Tuesday, 25 February 2014

Mujh Se Ab Aur Tamaasha...


Mujh Se Ab Aur Tamaasha Ho Nahi Sakta,
Lay Jaa, Yeh Dikhaaway Ki Hansi Bhi Aa Kr.!

Sunday, 23 February 2014

Baqae-e-husan-e-Ulfat par Yaqeen kitna tha Dono ko



Baqae-e-husan-e-Ulfat par Yaqeen kitna tha Dono ko

Yahan Har Cheez Faani ha Na Tum Samjhe Na Hum Samjhe

Uski Mohabat ne Cheen Li Hian Mujh se Sharartain Meri



Uski Mohabat ne Cheen Li Hian Mujh se Sharartain Meri

Aur Log Samajthe Hain k Bohat Sulajh Gaye hain Hum.

Adhore chand se faryad to karta hoga





Adhore chand se faryad to karta hoga

Wo mujhe ziyada nahi per yaad to karta hoga

Bhole se he sahi kabhi meri yaad to Aati hogi
Wo mere baare mein kuch irshad to karta hoga

Bohat masroof sahi din bhar Phir b!
Tanhai mein kuch pal mere liye
'BARBAD' to karta hoga



Pass hote to koi shararat karte


Pass hote to koi shararat karte.. 
Tujhe lekar bahon mein mohabbat karte… 

Dekhta teri aankhon mein neend ka khumar… 
Apni khoi hoi needon ki shikayat karte… 

Teri aankhon mein apna aks dhondte… 
Khud se bhi ziyada tujhe chaha karte… 

Ek dil hi thaw o bhi tere pass hai…. 
Raat bhar jag ke kis ki hifazat karte? 

Mere mazhab mein shirk haraam hai…. 
Warna 
Dil-o-jaan 
Se teri ebadat karte

Bicharte wakt bare Gharoor se Usne Yeh Kaha



Bicharte wakt bare Gharoor se Usne Yeh Kaha
K Tujh Jese Laakhon Mileingy

Hum Ye Sun kr Muskura Diye or Kaha
Hum Jese ki he Talash kio???



Wo Khayal tha Dhanak Numaa




Wo Khayal tha Dhanak Numaa,
Ya koi Aks Tha Mere Ru-ba-Ru,,,


Mujhe Har Tarf se 'Tu' Laga,
Ya koi or Tha tera Hu-ba-Hu...?


Shak to Tha k Mohabat Main Khasare honge



Shak to Tha k Mohabat Main Khasare honge..

Yakeen na Tha k Saare he Hamare honge...


HUM CHHORH CHALE HAIN MEHFIL KO




HUM CHHODH CHALE HAIN MEHFIL KO 

YAAD AAYEN KABHI TO MAT RONA
ISS DIL KO TASALLI DE DENA
GHABRAYE KABHI TO MAT RONA 
HUM CHHORH CHALE...

EK KHWAB SA DEKHA THA HUMNE
JAB AANKH KHULI TO TOOT GAYA
YEH PYAAR TUMHE SAPNA BANKAR
TARPAYE KABHI TO MAT RONA
HUM CHHORH CHALE...

TUM MERE KHAYALON MEIN KHOKAR
BARBAD NA KARNA JEEVAN KO
JAB KOI SAHELI BAAT TUMHE
SAMJHAYE KABHI TO MAT RONA
HUM CHHORH CHALE...

JEEVAN KE SAFAR MEIN TANHAI
MUJHKO TO NA ZINDA CHHORHEGI
MARNE KI KHABAR AYE JAANE JIGAR
MIL JAYE KABHI TO MAT RONA
HUM CHHORH CHALE...


Saturday, 22 February 2014

Nazakat Khatam ha Un par Hua ha Dard-e-Sir Peda



Nazakat Khatam ha Un par,
Hua ha Dard-e-Sir Peda

Zara Maathe ko Chooma Tha,
Pary hain kal se Sir Baandhe

Yaad Rakhte hain Hum Aaj bhi Unhain Pehle ki Trah



Yaad Rakhte hain Hum Aaj bhi Unhain Pehle ki Trah

Kon kehta ha Fasly Mohabat ki Yaad Mita dete hain...

Ik Ye Khuwahish k koi Zakham na Dekhe Dil k





Ik Ye Khuwahish k koi Zakham na Dekhe Dil k
Ik ye Hasrat k koi Dekhne wala Hota....

