humaara Ho Ga.

Tum Jahan Meray Liye Seepiyan Chunti Hogi,

Wo Kisi Aur Hi Duniya Ka Kinaara Hoga,

Zindagi Ab Kay Mera Naam Shamil Na Karna,

Gar Ye Ta'y Hai Kay Yahi Khail Dubaara Ho Ga.

Jis Kay Honay Say Mere Saans Chala Karti Hai,

Kis Tarha Us-Kay Baghair Apna Guzaara Ho Ga.

Ye Achanak Jo Ujala Sa Huwa Jaata Hai,

DiL Nay Chupkay Say Tera Naam Pukaara Ho Ga.

Ishq Karta Hai To Din Raat Usay Sochna Hai,

Aur Kuch Zehan Main Aaya To Khasaara Ho Ga.

Ye Jo Paani Main Chala Aaya Hai Sunehri Sa Garoor,

Us-Nay Dariya Main Kahen Paun Utaara Ho Ga.


Kon Rota Hai Yahan Raat Kay Sannaton Main,

Meray Jaisa Hi Koi Hijr Ka Maara Ho Ga.

Mujh Ko Maloom Hai Jun-Hi Main Qadam Rakhun-Ga,

Zindagi Tera Koi Aur Kinaara Ho Ga.

Jo Mere Rooh Main Badal Say Garajtay Hain,

Us-Nay Seenay Main Koi Dard Utaara Ho Ga.

Kaam Mushkil Hai Magar Jeet Hi Lun-Ga Us-Ko..!

Meray Moula Ka Jun-Hi Ishaara Ho Ga...!~

Subah Hote Hi Tere Shehr Se Jana Hai Mujh Ko



Subah Hote Hi Tere Shehr Se Jana Hai Mujh Ko",

"Aaj Ki Raat Zra Mujh Ko Mana Kar Sona",

"Agar Ho Sake To Lota De Mujh Ko Meri Hansi",
... 
"Ya Saari Raat Mujh Ko Rula Kar Sona",

"Dia Yaad Ka Koi Bujh Na Jaye Kahiin",

"Koi Shama Piyar Ki Jala Kar Sona",

"Me Nahi Kehti Tu Reh Umar Bhar sath Mere",

"Bas Aaj Ki Raat Apna Bana Kar Sona",

"Umar Bhar Rahon Gi Tere Qadmon Me"

"Bas Aaj Ki Raat Tum Seene Se Laga Kar Sona".....

Saturday 2 February 2013

Hawa kay hathon ki meherbaani se dar gaaye hain

Hawa kay hathon ki meherbaani se dar gaaye hain
Yeh phool khushboo ki raye gain se dar gaaye hain

Humein bhi rukhsat ki rasam kuch tu nibahna thi
Tumhaari aankhon mein aaye paani se dar gaaye hain

Yeh teer jitney fizaa main aakar thair gaaye hain
Kisi parinday ki bay zubaani se dar gaaye hain

Inhein bhi dariya main apni kashti utarna thi
Jo log lehron ki sar giraani se dar gaaye hain

Yeh hum jo sheher-ewafa main gumsum kharay hue hain
Phir ik taaza ghalat bayani se dar gaaye hain

Abhi tu dil ko udaas karti nahiin hain shaamein
Abhi se kyun ghum ki hukumraani se dar gaaye hain

Humein bhi saahil pe geet likhna the seepiyon se
Magar hawaon ki meherbaaniyon se dar gaaye hain

Bas ik shab kay liy wasal-e-yaar main rehna

Bas ik shab kay liy wasal-e-yaar main rehna
Phir uskay baad reh-e-intizaar main rehna

Kabhi sukon kabhi khalafshaar main rehna
Humein azeez teray ikhtiyaar main rehna

Woh bay iraada teri khushbouon ko choo lena
Phir ik ajeeb se kaif-o-khumaar main rehna

Woh ik pal kay liye arzoo mohabbat ki
Phir ik umar safar kay ghubaar main rehna

Meri dua ko kahiin raasta nahiin milta
Jahaan bhi rehna isi intishaar main rehna

Dard ki lay madham tu ho

Dard ki lay madham tu ho
Dhund kahiin per kam tu ho

But saazi hum jaan gaye hain
Laiken mitti nam tu ho

Umar ka saath kahaan maanga hai
Phir bhi chaar qadam tu ho

Shaam ka raqs bhi ho jaaye ga
Dhoop ki shiddat kam tu ho

Mehfil-e-shab bhi saj jaaye gi
Koi shareek-e- ghum tu ho

Jaan pe she jaatay the laiken
Koi aik sitam tu ho

Fiza main jaisay koi khushbouon ka raqs jaaga hai

Fiza main jaisay koi khushbouon ka raqs jaaga hai
Sunheri titliyaan phir se gulaabon kay
 labon ko choo kar aayi hain
Darakhton ki khuli banhon
 main saye baat kartay hain
Udaasi ashak ankhon main
 liye ab door nikli
Isi dhaltay hue din ki mundeeron per
Chiraagh-e-shaam jalta hai
Tu dast-e-meherbaan jaise..

