Monday, 30 August 2010

...::: Koi Shararat Kerte :::...

Tum Pass Hote to koi shararat kerte
Tujhe le ker bahoon main muhabbat kerte

Dekhtay teri ankhoon main neend ka khumar
Apni khoi hoi neendoon ki shikayat kerte

Teri ankhoon main apna aks dhoondte
Khud se bhi zaida teri chahat kerte

Ik dil hi tha wo bhi uske pass hi tha
Raat bhar jhag ker kis ki hifazat kerte

Sunday, 29 August 2010

...::: Ik Teri Kami :::...

Phir Chand khula phir raat thami
Phir dil ne kaha ik teri kami
Phir yaad ke jhonkay bhehak gaye

Phir pagal Armaan bhehak uthay

phir jannat see lagti hai zameen
Phir dil ne kaha ik teri kami
Phir ghuzray lamhoon ki batien
Phir jagi jagi see ratien
phir thehar gaye palkoon pe nami
phir dil ne kaha ik teri kami

Saturday, 28 August 2010

...::: Wasi Shah Ke Teen Shaire :::...

Dil Ne Wafa Ke Naam Par Kaar-E-Wafa Nahi Kiyaa

"Dil Ne Wafa Ke Naam Par Kaar-E-Wafa Nahi Kiyaa"

By John Elia


Dil Ne Wafa Ke Naam Par Kaar-E-Wafa Nahi Kiyaa

Khud Ko Halaak Kar Liyaa Khud Ko Fidaa Nahiin Kiyaa

Kaise Kahen Ke Tujh Ko Bhii Hamase Hai Vaastaa Koi
Tuune To Hamase Aaj Tak Koi Gilaa Nahiin Kiyaa

Tuu Bhii Kisii Ke Baab Men Ahad-Shikan Ho Gaaliban
Main Ne Bhii Ek Shakhs Kaa Qarz Adaa Nahiin Kiyaa

Jo Bhii Ho Tum Pe Mautariz Us Ko Yahii Javaab Do
Aap Bahot Shariif Hain Aap Ne Kyaa Nahiin Kiyaa

Jis Ko Bhii Shekh-O-Shaah Ne Hukm-E-Khudaa Diyaa Qaraar
Hamane Nahiin Kiyaa Vo Kaam Haan Baa-Khudaa Nahiin Kiyaa

Nisbat-E-Ilm Hai Bahot Haakim-E-Vaqt Ko Aziiz
Us Ne To Kaar-E-Jehl Bhii Be-Ulaamaa Nahiin Kiyaa




Click Here and Read More John Elia Classical Poetry


Akhlaaq na Bartenge Mudaaraa Na Karenge

"Akhlaaq na Bartenge Mudaaraa Na Karenge"

By John Elia



Akhlaaq na Bartenge Mudaaraa Na Karenge

Ab Hm Kisii Shakhs Kii Paravaah Na Karenge



Kuchh Log Ka_Ii Lafz Galat Bol Rahe Hain

Isalaah Magar Ham Bhii Ab Isalaah Na Karenge



Kam_Go_Ii Ke Ek Vasf-E-Himaaqat Hai Bahar To

Kam_Go_Ii Ko Apanaayenge Chahakaa Na Karenge



Ab Sahal Pasandii Ko Banaayenge Vatiiraa

Taa Der Kisii Baab Men Sochaa Na Karenge



Gussaa Bhii Hai Tahaziib-E-Ta’lluq Kaa Talabagaar

Ham Chhup Hain Bahare Baithe Hain Gussaa Na Karenge



Kal Raat Bahut Guur Kiyaa Hai So Ham Ai "John"

Tay Kar Ke Uthe Hain Ke Tamannaa Na Karenge





Click Here For More Classical John Elia Poetry And Poems

Friday, 27 August 2010

...::: baat ki baat by meer taqi meer :::...

Dare kuch khenchti to kehtay bhi mulaqat ki baat
Milna apna jo huwa us se so wo baat ki baat

Hoti hai agarcha kehnay se yaroo paraye baat
Per hum se to kabhi thami na moun pe aye baat

kehtay thay us se milye to kia kia na kahiye "laik"
Wo aa gaya to samnay na uske aye baat

Hum to hoye hain hum bhi tere dhab se Ashna
Wahan tu ne kuch kaha to idher hum ne paye baat

Aalam Saya khana hai kiska roz-o-shab
yeah shore hai ke deti nahi kuch sunaye baat

Thursday, 26 August 2010

...::: Yadoon ka ik jhoonka :::...

Yadoon ka ik jhoonka aya hum se milnay barsoon bad
Pehlay itna roye nahi thay jitna roye barsoon bad

Lamha lamha ghar ujhra hai mushkil se Ehsas huwa hai
Pathar aye barsoon pehlay sheeshay totay barsoon bad

Aaj hamaray huq pe duniya ronay dhonay bethi hai
Phool hoye hain itnay sastay jannay kaisay barsoon bad

Bhool bhi jaoo kis ne torda, kaisay torda, kion torda
Dhoond rahay ho kia ghalioon main dil ke tukray barsoon bad

Dastk ki umeed lagye kab tuk jeetay hain
Kal ka wada kernay walay milnay aye barsoon bad