Saturday, 17 April 2010

Wo de raha hai dhalasay to umar bhar ke mujhe

Wo de raha hai dhalasay to umar bhar ke mujhe
bicher na jaye phir kahien udass ker ke mujhe

jahan na to na teri yadoon ke qadam hoon gay
Dara rahay hain wohi Merhalay safar ke mujhe

hawaye dasht mujhe ab tu ajnabi na samjh
ke ab to bhool gay rastay bhi ghar ke mujhe

yeah chand Ashk bhi tere hain sham-e-gham lekin
ujalnay hain abhi haal-o-khud seher ke mujhe

Dil-e-tabha tere gham ko Talnay ke liye
Suna raha hai fasanay idher udher ke mujhe

Kuch is liye bhi main us se bicher gaya Mohsin
Wo door door se dekhay tehar tehar ke mujhe

Wednesday, 30 December 2009

Phir naya saal Aanay ko hai

Phir naya saal Aanay ko hai
Khuda keray ke yeah saal gaye saal ke zakhmoon pe marham rakhay
Khuda keray ke yeah saal nai khushioon ki navid lai
ke beeta saal buhat se durd de gaya
buhat payaron ko buhat apnoon ko sath le gaya

lekin...

wo apnay log jin ke dum se zindagi thi, Muskurahtien Thien
wo yaad nahi aien gay
Kion ke
yaad to unko kertay hain jo bhool Jaien
Aur jo her dharkan main bastay hoon unko kaisay bhulaien

lekin

kahien gaye saal ke malbay talay
zindagi phir muskura rahi hai
bahar phir Aa rahi hai.....

Ab Naiye Saal ki muhlat nahien milne wali

Ab Naiye Saal ki muhlat nahien milne wali
Aa chukay ab to shab-o-roz azaaboon walay

Ab to sab dashna-o-khanjar ki zuban boltay hain
Ab kahan log muhabbat ke nisaboon walay

Zinda rehnay ki tamanah ho to ho hi jatay hain
Fakhtoon ke bhi kirdar uqaboon walay

Na mere zakham khilay hain na tera rang-e-hina
Mousam aye hi nahien ab ke gulaboon walay

Suna hai naya saal Phir Aa raha hai

Khushian bhi hoon gi, Bahrien bhi hoon gi
Mager hum tu guzray December ki sochoon main gum hain
Ke jab tu mere pass thi
Hath tera mere hath main tha
Aur khushian char soo humare sath thien
Mager ab akele tumhaien sochtay hain
Yahee khoof daman se lipta huwa hai
Ke aisa na ho is baras bhi December
Tumharay bina hi kahien beet jaye
December to her saal ata rahay ga
Mager tum na ho gay to kuch bhi na hoga

Suna hai nayaa saal pher aaraha hai

Monday, 9 March 2009

Muhabbat kis ko kehtay hain

Muhabbat kis ko kehtay hain
Humien tum ne sikhaya tha
Ibadat kis ko kehtay hain yeah bhi tum ne bataya tha
Mager jab hum muhabat ki kisi wadi main khoye thay
Suhanay khawab mairy jagti Aankhoon main soye thay
Humien tanha kiya tum ne koi awaz tuk na dee
Tumhain dhoondha buhat sapnay sajati mairu AankhooN ne
Buhat khush-fehmian palay
Buhat hi door ja niklay
Jahan se lout anay main
Humien ik umer lagni thi
To us dum ik pal socha!
Ke kion na hum kuch door aur ja batkien
Kisi nayee oor ja niklien
Kisi ke sath phir hum bhi
Khail muhabbat ka phir khailien
Kisi ka torde dien dil hum
Kisi ko soze main dhakelien
Mager mushkil pari hum ko
Ke hum pather nahi balkay dharakta dil hi rakhtay hain

Ho Gayee Rukhsat Ghatta Barish Ke Baad

Ho Gayee Rukhsat Ghatta Barish Ke Baad
Ik Diya Jalta Raha Barish Ke Baad

Mairay Behtay Aansoon Ko Dekh Ker
Ro Pari Thandi Hawa Barish Ke Baad

Mairy Tanhaye Ka Daman Thaam Ker
Kuch Udassi Ne Kaha Barish Ke Baad

Yaad Teri Orh Ker Main So Gaya
Khawab Ka Der Khul Gaya Barish Ke Baad

Chand Dekh Ker Badloon Ki Qaid Main
Ik Sitara Ro Deya Barish Ke Baad

Apnay Kachay Ghar Ki Her deewar Per
Naam Tera Likh Deya Barish Ke Baad.

Wo Poochti Hai

Wo Mujh se Mairy Udassioon ki Wajha pochti hai
Kitni Pagal hai Raat ke Sanatay ki Wajha pochti hai

Wo Mujh se Mairay Aansoon ki Wajha Pocthi hai
Kitni Pagal hai Barish ke barasnay ki Wajha pochti hai

Wo Mujh se Mairy Pasand pocthi hai
Kitni Pagal hai Khud apnay hi baray main pochti hai

Wo Mujh se Mairy Wafa ki intihaa pochti hai
Kitni Pagal hai Sahil per Khari Samandar ki Gehrai pochti hai