Friday 29 November 2013

Kab Badalti Hain Zamaney Ki Rivayaat!

Ab Tou Mumkin Hi Nahin Un Sey Mulaqaat!
Ab Tou Urooj Pe Ponchi Hai Us Ki Zaat!

Wohi Waadey Hain or Rasmoon Ki Zanjireen Baqi!
Kab Badalti Hain Zamaney Ki Rivayaat!


Faraib Detay To Kab K Smbhal Gaye Hotay


Tere Khaloos Ne Barbaad Kr Diya Ha Faraaz,
Faraib Detay To Kab K Smbhal Gaye Hotay..!

Mere Sapnoon Ko Yun hi Mehktay Rakhna


Mere Sapnoon Ko Yun hi Mehktay Rakhna,
Main Ne Thaama Ha Tera Hath Baray Maan K Sath.!


Judaai Ka Hossla!


Laaon ga Kahan Se Judaayi Ka Hosla,
Kion Is Qadar Mere Qareeb Aa Gaye Ho Tum.!

Nibha Kr Dekhay!


Yeh Udaaasiyaan!


Yeh Ranj Ha!


Tuesday 26 November 2013

Na Koi Fikar Lahaq Hai!!

Na Koi Fikar Lahaq Hai!!
Na Kisi Ki Yaad Aati Hai!!

Magar Ye Dusra Misraa,
Zara Saa Jhoot Lagta Hai!!


Saturday 23 November 2013

Her Tamashai Faqt Sahil Se Manzar Dekhta

Her tamashai faqt sahil se manzar dekhta
Kon darya ko ulat ta kon gohar dekhta

Wo to dunya ko meri diwangi khush agai
Tere hathon me wagarna pehla patthar dekhta

Aankh me aansu jurey they per sada tujh ko na di
Is tawaqu per ke shayed to plat kar dekhta

Meri qismat ki lakeeren mere hathon me na thin
Tere mathey per koi mera muqaddar dekhta

Zindagi pheli hui thi sham e hijran ki tarha
Kis ko itna hosla tha kon ji kar dekhta

Doobne wala tha or sahil pe chehron ka hujoom
Pal ki mohlat thi main kis ko aankh bhar kar dekhta

Tu bhi dil ko ak lahu ki boond samjha he Faraz
Aankh agar hoti to qatrey me samandar dekhta



Friday 22 November 2013

Thursday 21 November 2013

It is enough to feel his love blow by like music over me

DISTANCE

They May Be Near They May Be So far away

She was standing by the window
looking out into the distance

what could she see?

He was standing at a distance,
staring at the window

What could he see?

She became the view in his eyes.
He became the view in her eyes.

They May Be Near They May Be So far away


Mery Ban Jao

Sometimes you get the short end of the stick
You think, how can it be? It must be a trick!

Is this a law of nature that things stay perpetually down?
Is it okay that every day in your life is cause for a frown?

Unrelenting pain you can't satisfactorily explain it,
Its a feeling that keeps you in the darkest deepest pit

I wish I Knew a way out for a temporary respite
Where things are nice light fluffy and always white

I have forgotten how to be healthy and strong
To be among functional humans I just don't belong

When we suddenly become seriously ill with
a debilitating and painful chronic disease
our lives are turned upside down we live
with dozens of devastating symptoms which
make any semblance of normal life impossible.

Mery Ban Joa

It is enough for me by day to walk the same bright earth
Enough that over us by night the same great roof of stars is dim

I do not hope to bind the wind Or Set a fetter on the sea
It is enough to feel his love blow by like music over me

Mery Ban Jao

Together in silence Our wishes can make a Difference

If You Don't stand for something
Yo Will fail for anything

Mery Ban Jao (Be Mine)

A Spider sewed at Night

A Spider sewed at Night
Without a light
Upon an Arc of white.

If Ruff It was of Dame
Or Shroud of Gnome
Himself Himself Inform.

Of Immortality His Strategy
Was Physiognomy.

Mery Ban Jao (Be Mine)

If only there was something that i could say
To Make the sun shine and the rain go away

If there was something i could do
it hurts me to think

That you are feeling so blue
I'll be your umbrella together we'll stand

To weather the storm
I'll be holding your hand

Mery Ban Joa (Be Mine)

Sit by my side Closing your eyes
Together in silence

We call for the end of torturing
the end of killing

the end of the persecution
compassion grows in our hearts

Together in silence
Our wishes can make a Difference

Mery Ban Joa (Be Mine)

I love you because I love You (English poetry)

The smile on my face doesn't mean my life is perfect
It means I appreciate what I have and What God Has Blessed me with

Mery Ban Jao (Be Mine)

I wish I could see through your eyes
So I would know what you like to see

Life isn't easy and it will never be; But Remember
You Have Some friends and one of them is Me.
And Remember too that for me
The Nicest place in the world is right beside a friend
Like you. So I send you this message with my smile
a kiss and a flower Just for you because you are so
Special and so thoughtful too.
And I have been so very lucky to found you as a friend
and anytime you have need of it, I have got a hand for you
to lend

Mery Ban Jao (Be Mine)

You May Fall in love with the beauty of someone
But Remember That Finally You have to live with
The character no the beauty.

