Saturday, 2 February 2013

Fiza main jaisay koi khushbouon ka raqs jaaga hai

Fiza main jaisay koi khushbouon ka raqs jaaga hai
Sunheri titliyaan phir se gulaabon kay
 labon ko choo kar aayi hain
Darakhton ki khuli banhon
 main saye baat kartay hain
Udaasi ashak ankhon main
 liye ab door nikli
Isi dhaltay hue din ki mundeeron per
Chiraagh-e-shaam jalta hai
Tu dast-e-meherbaan jaise..

Meray aanchal kay konay se wafa ka 
aik lamha bandh deta hai
Meray sehen-e-hunar main
 hurf-o- maani ki talaawat saans leti hai
Koi roshan sitarah aasmaan per muskuraata hai
Samander geet gaata hai

Kamala-e-ahd-e-masti hai
Jahaan pe mausam-e-jaan bhi hairaan lagta hai
Koi chehra meray dil kay badan se aan lagta hai
Yeh hi chupkay se kehta hai

Mujhay tumse mohabbat hai
Mujhay tumse mohabbat hai

Humein khabar hai

Humein khabar hai
Tamaam dukh hai
Yeh zindaagi ko jo aasmaano ki wasaaton say
Hazaar sadiyon se mil raha hai
Piyaam dukh hai

Jo karzaar-e-zawaal-e-hasti ko
Dhoop chauon ki aahaton se chal raha hai
Nizaam-e-dukh hai..

Seher tu ikn mukhtasir sag hum hai
Tauveel din ki havailiyon kay
Jo raaston main thair gayi hain..
Who sham dukh hai..

Who shaam dukh hai
Kay iski shay per kayi dino se
Musaafiran-e-abad ka aisay firaaq asaar raaston per
Safar tu khair ik ulmiya hai
Qayaam dukh hai

Yeh as dukh hai‚niraas dukh hai
Udaasiyon ka libaas dukh hai

Yeh tashangi jo azaab ban kart hair gaayi hai
Badan kay boseedah saahilon per
Tu uska ahd-e-dawaam dukh hai
Yeh shor karti hawa ka sara kharaam dukh hai
Humein khabar hai
Tyamaam dukh hai

Yeh tum mohabbat nibahtay ho
Tu us mohabbat ka naam dukh hai
Yeh wasal mausam jo ik musalsal mughalta hai
Tu us rifaaqat ka naam dukh hai
Aur aisi wehshat numaan fiza main
Khamosh rehna bhi ik saza hai
Magar kisi se kalaam dukh hai

Humein khabar hai
Tamaam dukh hai

Aankhein tanha ho jaati hain

Aankhein tanha ho jaati hain
Dard ka sehra ho jaati hain

Dil ka kya hai dil ki baatein
Aksar ruswaa ho jaati hain

Tu hota hai laiken shaamein
Kaisay tanha ho jaati hain

Teray bin yeh chandni raatein
Ghum ka naksha ho jaati hain

Asal ki janib laut kay akhir
Naslein ik ja ho jaati hain

Kyun har baar safar ki shamein
Tera chehra ho jaati hain

Hawa ko awara kehne walon

Hawa ko awara kehne walon
Kabhi tu socho kabhi tu likho
Hawayein kyun apni manzilon se bhatak gayi hain
Na unki aankhon main khawab koi
Na khawb main intezaar koi

Ab unkay saaray safar main subhay yaqeen koi
Na shaam-e-sada aitbar koi
Na unki apni zameen koi na aasman per koi sitarah
Na koi mausam na khushboo ka istaara
Na roshni ki lakeer koi na unka apna safer koi
Jo unkay dukh per kitaab likhay
Musafirat ka azaab likhay
Hawa ko awaara kehnay walon
kabhi tu socho!

Mohabbat ki aseeri se rehayi mangtay rehna

Mohabbat ki aseeri se rehayi mangtay rehna
Buhut asaan nahiin hota judayi mangtay rehna

Zara sa ishq karlena zara si aankh bhar lena
Phir us kay baab main saari khudayi maangtay rehna

Kabhi mehroom honton per dua ka hurf rakh dena
Kabhi wehshat main uski narsayi mangtay rehna

Wafaon kay tasalsal se mohabbat ruth jaati hai
Kahaani main zara si bay wafayi mangtay rehna

Ajab hai wehshat-e-jaan bhi kay adat ho gayi dil ki
Sukoot-e-sham-e-ghum se hum navayi mangtay rehna

Kabhi bachay ka nanhe haath per titli kay per rakhna
Kabhi phir us kay rangon say rehayi mangtay rehna

Sabhi jazbay badaltay ja rahay hain

Sabhi jazbay badaltay ja rahay hain
Kay jaisay khawab martay ja rahay hain

Koi dil kay liye dil kay makin ko
Nazar andaaz kartay ja rahay hain

Jo dil ka haal hai dil jaanta hai
Bazahir tu sambhaltay ja rahay hain

Chalay tu hain tumharay sheher say hum
Kaaf-e-afsos maltay ja rahay hain

Kabhi jin main guroor-e-tazgi tha
Who khado khaal dhaltay ja rahay hain

Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko

Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko
Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain
Char su gunjti ruswai kisay kehtay hain
Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko
Koi lamha ho teri yaad mai kho jatay hain
Ab to khud ko bhe muyassar nahi aaa patay hain
Raat ho din ho tere pyar mai hum behtay hain
Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain
Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko
Woh jo ghum aye usay dil pay saha kertey thay
aik saath hum mil ker raha kertey thay
Ab akelay he zamanay ke sitam sehtay hain
Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain
Ab Jo bichray to ehsaas hua hai hum ko
Hum Nay khud apni raahon mai bichaye kantay
Gher mai phoolon ke jagah la ker sajaye kantay
Zakham iss dil mai basaye howe khud rehtay hain
Yun toh duniya ki har cheez haseen hoti hai
Pyar say maghar kuch bhe nahi hoti hai
Rastah rok kay har aik say yehi kehtay hain
Ab jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko
Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain
Char so gunjti ruswai kisay kehtay hain
Ab jo bichray to ehsaas hua hai hum ko