Saturday, 2 February 2013

Humein khabar hai

Humein khabar hai
Tamaam dukh hai
Yeh zindaagi ko jo aasmaano ki wasaaton say
Hazaar sadiyon se mil raha hai
Piyaam dukh hai

Jo karzaar-e-zawaal-e-hasti ko
Dhoop chauon ki aahaton se chal raha hai
Nizaam-e-dukh hai..

Seher tu ikn mukhtasir sag hum hai
Tauveel din ki havailiyon kay
Jo raaston main thair gayi hain..
Who sham dukh hai..

Who shaam dukh hai
Kay iski shay per kayi dino se
Musaafiran-e-abad ka aisay firaaq asaar raaston per
Safar tu khair ik ulmiya hai
Qayaam dukh hai

Yeh as dukh hai‚niraas dukh hai
Udaasiyon ka libaas dukh hai

Yeh tashangi jo azaab ban kart hair gaayi hai
Badan kay boseedah saahilon per
Tu uska ahd-e-dawaam dukh hai
Yeh shor karti hawa ka sara kharaam dukh hai
Humein khabar hai
Tyamaam dukh hai

Yeh tum mohabbat nibahtay ho
Tu us mohabbat ka naam dukh hai
Yeh wasal mausam jo ik musalsal mughalta hai
Tu us rifaaqat ka naam dukh hai
Aur aisi wehshat numaan fiza main
Khamosh rehna bhi ik saza hai
Magar kisi se kalaam dukh hai

Humein khabar hai
Tamaam dukh hai

No comments:

Post a Comment