Mery Ban Jao (Be Mine)

WHY DO I LOVE YOU

Why try to explain what is inexplicable?
How to talk about an adorable, mysterious love?
I love you because I need You
I love without boundaries, And I hope you need me too.
I love you because I love You
That's it It so simple!

If I love you simply
Because I love to do,
And If I love to love you
If I want you very much
What would I wish from heaven????
To last all eternity!

I love you because I love you
A love without boundaries,
I love you because I love you
That's it It so simple.

Mery Ban Jao (Be Mine)

You are the only one Who can leave me
Speechless yet still inspire
Me to write words of love
I    LOVE   YOU

Mery Ban Jao (Be Mine)

There Is in you a loveliness
That Makes my darkness shine,

And so I'll wait, if wait I must,
To be your VALENTINE

Mery Ban Joa (Be Mine)

Wednesday 20 November 2013

Mat Socho!

Aur us ne
Mere saghar me
Mae surkh undeli  to kaha
                    mat socho!

Tum yahan aye ho
Is mulk ke
Is sheher ke
Is hajla e taskeen me jahan
Sab ke sab raqsan kunan
Naghma e balb
Mast ada
mat socho!
Jagti rat
Ke chehre pe he khushbu ki rida
                     mat socho!


Tum bhi kia log ho
Perdais bhi aatey ho
To le aatey ho
Beemar shab o roz o dil e figar
Azizan e watan ki yaden

Apni zholida o bosida qamizon ki tarha
Jin ke dhabbon ko
Khud kar machinen bhi nahin dho saktin

Ye jo zangar hen ghurbat ke
Khud azar jo tarikiyan zehnon ki hen
Aalaishen jismon ki hen
Is tarha sanbhale huey phirtey ho
Ke jese ye tmhare dil o jaan hon
Is ghari tum ho jahan
Mumlikat khawab nahin
Yaan kisi soch ka gurdab nahin
Zindagi mae ki tarha
Shokh he tarrar he zehrab nahin

Apne kashkol ko dehleez per rakh ao
ke dre waza gari
Is jaga shamil e adaab nahin
Mat socho!

Tuesday 19 November 2013

Aa Mere Yar e Qadah Raiz!!

Chand nikla he meri aankh
Mere dil me utare he tujhe
Aa mere yar e qadah raiz
Mera jaam pukare he tujhe


Yunhi tanhai me betha tha
Sar e sham bhulae huey sari dunya
Yunhi ik yad si jag uthi
To lagne lagi pyari dunya


Main to jesa bhi hun khush waqt hun
Kesi he tumhari dunya
Tum ne jis daoun jeeta he
Isi bazi me hari dunya

Aa mere yar e qadah raiz
Mera hath he khali kab se
Mera dil he choor zakhmon se
Meri aankh sawali kab se

Pesh e manzar me ab ajao
Ke hen asnaam khyali kab se
Muntazir haal me bethey huey logon ki tarha
Yun hi bajatey rahen taali kab se

Aa mere yar e qadah raiz
Mera nam he gali kab se!!

More sad urdu poetry


Monday 18 November 2013

Kahani Dard ki main Dunya Se kiya kehta

Kahani Dard ki main zindagi se kiya kehta
Ye Dard us ne diya hai usi se kiya kehta

Gila to mujh ko bhi kerna tha piyaas ka lekin
Jo khud hi sookh gayi us nadi se kiya kehta

Mery Apny hi mujh ko samjh na Paye kabhi
Me apna haal kisi ajnabi se kia kehta

Andheri raat ne mujhko boht sataya hai
Bhala ye baat main ab roshni se kiya kehta

Tamaam shehr me jhoot ka raaj tha shayed
Main apne ghum ki haqeeqat kisi se kiya kehta

Mery Ban Jao

Saturday 16 November 2013

Tankhwah Le Ke Bhi Khali Haath Rahey!!

