Showing posts with label Mohsin. Show all posts
Showing posts with label Mohsin. Show all posts

Saturday, 22 March 2014

Woh log hi qadmon se zameen chheen rahy hen


Woh log hi qadmon se zameen chheen rahy hen
Jo log meray qadd ky baraabar naheen aatay

IK "Tum" ky Tumhare liye Main bhi' Meri jaan bhi.
IK Main' ky Mujhe Tum bhi muyassar naheen atay.

Jis shaan se LOtey hen ganwa kar Dil-o-jaan Hum
Es taur to Haarey huwey Lashkar naheen atay.

Koi to khabar laaye Merey Dushmn-e-Jaan ki
Kuch Din se Meray sehn men Pathar naheen atay.

Dil Bhi koi Aasaib ki Nagri hay ky 'MOHSIN'.
Jo is se nikal jatey hain murr kar naheen atay..

Wednesday, 29 January 2014

Usko Fursat Hi Nahi Waqt Nikale Mohsin





Usko Fursat Hi Nahi Waqt Nikale Mohsin,

Aise Hote Hain Bhala Chahne Wale Mohsin,



Yaad K Dasht Mein Phirta Hon Main Nange Paon,
Daikh Toh Aa K KAbhi Paon K Chahle Mohsin,

Kho Gayi Subha Ki Ummeed Aur Ab Lagta Hai,
Hum Nahi Hon Gay K Jab Hon Gay Ujale Mohsin,

Khaak Ko Bhi Nahi Pahunche Ga Koi Karbal Ki,
Ab Bhale Aik Jahan Khoon Mein Naha Lay Mohsin,

Main Kahan, Hakim-e-Waqt Kahan, Adal Kahan,
Kion Na Khalqat Ki Zuban Par Lagain Taale Mohsin,

Wo Jo Ik Shakhs Mata-e-Dil-o-Jaan Tha Na Raha,
Ab Bhala Kaun Mere Dard Sambhale Mohsin.



Wednesday, 8 January 2014

Khud-bakhud chor gaye hain to chlo thek hua





Khud-bakhud chor gaye hain to chlo thek hua....

Itne Ahbab kahan hum se Smbhaly jaty....

Ghalib ki trah koocha-e-jana'an se Mohsin....

Na nikalty to kisi roz Nikale jaty




Tuesday, 7 January 2014

Us ne jab jab bhi mujhe dil se pukara Mohsin

Us ne jab jab bhi mujhe dil se pukara Mohsin
Main ne tab tab ye bataya ke tumhara Mohsin

Log sadiyon ki khataon pe bhi khush baste hain
Hum ko lamhon ki wafaon ne ujara Mohsin

Jab aa gaya ho ye yaqin ab woh nahi aaye ga
Gham aur anso ne dia sahara Mohsin

Woh tha jab pas to jeney ko bhi dil karta tha
Ab to pal bhar bhi nahi hota guzara Mohsin

Us ko pana to muqadar ki lakeron mein nahi
Us ka khona bhi karen kesey gawara Mohsin