Monday 31 March 2014

Jinhain khuab dekhna acha lagta he

Mukhlis har kisi k sath rehta hon
Shayed isi liye khali hath rehta hon


Mery Ban Jao


Jo main sar bsajda hoa kabhi to rme se aany lagi sada
Tera Dill to he sanam aashna tujhy kia mily ga namaz me


Mery Ban Jao


Jinhain khuab dekhna acha lagta he
Unhain ratain choti lagti hain

Jinhain khuab pora karna acha lagta he
Unhain Din choty lagty hain


Mery Ban Jao


Main fana ho gya wo badla phir bhi nahi
Meri Chahat se bhi sachi thi nafrat us ki


Mery Ban Jao


Mery Shaher Me Meri Nasal Lotny Walo
Pata he kis tarha beta jawan hota he


Mery Ban Jao


Saturday 29 March 2014

Rainy Day Sms

Aaj bhi wesa hi mosam he
Aaj bhi wesy hi badal hain

Aaj bhi wei hi barish he
Jab ham pehli bar mily thy

k yad he hum ne ye socha tha
hum ko milty dekh kar mosam

itna khush he itna khush
k iski aankhain bhig gai hain

Magar aaj ye jaan gaye hain
Mosam is din ku roya tha




Mery Ban Jao



Is barish k mosam main ajeeb si kashish he
Na chahty hoy bhi koi shidat se yaad aata he



Mery Ban Jao


Wo to kuch hogi tum se muhabat warna
Hum wo khud sar hain k apni bhi tamana na karain


Mery Ban Jao


Dua he barish k jitny qatry girain
itni hi aapko khushiyan mily


Mery Ban Jao


Wo janta tha bohat Pasand hain barshain mujhy
Is liye shayed

wo jaty samy meri aankhon ko wo de gya he sawan ka pta


Mery Ban Jao


Nadan thy jo rakhty thy umeedain kisi par
Zat-e-Allah k ilawa koi kisi ka nahi hota


Mery Ban Jao


Barish hoi to ghar k darechy se lag k
chup chap sogwar tujhy sochty rahy


Mery Ban Jao

Thursday 27 March 2014

Raat abhi Tanhai ki pehli dehliz par he Parween Shakir

Raat abhi Tanhai ki pehli dehliz par he
Or meri Janib hath barhati he

Soch rhi hon Unko Thamo
Zena zena Sanaton k tehkhany me utron

Ya apny kamry me thron
Chand meri Khirki par dastak deta he


Mery Ban Jao



Ik pasheman si hasrat mujhy sochta he
ab whi sher muhabat se mujhy sochta he

Me to mehdood se lamhon me mili thi us sy
Phir bhi wo kitni wazahat se sochta he mujhy

Jis ne socha he na tha hijar ka mumkin hona
Dukh me dobi hoi herat se mujhy sochta he

Me to mar jaon agar sochty lag jaon usy
Or wo kitni saholat se mujhy sochta he

Garta ab tarke mirasam ko bohat der ho gyi
Ab bhi wo meri Ijazat se mujhy sochta he

Kitna Khush fehm he wo shakhs k har mosam me
Ik nay rukh nai sorat se mujhy sochta he



Mery Ban Jao


Google          Facebook         Twitter         Yahoo           bing          

Parween shakir Urdu Poetry

Meri talab tha ik shakhs wo jo nahi mila to phir
Hath dua se yon gira bhul gya sawal bhi

Uski sukhan taraziyan mery liye bhi dhal theen
Uski hansi me chup gya apny ghamon ka khiyal bhi

Gahe qreebe shahrag Gahe baede whemo Khuaab
Uski rafaqaton me raat hijar bhi tha wisal bhi

Usky bazon me pr us ko hi sochty rhy
jism ki khuahish pe the roh k aor jaal bhi

Sham ki nasamjh hawa poch rhi he ik pata
Mojh hoy koi yar kuch to mera khyal bhi



Mery Ban Jao



Kuch khabar lai to he yaad bhari uski
Shayed Is rah se guzry gi sawari us ki

Mera chehra he faqat us k nazar se roshan
Or baqi jo he mazmon nigari uski

Aaj to uspy therti na thi aankh zara
Usky jaty hi nazar meny utari uski

Arsa khuab me rehna he k lot aana he
Fesla karny ki is bar he bari uski



Mery Ban Jao


Jany kab tak teri tasweer nigahon me rahi
Ho gai raat tery aks ko takty takty

Me phir tery tasawar k kisi lamhy me
Teri tasweer py lab rakh diye aahista se


Mery Ban Jao


Google          Facebook         Twitter         Yahoo           bing          

Wednesday 26 March 2014

Best Two line Poetry of WASI SHAH

Me kesy Sard Hathon se tumhary gal chota tha WASI
December me tumhain meri shararat yaad  aay gi