Tankhwah Le Ke Bhi Khali Haath Rahey!!
Faqat Paise Ki Aani Jani Dekhi

Ye Nokri Ki Zindagani Bhi Ajab Thehri
Na Bacho Ka Bachpan Dekha, Na Biwi Ki Jawani Dekhi!!



Wednesday 13 November 2013

Pyaar Muhabat Us Dor Ki Baat He

Pyaar Muhabat Us Dor Ki Baat He
Jab Maqan Kachy Or Log Sachy Hoa Karty thy

Mery Ban Jao

Ranjish Nahi ye bhi k wo mujh se juda he
Wo khush ho salamat ho yahi meri dua he

Mery Ban Jao

Kuch haar gayi takdeer Kuch toot gaye sapney
Kuch ghairon ne kiya barbaad kuch chorr gaye apny

Mery Ban Jao

Abhi to Dill main halki si khalish mehsoos hoti he
Boht mumkin he kal is ka muhabat nam ho jay

Mery Ban Jao

Tanhai mery dill me samaati chali gai
Kismat bi apny khel dikhati chali gai

Meki hou fizaa me dekhaa jo pyaar ko
Bas yad teri aai or rulaati chali gai

Mery Ban Jao

Boht mehdood sa ek halqa-e-Ehbaab Tha mera
Faqat mastiyan shetaniya nadaaniya

Mery Ban Jao

Monday 11 November 2013

wafa urdu shayari

Ye Or baat he k tujhy parhny ki fursat nahi
Ham to tery sheher me akhbaar bany phirty hain

Mery Ban Joa

Wafa isko nahi Kehte wafa kuch or hoti hai
Muhabat karny walo kiadaa kuch or hoti hai

Tumhe dekha tumhe chahaTumhi se pyar kar bethy
Suno pathar k dill walo muhabat aesi bhi hoti he

Me Chahy gham ka mara hon magar tumko na bhulon ga
K devano k honto pay dua kuch or hoti he

Tadap Uthegi ye dunya ke royega jab dill mera
K dill se phir jo nikalti hai badua kuch or hoti he

Mery Ban Jao

Do din ki zindagi he kiya kro ge ulaj kar
Rho to bholon ki manid bikhro to khushbo ban kar

Mery Ban Jao

Thek he bethy raho Rah Dekho Mar Jao
Wada-e-Yaar he sacha to lagy ga tumko

Mery Ban Jao

Tum meri phli muhabat to nahi ho lekin
Chaha he tumko pehli muhabat ki tarha

Mery Ban Jao

Nafrat hoti to keh dety ham se
Yon Ghairon se mill kar dill Q jalaty ho

Mery Ban Jao


Sunday 10 November 2013

Bewafai koi boht mushkel kam to nahi

Le De k wohi shakhs he Is sher me apna
Dunya Khi us ko bhi samjhdaar na karday

Mery Ban Jao

Har Kisi se muhabat hamari Fitrat nahi
Par Jab kisi ko chahty hain to zindagi waar dety hain

Mery Ban Jao

Yon Zindagi Guzaar Raha Hon Tery Baghair
Jesy Koi Gunah Kiye Ja Rha Hon me

Nay Saal Teri Khushiyan Mana Nahi Sakty
Rasool SAW Jaha Roy Jha Muskura Na sakty

Hamara Sall Nahi Zindagi Husain se he
Ham Apni zist ka mazi Bhula nahi sakty

Mery Ban Jao (Islamic)

Abhi Ikhtiyaar He to ye aalam he
Muhabat farz hoti to kia hota

Mery Ban Jao

Jaao na hamary sanam se sekh lo
Bewafai koi boht mushkel kam to nahi

Mery Ban Jao

Tum Bhi Sada Ho koi chaal badalty hi nahi
Ham Bhi sada hian usi chall me aajaty hain

Mery Ban Jao

To ne ye kia ghazab kiya mujh ko bhi faash kar diya
Me hi to ak raaz tha seena qaynaat me

Mery Ban Jao

Saturday 9 November 2013

Best of Best December Urdu Poetry Collection December Poetry

Wo Jisy Barish Pasand Na thi
Na Jany Q aaj Dair tak tanha
December ki barish me Bhegta raha

Mery Ban Jao

Bas Aaik hi Sur Me Aak hI Ly pay Subha Se
Dekh Dekh Kesy Baras Raha He Udaas Paani

Phwaar Ke malmlain dopaty se ura Rahy Hain
Tamam Mosam Tapak Raha he

Palak Palak ras rahi he Qaynaat sari
Har aik shay bheeg bheeg kar Dekh kesi bojal si Ho gai he

