Saturday 15 November 2014

Udas Karna Udas hona

Udas Karna Udas hona
Na Door rehna na paas hona

Woh aahaton ka sunai dena
Aur Mujhko Tera qayaas hona

Acha lagta hai Tujh se milna
Mujhko Tera Libas hona

Main Aankhon Ankhon mein sab kahon ga
Tum kuch Ishara Shanas hona

Meri yaadon se baatain krna
Jab kabhi Tum Udas hona..!!! 

Jo Rishtey Dil se jurte hain inhain tora nahi karte

Jo Rishtey Dil se jurte hain inhain tora nahi karte
Kisi ka saath Raste mai kabhi chora nahi karte

Kahin is se Tumhare haath hi zakhmi na ho jayein
Jo Toote Aaina to phir ise jora nahi karte

Koi Toofan Teri Kishti ko Garq-e-Aab na karde
Kabhi Biphri hoi Mojon ka Rukh mora nahi karte

Tijarat ke usulon per Mohabbat ki nahi jati
Muhabbat mai kabhi Jazbaat ka Souda nahi karte

Sitam karna Mohabbat per, yeh hai Adat zamane ki
Zamane ke sitam per Hum yeh Dil tora nahi karte

Muhabbat ke usulon mai, yehi pehla usool apna
Ke Hum apni Mohabbat ko kabhi Ruswa nahi karte..!!

rishta


Na Sada'en Badlti Hain,

Na Sada'en Badlti Hain, 
Na Wafa'en Badlti Hain, 

Kuch Logon Ki Bas Ada'en Badlti Hain, 

Toot Jata Hai Bana Banaya Aashyana Ik Pal Main, 
Jab Mosmon Ki Tarah Hawa'en Badalti Hain, 

Apna Sab Kuch De Dete Hain Hum Chahat Me, 
Na jane Phir Bhi Q Logon Ki Nigah'en Badlti Hain

Saturday 8 November 2014

Tere ishq ki intaha chahta hun

Tere ishq ki intaha chahta hun
Meri sadgi dekh kya chahta hun

Sitam ho k ho wada-e-behijabi
Koi bat sabr-azma chahta hun

Ye jannat mubarak rahe zahidon ko
K main ap ka samna chahta hun

Koi dam ka mehman hun ai ahl-e-mahfil
Chirag-e-sahar hun, bujha chahta hun

Bhari bazm mein raz ki bat kah di
Bara be-adab hun, saza chahta hun

itni mudat bad mile ho!

itni mudat bad mile ho!
Kin sochun me gum phirte ho?
itne khayaf kyn rehte ho?
har aahat se dar jate ho
tez hawa ne muj se pucha
reat pe kia likhte rehte ho?
kaash koi hum se bhi puche
raat gae tak kyn jage ho?
me darya se bhi darta hun
tum darya se bhi ghehre ho
konsi bat hai tum me esi,
itne ache kyn lagte ho?

yun mujhay kab talak sahogay tum

yun mujhay kab talak sahogay tum
kab talak mubtala rahogay tum

dard-mandi ki mat saza pao
ab tau tum mujh se tang aa jao

mein koi markaz-e-hayat nahin
wajah-e-takhleeq-e-kainaat nahin

mera har charah-gar nidhaal hua
yani’ mein kia hua wabaal hua

Jaun gham k hujoom se niklay
aur janaaza bhi dhoom se niklay

aur janazey mein ho yeh shor-e-hazeen
aaj woh mar gaya jo tha he nahin

Kya bohat zaroori hai?

Kya bohat zaroori hai?
Khawb posh ankhon mein,
Aansuon ka bhar jana?

Hasrton se saahil par,
Titliyon ka mar jana?
Habss ki hawaaon mein,
Khushbuyon ka dar jana?
Dil ke garam sehraa main,
Hashar hi barpaa hona?
Dard la’dawaa hona ?
Kya bohat zaroori hai?

Tumhen Jo Besabub Mujh Se

Tumhen Jo Besabub Mujh Se,
Khafa Hony Ki Aadat Hy!

Ye Aaghaz-e-Judai Hy?
K
Andaz-e-Mohabbat Hy?

Wafa k Rung Main Dekho,
Jafa Achi Nhi Hoti!

Kisi se dosti main itni,
Anaa achi nhi hoti!

Chalo ab maan b jaao,
Boht ab ho chuki ranjish!

Kisi din or ker lena,
Ye poori apni tum khuwahish!

Faqat Kehne ki Baatain Hain,
Nibhata Kon Hy kis Ko?

Chalo Ab Dekh Letay Hain,
Manata Kon Hy Kis Ko ..

Is des ki mitti sonay ki

Is des ki mitti sonay ki
Is des kay darya chandi kay
Is des ka mosam khushboo hai
Is des mein such aazadi kay

Yeh des mera mehboob mera

Yahan buta buta phul khilay
Yahan qaryah qaryah gulshan hai
Yahan darya darya noor hai
Yahan zarrah zarrah roshan hai

Yeh des mera mehboob mera

Yeh des hai meray logon ka
Yeh dharti meray apnon ki
Yeh des hai tarah aankhon ka
Yeh dharti meray sapnon ki

Yeh des mera mehboob mera

Monday 3 November 2014

usay kehna


Agar ham khawab ho jaate

Agar ham khawab ho jaate
To kis ne aa k kehna tha,
k tum tabeer ban jao,meri taqdeer ban jao,
aagar ham phool ban jaate,
tumhein yun aasmaan k in sitaron mein
chamakna kaisa lagta hai?
tumhein yak'dam kisi kacche se aangan
mein,
utarna kaisa lagta hai,
agar khushbu hamara naam ho jata,
to kis ne aa ka kahna tha,
hawaon par koi pagham likh jao,
hamare naam likh jao,
fana ko choo k bhi tum ko,
baqa ka yeh hunar kis ne sikhaya hai?
tumhein bekhud bnane ka, saleeqa
kese aaya hai?
tumhein phoolon k seene mein, mehakna
kaisa lagta hai,
magar ham kuch nahi janaan!
kahan khushbu ki soorat hein,
kahan ham phool jese hein,
kahan hein chaand ka partoy,
k ham to dhool jese hein
mitti taqdeer jesehein, faqat ham heer
jese hein