Friday, 21 February 2014

Tum to apny ho kesy nikalain tuhain dill se

Tum to apny ho kesy nikalain tuhain dill se

Hum to dushman ko bhi be ghar honey nahi dety

Mery Ban Jao

Gunjaish nikal aati he phir ik dill lagi ki

Koi bhi muhabat Kisi ki aakhri nahi hoti

Mery Ban Jao

Afsos to he Tery Badal jany ka magar

Teri Kuch Baton ne mujhy jeena sikha diya

Mery Ban Jao

Afsos to he Tery Badal jany ka magar

Ghaleb

Be waja rota nahi koi Ishk Me Ghaleb

Jisy khud se barh kar chaha ho wo rulata zaroor he


Mery Ban Jao

Tum to apny ho kesy nikalain tuhain dill se

Hum to dushman ko bhi be ghar honey nahi dety

Mery Ban Jao

Gunjaish nikal aati he phir ik dill lagi ki

Koi bhi muhabat Kisi ki aakhri nahi hoti

Mery Ban Jao

Afsos to he Tery Badal jany ka magar

Teri Kuch Baton ne mujhy jeena sikha diya

Mery Ban Jao

Bahadur Shah

Bahadur Shah

Lagta nhi he je mera ujaar e dyar main

Kis ki bani he alam e napaydaar me

Mery Ban Jao

Bulbul ko paasbaan se naa saiyd se gilaa

Qismaat main qaid likhi thi Fasl e bahar me

Keh do in hasraton se kahi or ja basain

Itni jaga kaha he dil e daghdaar me

Ik shekh e gul pe bath k bulbul he shadman

Kanty bicha diye hain dil e lalazar main

Umar daraz mang ke laye thi char din

Do arzu main kat gue do intazaar main

Mery Ban Jao

Din zindagi k khatam ho gye sham ho gye

Phela k paon soyn ge Kunh e mazaar main

Kitna he bad naseeb zafar dafan ke liye

do gaz zamin bhi na mili ku e yar main

Mery Ban Jao

Mir Taqi Mir

Mir Taqi Mir

Ashk aankh main kab
Nahi aata

Laho aata he jab nahi aata

Mery Ban Jao

Bekhudi le gai kahan humko

Der se intezaar hain apna

Mery Ban Jao

Abtidaa-e-Ishq hai rota he kya

Aagy aagy dekhye hota he kiya

Mery Ban Jao

Likhte ruqaa likhe
gye daftar

Shauq ne baat kyaa barhaai he

Mery Ban Jao

Dedani he shikastagi dill ki

Kia imarat ghamon ne dhaai he

Mery Ban Jao

Baad marne ke meri qabar pe aaya wo Mir

Yaad aai mere Isa ko Dawa mere baad

Mery Ban Jao

Mir Un nem baaz aankhon Me sari masti sharab Ki si he

Dekh to dill k jaan se uthta he
Ye dhowan Sa kaha se uthta he

Mery Ban Jao

Shikwa karon me kab tak us apny mehrbaa ka
Alqisa rafta rafta dushman hoa he jaan ka

Ya roy ya rulay apni to yon hi guzri
Kia zikar hum safiran Yar in Shadma ka

Mir Taqi Mir

Mery Ban Jao

Hasti apni Hbaab ki si he

Ye numaish sarab ki si he

Nazki isky lab ki kia kahye

Pankhri ik gulab ki si he

Chashm-e-Dill khol Is Bhi alam par

Yan ki oqat Khuab Ki si he

Bar bar Isky dar pay jaata hon

Halat ab iztrab ki si  he

Nuqta khal he tera abro

Beyt ik intakhab ki si he

Me jo bola kha k ye aawaz

Isi khana Kharab ki se he

Aatish Gham me Dill bhna Shyed

Der se bo kabab ki se he

Mery Ban Jao

Khwaja Mir Dard

Khwaja Mir Dard

Dosto dekhaa tamasha Yaha ka bas
Tum Raho Ab Hum To apny Ghar Chaly

Mery Ban Jao

Ab k tery dar se gir gye hum
Phir ye bhi samjh k mar gye hum

Jon noor-e-nazar Tera Tasawar
Tha paish-e-Nazar Jidhar gye hum

Kis ne ye humy bhla diya he
Malom nahi kidhar gye hum

Tha alam-e-jabar kia batayn
kis tor se zisat kar gye hum

Jis tarha hua isi tarha se
Pemana umar bhar gye hum

Afsoos K "DARD'' Usko jabtak
Howy he khabar Guzar Gye Hum

Mery Ban Jao

Apna to nahi Yar me kuch yar hon tera
To jis ki taraf howy tarafdaar hun tera

Karhny par pe mery ji na krha teri bla se
Apna to nahi gham mujhy Gham Kuar hun tera

