Tuesday, 26 May 2015

Apni ankhon k sabhi ashk baha kr sona

Apni ankhon k sabhi ashk baha kr sona
Tum meri yaad ka hr deep bujha kr sona

Ek sitara bhi mere khiyal ka baqi na rahey
Chandni shabb k nishanaat mita kr sona

Darr lgta hai k ye neend kahin cheen na ley
Tera hr roz mere khawab mein aa kr sona

Baad mein log gira dein gey to koi baat nahi
Her taraf piyar ki dewaar uthaa kr sona

Subah hotey hi tere shehr se jana hai mujhe
Aaj ki raat zara mujh ko mana kr sona...!!

raah aasaan ho ga_ii hogii

raah aasaan ho ga_ii hogii
jaan pahachaan ho ga_ii hogii

phir palaT kar nigaah nahii.n aa_ii
tujh pe qurabaa.N ho ga_ii hogii

terii zulfo.n ko chhe.Datii thii sabaa
Khud pareshaa.N ho ga_ii hogii

maut se tere dard_mando.n kii
mushkil aasaan ho ga_ii hogii

un se bhii chhiin loge yaad apanii
jin kaa imaan ho ga_ii hogii

dil kii taskiin puuchhate hai.n aap
haa.N merii jaan ho ga_ii hogii

marane vaalo pe ’Saif’ hairat kyo.n
maut aasaan ho ga_ii hogii ....!!!

Main Thak Gaya Hoon

Main Thak Gaya Hoon Jana'n !!
Kandho'n Pe Daale Kab Se
Beetey Dino'n Ki Yaadai'n
Tumhari Rah Guzar Main
Gumsum Khara Hua Hoon
Ek Aas Si Hai Dil Ko
Palto Ge Tum Kabhi Tou
Lekin Ae Mere Jana'n
Tum Se Meri Taraf Tak
Jitne Bhi Raaste Hain
Wo Bad-Gumanion K
Kanto'n Se Bhar Chuke Hain
Kanto'n Main Meri Khatir
Koi Rasta Bana Lo
Bas Ab Mujhe Mana Lo......!

Uski Chahat Ka Bharam Kia Rakhna


Uski Chahat Ka Bharam Kia Rakhna..??
Dasht-e-Hijraan Mein Qadam Kia Rakhna..??

Apnay Jaisa Koi Milta Hi Nahe...!!
Aankh Mein Dolat-e-Ghum Kia Rakhna..??

Baat Chup Reh Kar Bhi Hoo Sakti Hay..!!
Paas Qirtaas-o-Qalam Kia Rakhna...??

Aaoo Kashkool Ko Nelaam Karein..!!
Qarz-e-Arbaab-e-Karam Kia Rakhna..??

Fikar-e-Araish-e-Maqtal Mein Rahoo..!!
Mehr-o-Mezaaan-e-Alam Kia Rakhna..??

Uski Yadoon Ko Ghanimat Janoo...!!
Is Ta'luq Ko Toa Kam Kia Rakhna...??

Hans Bhi Lena Kabi Khud Per Mohsin..!!
Har Garhi Aankh Ko Numm Kia Rakhna..??

Kabhi Jo Cheirr Gai Yaad'e'Raftagan Mohsin


Kabhi Jo Cheirr Gai Yaad'e'Raftagan Mohsin!
Bikher Gai Hain Nigahein Kahan Kahan Mohsin !

Hawa Ne Raakh Urayee To Dil Ko Yaad Aaya....
K Jal Bujhain Mere Khawabon Ke Bastiyaan Mohsin !

Kuch Aisay Gher B Mile Jin Main Ghonghaton K Aawaz..
Hoi Hain Dafan Dopaton Main Larkiyaan Mohsin......!

Khun'der Hai Ehud'e'Guzishta Na Chu Na Chair Esay.....
Khulain To Band Na Hoon Is Ki Khirkiyaan Mohsin...!

Bujha Hai Kaun Sitara K Apni Aankh K Sath....
Howey Hain Sare Manazir Dhowan Dhowan Mohsin...!

Nahi Keh Us Say Ganwa Hain Maah'o'Saal Apne....!!
Tamam Umer Kati Yun Bhe Ra'ye'gaan Mohsin....!

Mila To Aur Bhe Taqseem Ker Gaya Mujh Ko....!!!
Sameetna Then Jisay Meri Kirche'yaan Mohsin.....!

Kahe Say Us Nay B Tora Hai Khud Say Rabt'e'Wafa
Kahe Say Bhool Gaya Main B Dastaan !Mohsin!...!!!

Woh Jiski Deed Mein Laakhoun Masarratein Pinhaan




Woh Jiski Deed Mein Laakhoun Masarratein Pinhaan



Woh Husn Jiski Tamanna Mein Jannat Pinhaan


Hazaar Fitney Tah E Paa E Naaz Khaak E Nasheen


Har Eik Nigaah Khumar E Shabaab Se Rangeen


Shabaab Jis Se Takhaiyul Pe Bijliyaan Barsein


Waqaar Jiski Rafaqat Kou Shokhiyaan Tarsey

Ada E Laghzisheiy Paa Par Qyamatein Qurbaan


Bayaz E Rukh Sey Sahar Ki Sabahatein Qurbaan

Siyaah Zulfoun Mein Badaaon Sa Nikhatoun Ka Hujoom


Taweel Raatoun Ki Khwabeedah Raahatoun Ka Hujoom

Vo Aankh Jiski Banaun Pe Khaliq Dey Raae


Zabaan Shair Kou Tareef Kartey Sharmaae

Gudaaz Jism Qaba Jispe Saj Ke Naaz Karey


Daraaz Qad Jisey Sarw E Sahi Namaz Karey


Kisi Zamaney Mein Is Rah Guzar Sey Guzraa Thaa


Ba Sad Guroor O Tajammul Idhar Sey Guzraa Thaa


Aur Ab Ye Raah Guzar Bhi Hai Dilfareb O Haseen


Hai Uski Khaak Mein Kaife Sharab E Sair Makeen

Hawa Mein Shokhi E Raftaar Ki Addaen Hain


Faza Mein Narmi E Guftaar Ki Sadaen Hain

Garaz Vo Husn Is Raah Ka Juzu E Manzar Hai


Neyaaz E Ishq Kou Eik Sajda Gaah Maiyassar Hai