Tuesday 15 April 2014

Main Nafraton k jahan mein reh kar, juda rahon ga to kia karonga

Main Nafraton k jahan mein reh kar, juda rahon ga to kia karonga?
Ye theek kehte ho bewafa hon, wafa karon ga to kia karonga?


Bas aik tu hi reh gia ha, jahan sara to kho chuka hon
Tujhe bhi apni ana mein aa kar khafa karon ga to kia karonga?


Hazar sajdey to kar chuka hon qaza tumhari mohabbat mein
Main ab dikhawey ka koi sajda ada karon ga to kia karonga?


Baghair pani k koi machhli bhala kabhi reh saki ha zinda
Main tujh ko kho kar, kisi ka ho kar, bata karon ga to kia karonga

No comments:

Post a Comment