Monday, 26 November 2012

Hum log zameen kay rehnay walay


Hum log zameen kay rehnay walay
phirty rahay asmaan sambhalay

aay mjhse khitab karny walay
chehry se naqaab to hata lay

sahir se bicharr gaye musafir
 darya main hain kashtiyon k halay

 ik bheed hai dostoon ki laikin
tanhai ny bun diye hain jalay

hum mujrim e raftaan e shab thy
tasdeeq na kar saky ujalay

duniya tjhy chortay hain hum bhi
ja tu bhi ab apna raasta lay

 soraj hai zameen pe girnay wala
mumkin ho to saye ko bacha lay

 mushkil hai Saleem ghar basana
diwar ka kya hai jo utha lay

Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai

Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai
Ke toot kar bhi mera hosla chittan ka hai,

Bura na maan meray Hurf-o-Lafz zehar sahi,
Main kia karoon ke yehi zaiqa zubaan ka hai,

Meri sanjeedgi mash'hoor hai zamanay mein,
Meri khamoshi bhi pehlu meray baaan ka hai,

Har aik ghar pe musallat hai dil ki veerani,
Tamaam shehr pe saaya meray makaan ka hai,

Bichar ke us say main sirf is ly nhi bikharta,
Wo keh gaya tha yehi waqt Imtehaan ka hai.

Aisa toota hai tamanaon ka pindaar k bus

Aisa toota hai tamanaon ka pindaar k bus !
Dil ne jhailay hain mohabbat mein wo azaar k bus !

Ek lamhay mein zamanay mere hathon se gaye !
Es qadar taiz hui waqt ki raftaar k bus !

Tu kabhi rakh k humein dekh to bazaar k beech !
Es tarha toot k aaein gay kharidaar k bus !

Kal bhi sadiyon ki musaafat pe kharray they donon !
Darmiyaan aaj bhi parti hai wo deewar k bus !

Ye to ek zid hai k Mohsin main shikayat na kerun !
Warna shikway to hain etnay mere yaar k bus !

Wo dilawar jo siah shab k shikari nikle

Wo dilawar jo siah shab k shikari nikle
Wo b charhte hue sooraj k poojari nikle

Sab K hontoon pe mere baad hain batein meri
Mere dushman mere lafzon k bhikari nikle

Ik janaza utha maqtal se ajab shaan k sath
Jese saj kar kisi fateh ki sawari nikle

Behte ashkon se shuaoon ki sabelein photen
Chubhte zakhmon se fan-e-naqsh nigari nikle

Hum ko har doar ki gardish ne salami di hai
Hum wo pathar hain jo har doar main bhari nikle

Aks koi ho khad-o-khaal tumhare dekhon
Bazm koi ho magar baat tumhari nikle

Apne Dushman se main be-waja khafa tha
Mere qatil to mere apne hawari nikle

suno iltija hai itni

suno iltija hai itni
jab meri sansain
mera jism choor dain
jab aankhain weeran ho jain
jab main thak jaoon or gir jaoon
jab main tumhein pukaroon
or aawaz na day paoon jab mujhay jana ho
lootna hoo apnay khuda kay pass
aisay lamhay tum aajana ik
lamhay kay liye hi per dua kay liye
hath uthana meri sard
paishani pay apna hath rakhna
taasuf say sir hilana phir
mairay jinazay ko kandha daina
or apni dunia say door choor aana
bus sirf in chand lamhoon ka sakoon meri
zaindagi pay tumhara ehsan ho ga
kay tumhare hathoon  ka
 lams kaber main bhi mujh say juda na ho ga

Woh apne ghar chala gaya afsos mat karo

Woh apne ghar chala gaya afsos mat karo
Itna hi us ka saath tha afsos mat karo

Insaan apne aap main majboor hai bohat
Koi nahi hai bewafa afsos mat karo

Is baar tum ko aane main kuch dair ho gayi
Thak haar ke woh sogaya afsos mat karo

Duniya main aur Chahne wale bhi hain bohat
Jo hona tha so hogaya afsos mat karo

Is Zindagi ke mujh pe kayi qarz hain magar
Main jald laut aoongi afsos mat karo

Yeh dekho phir se aagayin Phoolon pe titliyan
Ek roz woh bhi aayega afsos mat karo

Woh tum se aaj door hai kal paas ayega
Phir se ALLAH milayega afsos mat karo

Bekaar gee pe bojh liye phir rahe ho tum
Dil hai tumhara Phool sa afsos mat karo...