Dimag ki Gili Gili Sochon se
Bhigi bhigi udaas ratain tapak rahi hain

Thaky thaky sy badan me bas dhery dhery se
Sans ka Garm lobaan jal rha he

Mery ban jao

Ik baar to milny aao december aany wala he
Kesa Guzra he ye sall batao December aany wala he

Khush ho jao K milny ka saal aa rha he phir
wasi youn na aanso bahao december aany wala he

Shayed ab k baras bhi wo lot kr na aay
Tanhaiyon abhi chor kar na jaao December aany wala he

Ae mery dukhon k sathiyo Khush ho jao
Apny apny Ghron Ko sajao December aany wala he

Kia pata Phir december aay na aay Jany (WASI)
Meri mano ab tum lot aao december aany wala he
Han December aany wala he.

Mery Ban Jao

Thathrati hoi shab-e-siya or wo bhi taweel tar mohsin
Hijer k maron py qayamat he December

Mery Ban Jao

Muhabat to barish he Jisy Chony ki khuwahish me
Hatheliyan gili ho jati hain Magar hath hmesha Khali Rehta hain

Mery Ban Jao

Best Allama Iqbal Urdu Poetry Hansi aati he mujhy Hasrat-e-Insaan Par

Mana k teri deed K qabil nahi hon me
To Mera Shoq dekh mera Intazaar dekh

Allama IqBaL

Mery Ban Jao

Ki Muhammad Se Wafa To Ham Tery Hain
Ye Jaha Cheez he kia loh-o-Qalam tery hain

Mery Ban Jao

Khudaya Arzoo meri yahi he
Mera nor basirat aam kar de

Mery Ban Jao

Q Manataain mangta he oron k darbaar se
Wo Konsa kaam he jo hota nahi tery Parwardigaar se

Mery Ban Joa

Dill paak nahi to paak ho nahi sakta insaan
Warna iblees ko bhi aty thy wozo k faraayz boht

Mery Ban Jao

Sajdoon k ooz frdoos mily ye bat mujhy manzoor nahi
Beloos ibaadat karta hon banda hon teri mazdoor nahi

Mery Ban Jao

Khudi ko kar buland itna k har taqdeer se pehly
Khuda bandy se khud pochy bata teri raza kia he

Mery Ban Jao

Hansi aati he mujhy Hasrat-e-Insaan Par
Guna Karta he Khud Lanat Bhejhta He Shetaan par

Allama Muhammad Iqbal

Mery Ban Jo Urdu Poetry Collection

Allama Iqbal Best Urdu Poetry

Allama Iqball Best Shayari

Jafa jo Ishq Me Hoti He Wo Jafa Nahi
Sitam Na Ho To muhabat Me kuch Maza Hi Nahi

Mery Ban Jao

Parwaaz He Dono ki Isi Aak fiza me
Kargahis ka Jaha Or He Shaheen Ka Jaha Ore

Alfaaz o Maafi me tfaawat Nahi Lekin
Mula Ki azaan or Mujaahid ki azaan ore

Mery Ban Jao

Jawano ko meri aah shr day
Phir In shaaheen bachon ko baal o par de

Khudaya Aarzoo meri yahi he
Mera Noor Basirat aam kardy

Mery Ban Joa

Jis me na ho inqalaab mot he wo zindagi
Roh um ki hyaat kashmakash Inqalaab

Sorat shamsheer he dast qaza me wo qoom
karti he jo har zama apny amal ka hisaab

Mery Ban Jao

Khuda Kisi Tofaan Se Aasna Kar dey
K tery Bhr ki mojon me iztaraab nahi

Mery Ban Jao

Aqaabi roh jab bedaar hoti he jawano me
Nazar Aati he un ko apni manzil aasmaano me

Mery Ban Joa

Dhondhta phirta hon Iqbal apny aap ko
Aap hi goya musafir aap hi manzil ho

Mery Ban Jao


Sajdon k oz firdos mily ye bat mujhy manzoor nahi
Be los ibadat karta hon banda hon tera mazdoor nahi

Mery Ban Jao

Q manatain mangta he oron k darbar se iqbal
WO kon sa kam he jo hota nahi tery parwardigar se

Mery Ban Jao

Khudi ko kar buland itna k har taqder se pehly
Khuda bandy se khud pochy bata teri raza kia he

Mery Ban Jao

Zindagi kuch or shy he Ilm he kuch or shy
Zindagi soze jigar he Ilam he soze dimagh

Mery Ban Jao

Yhi dars deta he hamain har sham ka surij
Magreb ki taraf jao ge to dob jao ge

Mery Ban Jao

Mot ka nuskha abhi baqi he ae wirde firaq
Chara ghr diwana he me ladon ku kar hawa