Meray aanchal kay konay se wafa ka 
aik lamha bandh deta hai
Meray sehen-e-hunar main
 hurf-o- maani ki talaawat saans leti hai
Koi roshan sitarah aasmaan per muskuraata hai
Samander geet gaata hai

Kamala-e-ahd-e-masti hai
Jahaan pe mausam-e-jaan bhi hairaan lagta hai
Koi chehra meray dil kay badan se aan lagta hai
Yeh hi chupkay se kehta hai

Mujhay tumse mohabbat hai
Mujhay tumse mohabbat hai

Humein khabar hai

Humein khabar hai
Tamaam dukh hai
Yeh zindaagi ko jo aasmaano ki wasaaton say
Hazaar sadiyon se mil raha hai
Piyaam dukh hai

Jo karzaar-e-zawaal-e-hasti ko
Dhoop chauon ki aahaton se chal raha hai
Nizaam-e-dukh hai..

Seher tu ikn mukhtasir sag hum hai
Tauveel din ki havailiyon kay
Jo raaston main thair gayi hain..
Who sham dukh hai..

Who shaam dukh hai
Kay iski shay per kayi dino se
Musaafiran-e-abad ka aisay firaaq asaar raaston per
Safar tu khair ik ulmiya hai
Qayaam dukh hai

Yeh as dukh hai‚niraas dukh hai
Udaasiyon ka libaas dukh hai

Yeh tashangi jo azaab ban kart hair gaayi hai
Badan kay boseedah saahilon per
Tu uska ahd-e-dawaam dukh hai
Yeh shor karti hawa ka sara kharaam dukh hai
Humein khabar hai
Tyamaam dukh hai

Yeh tum mohabbat nibahtay ho
Tu us mohabbat ka naam dukh hai
Yeh wasal mausam jo ik musalsal mughalta hai
Tu us rifaaqat ka naam dukh hai
Aur aisi wehshat numaan fiza main
Khamosh rehna bhi ik saza hai
Magar kisi se kalaam dukh hai

Humein khabar hai
Tamaam dukh hai

Aankhein tanha ho jaati hain

Aankhein tanha ho jaati hain
Dard ka sehra ho jaati hain

Dil ka kya hai dil ki baatein
Aksar ruswaa ho jaati hain

Tu hota hai laiken shaamein
Kaisay tanha ho jaati hain

Teray bin yeh chandni raatein
Ghum ka naksha ho jaati hain

Asal ki janib laut kay akhir
Naslein ik ja ho jaati hain

Kyun har baar safar ki shamein
Tera chehra ho jaati hain

Hawa ko awara kehne walon

Hawa ko awara kehne walon
Kabhi tu socho kabhi tu likho
Hawayein kyun apni manzilon se bhatak gayi hain
Na unki aankhon main khawab koi
Na khawb main intezaar koi

Ab unkay saaray safar main subhay yaqeen koi
Na shaam-e-sada aitbar koi
Na unki apni zameen koi na aasman per koi sitarah
Na koi mausam na khushboo ka istaara
Na roshni ki lakeer koi na unka apna safer koi
Jo unkay dukh per kitaab likhay
Musafirat ka azaab likhay
Hawa ko awaara kehnay walon
kabhi tu socho!

Mohabbat ki aseeri se rehayi mangtay rehna

Mohabbat ki aseeri se rehayi mangtay rehna
Buhut asaan nahiin hota judayi mangtay rehna

Zara sa ishq karlena zara si aankh bhar lena
Phir us kay baab main saari khudayi maangtay rehna

Kabhi mehroom honton per dua ka hurf rakh dena
Kabhi wehshat main uski narsayi mangtay rehna

Wafaon kay tasalsal se mohabbat ruth jaati hai
Kahaani main zara si bay wafayi mangtay rehna

Ajab hai wehshat-e-jaan bhi kay adat ho gayi dil ki
Sukoot-e-sham-e-ghum se hum navayi mangtay rehna

Kabhi bachay ka nanhe haath per titli kay per rakhna
Kabhi phir us kay rangon say rehayi mangtay rehna

Sabhi jazbay badaltay ja rahay hain

Sabhi jazbay badaltay ja rahay hain
Kay jaisay khawab martay ja rahay hain

Koi dil kay liye dil kay makin ko
Nazar andaaz kartay ja rahay hain

Jo dil ka haal hai dil jaanta hai
Bazahir tu sambhaltay ja rahay hain

Chalay tu hain tumharay sheher say hum
Kaaf-e-afsos maltay ja rahay hain

Kabhi jin main guroor-e-tazgi tha
Who khado khaal dhaltay ja rahay hain

Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko

Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko
Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain
Char su gunjti ruswai kisay kehtay hain
Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko
Koi lamha ho teri yaad mai kho jatay hain
Ab to khud ko bhe muyassar nahi aaa patay hain
Raat ho din ho tere pyar mai hum behtay hain
Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain
Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko
Woh jo ghum aye usay dil pay saha kertey thay
aik saath hum mil ker raha kertey thay
Ab akelay he zamanay ke sitam sehtay hain
Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain
Ab Jo bichray to ehsaas hua hai hum ko
Hum Nay khud apni raahon mai bichaye kantay
Gher mai phoolon ke jagah la ker sajaye kantay
Zakham iss dil mai basaye howe khud rehtay hain
Yun toh duniya ki har cheez haseen hoti hai
Pyar say maghar kuch bhe nahi hoti hai
Rastah rok kay har aik say yehi kehtay hain
Ab jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko
Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain
Char so gunjti ruswai kisay kehtay hain
Ab jo bichray to ehsaas hua hai hum ko