Mery Ban Jao

Tumhara naam likhny ki ijazat Chin gyi jab se
Koi Bhi lafz Likhta Hn to aankhan Bheeg jati hain

hazar mosamon ki hukmarani he mery dill par
WASI me jab bhi tanha hon to aankhain bheeg jati hain

Mery Ban Jao

Dill me afsos ankhon me nami si rehti he
Zindagi me shayed koi kami si rehti he

Mujh se roth jaty hain aksar apny Wasi
Shayed mery khalos me koi kami si rhti he

Mery Ban Jao

Ye zabat chot gya to tumhari yaad aai
Me thak k toot gya to tumhari yaad aai

Tumhary bad na tha koi meri dill k siwa
Ye dill bhi roth gya to tumhari yaad aai

Mery Ban Jao



Google          Facebook         Twitter         Yahoo           bing          

Tuesday 25 March 2014

Me tabah hon tery Piyar Me tujhy Dosron Ka khyal he

Naz He takte guftar pa insano ko
Baat karny ka sleka nhi nadono ko


Mery Ban Jao

Me taba hon tery piyar me tujhy dosron ka khayal he
kuch Mery Masly par Ghor kar Meri Zindagi ka sawal he

Mery Ban Jao

Inteha ho gyi intezar ki
Ayi na kuch khabar mery yar ki

Yeh Hamaain he yaqeen bewafa wo nhi phir wajh
kya he intezar ki?????


Mery Ban Jao

Kanch jesy Hoty Hain hum jesy tanha logon k dill
Kabhi Toot Jaty hain kabhi tor diye jaty hain

Mery Ban Jao



Google          Facebook         Twitter         Yahoo           bing          

Saturday 22 March 2014

Ek pal bhi chain se guzara ho to qasam le lo


Ek pal bhi chain se guzara ho to qasam le lo,
Siwaye yadon k koi or sahara ho to qasam le lo,

Pehlay to bat or thi jo tum pe haq jatate the,
Ab khud pe bhi koi haq hamara ho to qasam le lo,

Tum hi ne kaha tha k tumhare labon pe mera hi naam aye.
US k bad jo kisi ko pukara ho to qasam le lo

Ab muhabbat ki wakalat nai ki ja sakti

Ab muhabbat ki wakalat nai ki ja sakti
shehr bhr sy to adawat nai ki ja sakti

mera chehra meri ankhien hain salamat ab b
kon kehta hai wazahat nai ki ja sakti

baat ye hai k koi toot k chahey to sahi
hr kisi sy to muhabbat nai ki ja sakti

aankh kehti hai kahin or chaley jayen hm..
dil ye kehta hai k hijrat nai ki ja sakti

loh-e-dil pr yehi tehreer likhi hai “wasi”
ishq walon ko naseehat nhi ki ja sakti.