Tony dekha he kabhi usy deda ibrat k gal
Ho k peda khak se rangeen qaba ku kar hoa

Mery Ban Jao



Links to Popular sites

Google          Facebook         Twitter         Yahoo           bing



Har Lehza Hai Momin - Allama Iqbal Poetry by vushiners

Tuesday 5 November 2013

Best two Line Urdu Shayari Collection Kehny ko dill me batain boht si hain

Kuch nahi kharidna teri dukaan se e ISHK
Tere Har Saman Me Milawat He

Mery Ban Jao

Khny ko dill me batain boht si hain
Mukhtasar lafzon me meri akhri khuhahish ho tum

Mery Ban Jao

Khi tum bhi na ban jana mazmoon kisi kitab ka
Log bary shok se parhty hain khaniyan bewafaon ki

Mery Ban Jao

Me doob kar jo ubra to bas itna hi dekha
Oron ki tarha Wo bhi kinary par Khara Tha

Mery Ban Jao

Be Waja Nahi Rota Ishk Me Koi Ghaleb
Jisy Khud Se Barh K Chaha Ho wo Rulata He

Mery Ban Jao

Mujh Se har Bar wo nazrain Chura Leta he Faraz
Me Ne kaghaz Par Bhi bna k Dekhi Hain Aankhain Us Ki

Mery Ban Jao

Uski Hasrat ko Mery Dill Me Likhny Walay
Kash Usko Bhi Mere Muqadar main Likha Hota

Mery Ban Jao

Wah Re Ishk Tera Kia Kehna Ishk Karna He To Dard Sehna Seekho

Woh dill nahi rhe WO jazbe nhi rahy
Apny Bhi is daur main apne Nahi Rahe

Halat-e-Zindagi Par Ghor Kiya to Paya
Rishte Zubaan Ke Rahe Dill Ke Nahi Rahy

Mery Ban Jao


Wah Re Ishk Tera Kia Kehna
Jo tujhy Jaan Le Tu Us Ki jaan Le

Mery Ban Jao

Ishk Karna He To Dard Sehna Sekho
Warna Esa Karo Oqaat Me Rehna Sekho

Mery Ban Jao

Ye Jo har Mor Py Aa milti he mujh se
Ye Badnaseebi Bhi Kahi Meri Diwani To Nahi

Mery Ban Jao

Zamany Ka Sahara To Bzahir Ik dikhawa he
Haqeeqat me mujhy Mera Khuda Girny Nahi deta

Mery Ban Jao

Smait rkhi hain apny dill me uski yaadain
Kbhi tanha hota houn to brra dard deti hain

Mery Ban Jao

Best Best Urdu Shayari 2 line sms Poetry Collection

Chashm Nam Dhndti Rhi he Tum ko
Kash dunya main tum hi tum hoty

Mery Ban Jao

Kon pareshan hota ha Tere Gham Main FARAZ
Wo apni hi kissi baat py roya hoga...

Mery Ban Jao

Boht naaz tha mujhy apny chahny walon par
Me Azeez tha sabko magar zrorton k liye

Mery Ban Jao

Toot Sa gya he meri Chahton ka wajood
Ab Koi acha bhi lagy to ham Izhaar nahi karty

Mery Ban Jao

Hazaar Gham Shi Lekin Na Nikly AAnkh se Aanso
Ham Ahle Zarf hain Peety Nahi Chalkaya Nahi karty

Mery Ban Jao

Hum ko acha nahi lagta Koi Hamnaam tera
Koi Tujh sa ho to phir naam bhi tujh Jesa Rakhy

Mery Ban Jao

Aap ko bhol Jaayn Hum Itny To Bewafa Nahi

Aap ko bhol jayn Aap ko bhol jayn hum
Aap ko bhol jayn Aap ko bhol jayn hum
itny to bewafa nahihum itny to bewafa nahi

Aap se kia gila gila karain
Aap se kia gila gila karain
Aap se kuch gila nahi

Aap ko bhol jayn Aap ko bhol jayn hum
Aap ko bhol jayn Aap ko bhol jayn hum

Hum to samajh rhay the ye
Tum Mily piyar mill gaya
Hum to samajh rhay the ye
Tum Mily piyar mill gaya

Ik tery dard k Siwa humko to kuch mila nahi
Ik tery dard k Siwa humko to kuch mila nahi

Shesha-e-Dill ko torna unka to ak khail he
Shesha-e-Dill ko torna unka to ak khail he

Humse hi bool ho gayi Unki koi Khata nahi