Showing posts with label Aansoo. Show all posts
Showing posts with label Aansoo. Show all posts

Saturday, 22 March 2014

Kuch din Say teray Sath koi baat nahi hai,


Kuch din Say teray Sath koi baat nahi hai,
Yoon lagta hay Sadio'n Say Mulaqat nahi hay

Dukh dard Sunao mujhay har baat batao.
Ye dil ki khuwahish hay meri baat nahi hay,

Jab yad teri aye to aa jatay hain aansu.
Main kaysay kahu aankh may Barsaat nahi hay,

Sookhay huway kuch phool hain or ashk hain taaza,
Kuch or meray paas to Söghaat nahi hay,

Waaqif hay meray dard Say Subho ka ujaala.
Laa-ilm meray gham Say meri raat nahi hay,

Main jis kì Mohbat may yoon be-haal hoon ab tak.
Wo hans k ye kehta hay "Koi baat nahi hay".

Monday, 27 January 2014

Mujhe Ab Dar Nahi Lagta





Mujhe Ab Dar Nahi Lagta

Kisi K Door Jane Se
Ta"Luq Tot Jane Se
Kisi K Maan Jane Se
Kisi K Roth Jane Se

Mujhe Ab Dar Nahi Lagta

Kisi Ko Azmane Se
Kisi K Azmane Se
Kisi Ko Yaad Rakhne Se
Kisi Ko Bhol Jane Se

Mujhe Ab Dar Nahi Lagta

Kisi Ko Chor Dene Se
Kisi K Chor Jane Se
Na Shama Ko Jalane Se
Na Shama Ko Bujhane Se

Mujhe Ab Dar Nahi Lagta

Akele Muskrane Se
Kabhi Ansoo Bhane Se
Na Is Sare Zmane Se
Haqeeqat Se Fasane Se

Mujhe Ab Dar Nahi Lagta

Kisi Ki Na"Rasai Se
Kisi Ki Parsai Se
Kisi Ki Bewafai Se
Kisi Dukh Intehai Se

Mujhe Ab Dar Nahi Lagta

Na To Is Paar Rehne Se
Na To Us Paar Rehne Se
Na Apni Zindgani Se
Na Ik Din Mout Aane Se
Mujhe Ab Dar Nahi Lagta......



Sunday, 19 January 2014

Mujhe Tum Yaad Aati ho




Mukadar k sitaro'n per
Zamane k isharo'n per 
Udasi k kinar'n per
Kabhi Weraan Sehra mein
Kabhi Sunsaan raaho'n mein
Kabhi Heraan Aankho'n mein
Kabhi be jaan lamho'n mein
Tumhari yaad hole se
Koi Sargoshi krti hai
Ye palkei'n bheeg jati hain
Wo Aansu toot girte hain
Mein Palko'n ko Jhukata hun
Bazahir muskurata hun
Fakat itna he kehta hun
mujhe kitna satati ho
Mujhe tum yaad aati ho
Mujhe tum yaad aati ho



Tuesday, 7 January 2014

Us ne jab jab bhi mujhe dil se pukara Mohsin

Us ne jab jab bhi mujhe dil se pukara Mohsin
Main ne tab tab ye bataya ke tumhara Mohsin

Log sadiyon ki khataon pe bhi khush baste hain
Hum ko lamhon ki wafaon ne ujara Mohsin

Jab aa gaya ho ye yaqin ab woh nahi aaye ga
Gham aur anso ne dia sahara Mohsin

Woh tha jab pas to jeney ko bhi dil karta tha
Ab to pal bhar bhi nahi hota guzara Mohsin

Us ko pana to muqadar ki lakeron mein nahi
Us ka khona bhi karen kesey gawara Mohsin

Monday, 6 January 2014

Aik qatra malaal bhi boya nahin geya



Aik qatra malaal bhi boya nahin geya
Woh khauf tha ke logon se roya nahin geya,

Yeh sach hai ke teri bhi neendain ujarr gayin,
Tujh se bichar ke hum se bhi soya nahin geya,

Us raat tu bhi pehle sa apna nahin laga,
Us raat khul ke mujhse bhi roya nahin geya,

Daman hai khushk, ankh bhi chup chaap hai bohat,
Larriyon mein aansuyon ko piroya nahin geya,

Alfaaz talkh, baat ka andaaz sard hai,
Pichlaa malaal aaj bhi goya nahin geya,

Ab bhi kahin kahin pe hai kalakh lagi huyi,
Ranjish ka daagh theek se dhoya nahin geya

Aansu jo beh rahey hein inhein behney do



Aansu jo beh rahey hein inhein behney do 
Yeh keh rahey hain dil ki baat, kehney do 

Bahot bawafa ho tum, yeh hum ko hai maloom 
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do! 

Mila to kya mila tumhein chahney kay baad 
Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do 

Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna 
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do 

Mar gaye auron ke liye hum Sanam 
Tum apni khatir hum ko Zinda rehney do


Saturday, 2 February 2013

Hawa kay hathon ki meherbaani se dar gaaye hain

Hawa kay hathon ki meherbaani se dar gaaye hain
Yeh phool khushboo ki raye gain se dar gaaye hain

Humein bhi rukhsat ki rasam kuch tu nibahna thi
Tumhaari aankhon mein aaye paani se dar gaaye hain

Yeh teer jitney fizaa main aakar thair gaaye hain
Kisi parinday ki bay zubaani se dar gaaye hain

Inhein bhi dariya main apni kashti utarna thi
Jo log lehron ki sar giraani se dar gaaye hain

Yeh hum jo sheher-ewafa main gumsum kharay hue hain
Phir ik taaza ghalat bayani se dar gaaye hain

Abhi tu dil ko udaas karti nahiin hain shaamein
Abhi se kyun ghum ki hukumraani se dar gaaye hain

Humein bhi saahil pe geet likhna the seepiyon se
Magar hawaon ki meherbaaniyon se dar gaaye hain