Sunday, 22 August 2010

...::: Kuch Ashar :::...

Behter hai ise ghar ke kisi Taaq main rukh do
Tota huwa dil le ke kahan janne lagay ho?

Ashob-e-Nazar se bhi pharkti hai kabhi ankh
Tum yeah na samjhna use yaad anay lagay ho

________

Jo udass hain tere hijer main, jinhien bhoj lagti hai zindagi
ser-e-bazm unko dekh ker tera moun chupanay ka shukria

Jo zamanay bhar ka asool tha wo asool tu ne nibha diya
Yahi rasm tehray gi moutber mujhe bhool jannay ka shukria

________

Wo ik shakhsh ke jis se muhabbtien thien buhat
Hafa hoye to usi se shikiaytien thien buhat

Buhat Aziz thay apnay asool us ko bhi
Humien bhi apni Aana ki zarooratien thien buhat

_________


Hai yeah bhi such ke tere Samnay mujhe barsoon
Koi Rafeeq, Koi kaam bhi na yaad aya

Yeah jhoot bhi nahi hai tujhe jo kal dekha
To kitni dare tera naam bhi na yaad aya

________

Wo Aye bhi to ko0nsa Ehsan ker gay
bethay bethay hum ko parishaan ker gay

______

Apnay khilaf faisla khud hi likha hai aap ne
hath bhi mal rahay hain aap, aap buhat ajeeb hain

Daira war hi to hain ishq ke silsalay tamam
Rah badal rahay hain aap, aap buhat ajeeb hain


________

Meri zindagi ke raaz main ik raaz tum bhi ho
meri bandagi ki Aas main ik Aas tum bhi ho

Tum kia ho mere, kuch ho yan kuch bhi nahi magar
Meri zindagi ke kash main ik kash tum bhi ho

Friday, 13 August 2010

Aik Qita By Wasi Shah

Koi Aisa Pal Bhi Huwa Kere

Koi Aisa Pal Bhi Huwa Kere
Main Kahoon To bas wo suna kere

Meri Fursatien Mere Mashghale
Sabhi apne naam likha kere

Koi baat ho kisi shaam ki
koi ziker ho kisi raat ka

Jo sunanay bethoon use kabhi
Wo sunay to sun ke hansa kere

jo main kahoon chaloo us nagar
jahan jugnoon ka hujoom ho

Wo palat ke dekhay meri taraf
Aur mujhko pagal kaha kere

Monday, 9 August 2010

[Classical Poetry] Ulfat Ke Fassanay Ki Naa Baat Karo Ham Say

Ulfat ke fasaane ki na baat karo hum se,

Is dil ko dukhaane ki na baat karo hum se,

Ik aur bhi hae armaan mehboob tumhein dekhoon,

Bekaar bahaane ki na baat karo hum se,

...

Ik chout lagi dil per ik aah ubhar aai,

Yeh zakhm chhupaane ki na baat karo hum se,



Jis dil mein basaaya tha woh torr diya tum ne,

Is ghar ko banaane ki na baat karo hum se,



Kis tarh katey jeewan ab chal na sakein tanha,

Yeh boujh uthaane ki na baat karo hum se,



Kuchh loug khafa haen to roothey hi rahein hum se,

Phir un ko manaane ki na baat karo hum se,



Kyoon lout ke aaey ho jab toot gaya bandhan,

Ab baat barrhaane ki na baat karo hum se....



Click Here And Read More Classical Poetry

Tuesday, 3 August 2010

[Classical Poetry] Yahi Bohat Hai K Qayam Rahay Wafa Ka Bharam

"Yahi Bohat Hai K Qayam Rahay Wafa Ka Bharam
Koi Kisi Ka Howa Bi Hai Ummer Bhar K Liyey"






Click Here And Read More These Types of Classical Words

[Classical Poetry] Saza Pe Chor Diya Jaza Pe Chor Diya

"Saza Pe Chor Diya Jaza Pe Chor Diya"

Saza Pe Chor Diya Jaza Pe Chor Diya
Har Ek Kam Hum Ne Khuda Pe Chor Diya

Woh Hum Ko Yad Rahkta Ya Bhula Deta
Usi Ka Kam Tha Usi Ki Raza Pe Chor Diya

Us Ki Marzi Bujha De Ya Phir Jala Rakhe
Cheragh Hum Ne Jala Kar Hawa Pe Chor Diya

Us Se Baat Bhi Karte Tu Kis Tarhan Karte
Yeh Masal Dua Ka Tha Dua Pe Chor Diya

Iss Liye Tu Woh Kehte Hain Bewafa Hum Ko
K Hum NE Sara Zamana Wafa Pe Chor Diya



Click Here And Read More Classical Poetry

Saturday, 17 April 2010

Wo de raha hai dhalasay to umar bhar ke mujhe

Wo de raha hai dhalasay to umar bhar ke mujhe
bicher na jaye phir kahien udass ker ke mujhe

jahan na to na teri yadoon ke qadam hoon gay
Dara rahay hain wohi Merhalay safar ke mujhe

hawaye dasht mujhe ab tu ajnabi na samjh
ke ab to bhool gay rastay bhi ghar ke mujhe

yeah chand Ashk bhi tere hain sham-e-gham lekin
ujalnay hain abhi haal-o-khud seher ke mujhe

Dil-e-tabha tere gham ko Talnay ke liye
Suna raha hai fasanay idher udher ke mujhe

Kuch is liye bhi main us se bicher gaya Mohsin
Wo door door se dekhay tehar tehar ke mujhe