Thursday, 15 November 2012

Friday, 9 November 2012

Sadiyon Se Ik Sapna Hai,

Sadiyon Se Ik Sapna Hai,
Kaho Pura Karogey Tum??
Bhool Jao Mere Siwa Sab Kuch,
Kaho Aisa Karogey Tum??
Nahi Kuch Or Tamana Ab,
Ke Bas Mere Hojao Tum,
Kabhi Na Chor K Jaogey,
Kaho Aisa Karogey Tum??
Faqat Ik Lafz Sunney Ko,
Kaey Barson Se Tarsa Hun,
Mujhey Apna Bana Lo Tum,
Kaho Aisa Karogey Tum???
Meri pagal mohabbat tumhein yaad aye gi,
Jab Chaand Sitare chamak rahey hOn....
Jab Yaadon k Phool Mehak rahey hon...,
Jab Deed ko Nain taras rahey hon...,
Jab Aankhon se Aansoo baras rahey hon...,

Meri Pagal Mohabbat Tumhein Yaad aayegi...,

Jab Tanhai se Dil Ghabraye ga...,
Jab Tumhein Akela-Pan Satayega...,
Jab koi Khuwab hi nahi ayega...,
Jab Phool Kitab mai hi reh jayega...,

Meri Pagal Mohabbat Tumhein Yaad ayegi

Jo ham mehsoos kartay hain

Jo ham mehsoos kartay hain
agar tum tak pohonch jaye

To bass itna samajh lena
ye un jazbon ki khushboo hai

Jinhay ham keh nahi saktay...
magar tum jo ijazat do...!

To chand lafzon may keh daaloon.......
K
tum bin marr to saktay hain
Tum bin jee nai saktay..

Main Ne Poocha Kaisay Ho?

Main Ne Poocha Kaisay Ho?
Badlay Ho Yan Waisay Ho?

Roop Wohi Andaz Wohi
Ya Phir Is Main Koi Kami?

Hijer Ka Kuch Ihsaas To Ho ga
Koi tumharay pass to ho ga?

Main bichra yeah majboori thi
Kab manzoor mujhe doori thi

Sath Hamara Kab choota
Rooh ka rishta kab toota

Ankh se jo Aansoo behte hain
Tum ko khabar hai kia kehte hain?

Main ne kaha awaz tumhari
Aaj bhi hai humraaz hamari

Phool Wafa ke khil jaien gay
Ik din hum phir mil jaien gay.

Muhabbat Kernay Walay Tu

Muhabbat Kernay Walay Tu
Hamesha Saath Rehtay HaiN

Muhabbat Main Judaee Ka
Koi Mausam Nahin Hota

Zameen WalooN se Yeah Keh Ker
Falak se Dhall Gaya Sooraj

Ujaala BaanT Dainay se
Ujaala Kam Nahin Hota

Mujhay Tum Chorr Ker Khud bhi
Tu Saari Umer Tarpe ho ...

Koi Aesi Saza Datien,
Tumhain Tu Gham Nahin Hota

Aye kaash k Aisa ho jae

Aye kaash k Aisa ho jae,

Jise chaha Tum Ne har lamha,

Jise socha Tum Ne har lamha,

Wo shakhs Tmhara ho jae,

Tum jis se Mohabbat krty ho,

Jise deikh k jeety Mrty ho,

Jise kho dainy Se drty ho,

Wo shakhs Tmhara ho jae,

Wo jis ki yaadon Mein kho kr,

Tum Waqt Guzara krty ho,

Wo jis ki baton Mein kho kr,

Khud Se B kinara krty ho

En Tanha Tanha Raaton Mein

Tum jis ko pukara krty ho

Wo shakhs Tmhara ho jae ♥