Ik Taza Hikayat Hai

Ik Taza Hikayat Hai
Sunlo Tu Inayat Hai

Ek Shakhs Ko Dekha Tha
Taron Ki Tarah Hm Nay

Ek Shakhs Ko Chaha Tha
Apnon Ki Tarah Hm Nay

Ek Shakhs Ko Samjha Tha
Phoolon Ki Tarah Hm Nay

Wo Shakhs Qiamat Tha
Kia Uski Krain Baatain

Din Us K Lya Paida
Aur Us Ki Hi Thin Raatain

Kb Milta Kisi Se Tha
Hum Se Thin Mulakatain

Rang Uska Shahabi Tha
Zulfon Ma Thin Mahkarain

Aankhain Thin K Jadu Tha
Palkain Thin K Talwarain

Dushman Bhi Agar Dakhay
So Jaan Se Dil Haray

Kuch Tm Se Wo Milta Tha
Baton Ma Shabahat Thi

Haan Tum Sa Hi Lagta Tha
Shokhi Main Shararat Main

Lagta Bhi Tumhi Sa Tha
Dastoor E Muhabat Main

Wo Shakhs Hmain Ik Din
Apno Ki Tarah Bhola

Taron Ki Tarah Dooba
Phoolon Ki Tarah Toota

Phir Haath Na Aaya Wo
Hum Nay Buhat Dhoonda

Tum Kis Lya Chonkay Ho
Tum Kis Lya Chonkay Ho

Kb Zikr Tumhara Hai
Kb Tum Se Takaza Hai

Kb Tum Se Shikayat Hai
Ik Taza Hikayat Hai

Sun Lo Tu Inayat Hai
Ek Shakhs Ko Dakha Tha

Taroon Ki Tarah Hm Nay
Ek Shakhs Ko Chaha Tha
Apnon Ki Tarha Hm Nay

Wo Tum Na Thay Ek Khayal Tha


Wo Tum Na Thay Ek Khayal Tha

Meri Soch Ka Hee Kamal Tha

WO Mohabbaten, Wo Chahaten

WO Uljhanon Ka Hee Jall Tha

Meray Dil Men Theen Jo Ronaqen

WO Tera Hee Husn-o-Jamal Tha

Jawab Jis Ka Mila Nahee

Wo Aisa He Ek Sawal Tha

Wo Aaj Mila To Yun Laga

Yehi To Hai Jis Ka Intazar Tha

Usay Yad Kesay Na Karey Koyee

Ussay Bhoolna To Muhal Tha

Ab Us Kee Men Kya Misal Dun

Wo Khud Apni Misal Aap Thay

KaL Shaam Tere Ghar Qayam Kis Ka Tha

KaL Shaam Tere Ghar Qayam Kis Ka Tha ?
Na Tha K0i Musafir To Ehtmam Kis Ka Tha?
Likh Likh K Ch00mti Rahi Jis Ko RaaT Bhar.!
Humen Bhi Batao W0 Naam Kis Ka Tha?
Jis Ko SuN K R0 Pare EhLe-e-MehfiL.!
Itna Bheegta Hua Anjam Kis Ka Tha ?
Humen Pe K Hosh Na Raha SaQi.!
W0 Haath Kis Ka Tha W0 Jaam Kis Ka Tha…!!!

Itna toota hoon k choony sy bikhar jaoon ga.


Itna toota hoon k choony sy bikhar jaoon ga.
Ab agar aor dua do gy to mar jaaoon ga.

Pooch kar mera pataa, waqt raayegaan na karo.
Main to banjaara hoon, kya jaany kidhar jaoon ga.

Zindagi, ! Main bhi musaafir hoon teri kashti ka.
Too jahaan mujh sy kahy gi, main utar jaoon ga.

Kuch din Say teray Sath koi baat nahi hai,


Kuch din Say teray Sath koi baat nahi hai,
Yoon lagta hay Sadio'n Say Mulaqat nahi hay

Dukh dard Sunao mujhay har baat batao.
Ye dil ki khuwahish hay meri baat nahi hay,

Jab yad teri aye to aa jatay hain aansu.
Main kaysay kahu aankh may Barsaat nahi hay,

Sookhay huway kuch phool hain or ashk hain taaza,
Kuch or meray paas to Söghaat nahi hay,

Waaqif hay meray dard Say Subho ka ujaala.
Laa-ilm meray gham Say meri raat nahi hay,

Main jis kì Mohbat may yoon be-haal hoon ab tak.
Wo hans k ye kehta hay "Koi baat nahi hay".

Koi Sune ga To Kya Kahega


Kisi ki khatir Qaraar Khona,
Koi Sune ga To Kya Kahega?
Tumhara Raaton Ko Uth K Rona,
Koi Sune ga To Kya Kahe ga?

Zamaana Ehd-E-Shabab Ka hy,
Naye Khayaal-O-Khwaab Ka hy.
Ye Shab-Bedari, ye din ka sona,
Koi Sune ga To Kya Kahe ga?

Bhanwar Me Tum Mujhko chor aaty,
yoonhi Mohabbat Ka Raaz rehta,
Ye Laa Ky Sahil Py yoon Dubona,
Koi Sune ga To Kya Kahe ga?

Kaha ye men ny daro KHUDA sy,
hamary dil ko dukha rahy ho.
Wo hans ky boly "Chup raho na",
Koi Sune ga To Kya Kahega...!

Woh log hi qadmon se zameen chheen rahy hen


Woh log hi qadmon se zameen chheen rahy hen
Jo log meray qadd ky baraabar naheen aatay

IK "Tum" ky Tumhare liye Main bhi' Meri jaan bhi.
IK Main' ky Mujhe Tum bhi muyassar naheen atay.

