Showing posts with label ahmed faraz poetry. Show all posts
Showing posts with label ahmed faraz poetry. Show all posts

Saturday, 14 December 2013

Is Dor e Bejunoon Ki Kahani Koi Likho!!

Is dor bejunoon ki kahani koi likho
Jismon ko baraf'khon ko pani koi likho

Koi kaho ke hath qalam kis tarha huey
Kiun ruk gai qalam ki rawani koi likho

Kiun ahl e shoq sar ba gireban hen dosto
Kiun khun ba dil he ahd e jawani koi likho

Kiun surma dar gulu he her ik taair e sukhan
Kiun gulistan qafas ka he sani koi likho

Han taza sanihon ka karey kon intazar
Han dil ki wardat purani koi likho

Read another poetry:
http://softsonnets.blogspot.com/2013/10/jesay-teri-dunya-se-mujhay-kabhi-jana.html





Thursday, 5 December 2013

Dil Garifta He Sahi Bazm Saja Li Jae

Dil garifta he sahi bazm saja li jae
Yad e janan se koi sham khali na jae

Rafta rafta yehi zandan me badal jatey hen
Ab kisi sheher ki buniyad na dali jae

Mashaf e rukh he kisi ka biyaz e hafiz
Aese chehrey se kabhi faal nikali jae

Wo murawwat se mila he to jhuka dun garden
Merey dushman ka koi waar na khali jae

Be nawa sheher ka saya he merey dil pe faraz
Kis tarha se meri aashufta khayali jae


Saturday, 23 November 2013

Her Tamashai Faqt Sahil Se Manzar Dekhta

Her tamashai faqt sahil se manzar dekhta
Kon darya ko ulat ta kon gohar dekhta

Wo to dunya ko meri diwangi khush agai
Tere hathon me wagarna pehla patthar dekhta

Aankh me aansu jurey they per sada tujh ko na di
Is tawaqu per ke shayed to plat kar dekhta

Meri qismat ki lakeeren mere hathon me na thin
Tere mathey per koi mera muqaddar dekhta

Zindagi pheli hui thi sham e hijran ki tarha
Kis ko itna hosla tha kon ji kar dekhta

Doobne wala tha or sahil pe chehron ka hujoom
Pal ki mohlat thi main kis ko aankh bhar kar dekhta

Tu bhi dil ko ak lahu ki boond samjha he Faraz
Aankh agar hoti to qatrey me samandar dekhta



Tuesday, 19 November 2013

Aa Mere Yar e Qadah Raiz!!

Chand nikla he meri aankh
Mere dil me utare he tujhe
Aa mere yar e qadah raiz
Mera jaam pukare he tujhe


Yunhi tanhai me betha tha
Sar e sham bhulae huey sari dunya
Yunhi ik yad si jag uthi
To lagne lagi pyari dunya


Main to jesa bhi hun khush waqt hun
Kesi he tumhari dunya
Tum ne jis daoun jeeta he
Isi bazi me hari dunya

Aa mere yar e qadah raiz
Mera hath he khali kab se
Mera dil he choor zakhmon se
Meri aankh sawali kab se

Pesh e manzar me ab ajao
Ke hen asnaam khyali kab se
Muntazir haal me bethey huey logon ki tarha
Yun hi bajatey rahen taali kab se

Aa mere yar e qadah raiz
Mera nam he gali kab se!!

More sad urdu poetry


Thursday, 25 October 2012

Hum Juda Kis Se Howe


Din Ko Masmaar Howe, Raat Ko Taamir Howe
Khwaab Hi Khwaab Faqat, Rooh Ki Jaagir Howe


Umr Bhar Likhtey Rahe, Phir Bhi Warq Saada Raha
Jaane Kia Lafz The, Jo Hum Se Na Tehreer Howe


Yeh Alag Dukh Hai Ke, Han Tere Dukhon Se Azad
Yeh Alag Qaid Hai Hum, Kiun Na Zanjeer Howe


Deeda o Dil Mei Tere, Aks Ki Tashkeel Se Hum
Dhool Se Phool Howe, Rang Se Tasvir Howe


Kuch Nahi Yaad Guzishta Shab Ki Mehfil Mei Faraz
Hum Juda Kis Se Howe, Kis Se Baghal Gir Howe


More in sad poetry sms

Sunday, 3 July 2011

Ayaa Hoon Sang E Wehshat Ke Anbaar Dekh Kar

Ayaa Hoon Sang E Wehshat Ke Anbaar Dekh Kar
Khauf Arhaa Hai Sayaa E Deewar Dekh Kar

Aankhen Khuli Rahi Hain Meri, Intazaar Mein
Aaye Na Khwaab Deeda E Bedaar Dekh Kar

Gham Ki Dukaan Khol Ke Bethaa Hua Tha Mai
Aansuu Nikl Pary Hain Kharidaar Dekh Kar

Kya Ilm Tha Ke Phisalney Lagen Ge Mere Qadam
Mai To Chalaa Tha Raah Ko Hamvaar Dekh Kar

Har Koi Paarsa'ai Ki Umda Misaal Tha
Dil Khush Hua Hai Ek GunaahGaar Dekh Kar

Ye Be-Hisi Bhi Waqt E Madad Dekh Li
         ~*~*~FARAZ~*~*~

Katraa Gayaa Hai YaaR Ko Bhi Yaar Dekh Kar


 More in Sad Ghazals