Sunday, 9 September 2012

Kitnay parwanay jalay raaz yeh panay ke liye


Kitnay parwanay jalay raaz yeh panay ke liye,
Shama jalnay ke liye hai ya jalanay ke liye.

Ronay walay tujhe ronay ka saliqa bhi nahi,
Ashq peenay ke leye hain ya bahanay ke liye.

Aaj keh donga shab-e gham ki shararat un say,
Roz aa jati hai kambakht satanay ke liye.

Mujh ko maloom tha aap aingay merey ghar lakin,
Khud chala aya hoon main yaad dilanay ke liye

Saturday, 8 September 2012

koi samJhega kya raz-e-gulshan


koi samJhega kya raz-e-gulshan 
jab tak ulJhe na kaanTon se daamaN 

yak-ba-yak saamne aa na jaana 
ruk na jaaye kahin dil ki dhaDkan 

gul to gul, khaar tak chun liye haiN 
pir bhi kHaali hai gulcheeN ka daamaN 

Itni aara'ish-e aashiyaana 
TooT jaaye na shaakh-e nashemaN 

Azmat-e aashiyaana badha dee 
barF ko dost samjhooN ke dushmaN 

jaWaani ke heele, haya ke baHaane


jaWaani ke heele, haya ke baHaane 
Ye maana ke tum mujhse parda karOgi 
Ye duniyaN magar tuJh si bHolee nahiN hai 
chupaa ke mohabbat ko rusWa karo gi 

baDi koshishoN se, baDi kHwaahishoN se 
taMaNNa ki seHmi hui saazishoN se 
mileGa jo mauqa to be-chain hokar 
darichoN se tum mujh ko dekha kaRoGi 

sataayeGi jaB chaandni ki udaasi 
duKhaayeGi dil jab fiZaa ki khamosHi 
ufaQ ki taraf khaali nazareN jamaa kar 
kabHi jo na socha wo socha karoGi 

kabhi dil ki dhaDkan bhi mehsoos hoGi 
kabhi thanDi saaSoN k thooFaaN uThen Gay 
kabhi Gir ke bistar pe aaHeN bharoGi 
kabhi jHuK ke takiye pe roYa karogi

log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyoon haiN


log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyoon haiN 
itna dartay hain to phir ghar say nikaltay kyoon haiN 

main na jugnu hoon diya hoon na koi tara hoon 
roshni vaalay meray naam say jaltay kyoon haiN 

neend se mera taa'lluq hi nahin barson se 
khawab aa aa kay meri chhat pay tehaltay kyoon haiN 

mod hotaa hai jawaani ka sambhalne kay liye 
aur sab log yahin aa kay Phisaltay kyoon haiN 

Nahi Hai Dosti Jiss Sey!

Mujhe Mehsoos Hota Hai
Lutf E Zindagi Kum Hai

Gham E Dil Hadd Sey Barh Kr Han
Muyassar Ab Khushi Kum Hai

Musalsall Dil Ki BeChaini Ko
Kiya Kehtey Han Dil Waley

Tumhen Maloom Ho Shayd
Mujhe To Aagahi Kum Hai

Ab Iss Ke Baad Jism o Jaan Ko Bhi
Jalaney Se Kiya Haasil

Charaghon Me Lahu Jalta Hai
Phir Bhi Roshni Kum Hai

Jisey Bhi Dost Samjha!
Dushman e Jaan Wo Thehra!

Nahi Hai Dosti Jiss Sey
Usi Sey Dushmani Kum Hai!


Filed in sad poetry sms

Kanwara - Funny Urdu Poetry


Dobte  ko  tinke  ka  sahara  chaye..........
Shadi ke liye bas, Ama'n ka Ishara Chaye

Hazar nuqs nikalti hai larki ke chehre mein
Koi in se pocho! kia sitara chaye .............

Char suitoon se baat nahi banay gi 
Sath mein ik khatara chaye...........

Buhat samjhaya ke larki hai yahi behter
Mujhe bhi to ghunahoon ka kufara chaye

Ama'n kehti hai, Lagaoo kia moul lagatay ho
Aur le jaoo agar larka humara chaye............

Her rate mein milte hain, kahiye kia lijye ga
Dulha, Shadi Shuda, Ya'n Kanwara Chaye?

Payment ker ke kal ko tum bhi keh sako gay
Ab to humien damad, humara sara chaye .....

Tum bhi sun lo larki walo! yeah dasta'n
Phir na kehna humien interview dobara chaye


Ab to rah-ghuzar mein aa ke per gaya hoon
Le chaloo jisko yeah bechara chaye............

Kion dekhaye larki waloon ko itni sharafat "Faisal"
Wo kehte hain ke humien larka thorda awara chaye

Friday, 7 September 2012

Katoon Si Chubhti Hai Tanhai


Katoon Si Chubhti Hai Tanhai
Angaroon Si Sulagti Hai Tanhai

Koi Aa Kar Hum Dono Ko Hunsa De
Main Rota Hoon Rone Lagti Hai Tanhai

Jab Bhi Tere Hisar Se Nikalna Chaha
Yaadoon K Beej Bone Lagti Hai Tanhai

Raat K Kisi Hise Main Yeh Bhi Bewafa Ho Jati Hai
Main Nahi Sota Sone Lagti Hai Tanhai

Tum Se Judaa Ho Kar Is Se Hi Dil Laga Lia Hai
Mar Sa Jata Hoon Jab Khone Lagti Hai Tanhai