Jis shaan se LOtey hen ganwa kar Dil-o-jaan Hum
Es taur to Haarey huwey Lashkar naheen atay.

Koi to khabar laaye Merey Dushmn-e-Jaan ki
Kuch Din se Meray sehn men Pathar naheen atay.

Dil Bhi koi Aasaib ki Nagri hay ky 'MOHSIN'.
Jo is se nikal jatey hain murr kar naheen atay..

Zameer Soorat-E-Badr-E-Muneer Rakhtay Hain


Zameer Soorat-E-Badr-E-Muneer Rakhtay Hain
Yeh Ek Siffatt Tau Yaqeenan Faqeer Rakhtay Hain

Aggar Mizaaj Tera Mujh Say MiL Nahien Sakta
Teray KheyaL Mujhay Kiyoon Aseer Rakhtay Hain

Barri Khushi Say Humein Loot Lo Pari-Zaado
Keh Hum Mataa-E-Mohabbatt Kaseer Rakhtay Hain

Beghair Ess Kay Na Jaaye Gi Badd-Zani Un Ki
Hum Aaj Apnay KaLejay Ko Cheer Rakhtay Hain

Tawaan-Gari Ka Tau DiL Hi Say Waastah Hai Addam
Kushadah-Zarf Bahut Kamm Ameer Rakhtay Hain

Nazar se nazar tum milane se pehly


Nazar se nazar tum milane se pehly
Zara soch lo dil lagaane se pehly

Zara us k dil main bhi tum jhaank lena
Use raaz dil ka bataane se pehly

Main ye janta hun meri zindgi mein
Koi gham na tha tere aane se pehly

Bohat roya ho ga wo apni khata par
Saza muj ko gham ki sunane se pehly

KHUDA rooth jata he ye soch lena
Kisi dil ko itna dukhane se pehly

Kahin jal na jao khud is aag main tum
Kisi aur ka ghar jalaane se pehle

Qunj-e-Hairat Se Chalay Dasht-e-Ziyan Tak Laye

Qunj-e-Hairat Se Chalay Dasht-e-Ziyan Tak Laye
Kon La Sakta Hy Ham Dil Ko Jahan Tak Laye

Aik Hangama Bapa Hy Pas-e-Diwaar-e-Badan
Hy Kisy Taab-e-Sukhan, Kon Zuban Tak Laye

Thek Hy Chashm-e-Taghaful Ye Teri Dein Sahi
Taab Zakhmon Ki Mgr Koi Kahan Tak Laye

Aankh Weeran Thi Kisi Dasht-e-Tapan Ki Surat
Hum isy Silsla-e-Aab-e-Rawan Tak Laye

Tujh Ko Jo Chahiye Be Khof-o-Khatar Le Ja tu
MéeR Kafir Ho Jo is Dil Me Gumaan Tak Laye.

Ye na thi hmari qismat k wisaal-e-Yaar hota

Ye na thi hmari qismat k wisaal-e-Yaar hota
Agar or jeety rhty yahi intazar hota

tery wady py jiye to ye jaan jhot jaana
K khushi Se mar na jaaty Agar aetbar hota

Teri nazki se jaana k bandha tha ahd boda
Kabhito na tor sakta agar istawar hota

Koi mery dil se pochy tery nemkash ko
ye khlsh kha se hoti jo jigar k paar hota

Ye kaha ki dosti he k bany hain dost nasy
Koi chara saaz hota koi gham kasaar hota

Rage sang se tabakta wo laho k phir na thamta
Jesy gham smajh rahy ho ye agar shrar hota

Gham agarche jaa gasal he py kaha bachain k dill he
Gham-e-Ishk gar na hota gham rosgaar hota

kho kis se me k kia he Shab-e-Gham buri bala he
Mujhy kia bura tha marna Agar Aik bar hota

hOwy mar ke ham jo ruswa hoy q na gark-e-Darya
Na kabhi janaza uthta na kahi mazar hota

Usy Kon dekh sakta K yagana he wo yaqta
Jo doi ki bo bhi hoti to khi do char hota

Ye masayel-e-Tsawaf ye tera Biyan GHALEB
Tujy Hum wali samjhty jo na bada khuar hota

Mery Ban Jao



Google          Facebook         Twitter         Yahoo           bing          

Latest Outclass Poetry