To chahy na chahy mujhy kuch kam nahi he

Azad hun is se bhi girfatar hon tera
To howy jaha mujh ko bhi hona wahi lazim

To gul he meri jaan To me khaar hon tera
Me kuch nahi par garmi bazar hon tera

Meri taraf to kabhi a ja mery yosif
Burhiya ki tarha me bhi khredar hon tera

Ae dard mujhy kuch nahi ab or to azaar
Is chashm se keh dunya k bemar hon tera

Mery Ban Jao

Thursday, 20 February 2014

Hum Ne Maana Kay Taghaful Na Kro Gay Lakin...

Hum Ne Maana Kay Taghaful Na Kro Gay Lakin,
Khaak Ho Jaayein Ge Hum Tum Ko Khabar Honay Tak.!

Chalo Yeh Zindagi Ab Hum Tumhary Naam Karty Hain..

Chalo Yeh Zindagi Ab Hum Tumhary Naam Karty Hain,
Sunna Ha Be-Wafa Ki, Be-Wafa Sey Khoob Banti ha..!

Haal Ha Ik Ajab Faraaghat Ka...

Haal Ha Ik Ajab Faraaghat Ka,
Apna Hr Gham Mana Chuka Hun Main.!

Sabab ronay ka wo poochain to...

Sabab ronay ka wo poochain to itna kehna qaasid,
Mujhay hansna nahi aata, Jahan pr tm nahi hotay..!

Khuda Karay salaamat rahay

Khuda Karay salaamat rahay kisi dua ki trha,
Ik tu aur doosra muskaraana tera..!

Mujh pe pathar uchaalnay walay

Mujh pe pathar uchaalnay walay,
Aik baaqi ha tere seenay main.!

Mohabbat Jheeel Si Ha...

Mohabbat Jheeel Si Ha,
Naa Jaanay Kitni Gehri Ha.!

Hanstay Huay Chehron Ko

Hanstay Huay Chehron Ko Ghamon Se Aazad Na Samjho,
Hazaaron Gham Chupay Hotay Hain Halki Si Muskaan Main.!

Jaanay Waalay Manzilon Ko

Jaanay Waalay Manzilon ko jaatay jaatay keh gaye,
Tum raastay ki dhool thay, So raastay main reh gaye.!

Qudrat Kay Haseen Manzar Main

Qudrat Kay Is Haseen Manzar Main,
Mere Yaar Ka Bhi Shumaar Hota Ha.!


Tum Ne Chorra Jab Se Aansoo Ponchna

Tum Ne Chorra Jab Se Aansoo Ponchna,
Hum Ko Ronay Ka Mazza Aata Nahi..!

Kitni Dilkash Ha Khamoshi Teri

Kitni Dilkash Ha Khamoshi Teri,
Meri Saari Baatain Fazool Hon Jesay.!

Main Apnay Aap Say Ghabra Gia Hun...

Main Apnay Aap Say Ghabra Gia Hun,
Aay Zindagi Mujhay Deewana Kr Dey.!

Kayi Roug De Gayi Ha

Kayi Roug Dey Gayi Ha,
Naaye Mousam Ki Baarish,
Mujhay Yaad Aa Rahay Hain,
Mujhay Bhool Jaanay Waalay..!

Tuesday, 18 February 2014

Mere Dil ki Tasali k liye Fakat itna kafi ha



Mere Dil ki Tasali k liye Fakat itna kafi ha 

Hawa jo Tum ko Chooti ha Main usme saans Leta hon..


Kash k ik baar Tum Mujh se keh Do



Kash!!
k ik baar Tum Mujh  se keh Do

Aao k Main tanha hon, Tere Bina,
Teri Traha,
Teri Qasam, Tere Liye...


Friday, 14 February 2014

Main jo keh Nahi Sakta mein wo Farz krta hon



Main jo keh Nahi Sakta mein wo Farz krta hon

Chalo mein Farz krta hon, Main tum se Payar krta hon..

Log kehte hain ke Mohabat ik baar hoti ha



Log kehte hain ke Mohabat ik baar hoti ha

Main jab jab dekhon mujhe har baar hoti ha 

Door tujhse guzri har ghari likh raha hon




Door tujhse guzri har ghari likh raha hon

Jo beeta hai Mujh par wo sabhi kuch likh raha hon


Tu ne ghamo'n mein uljhaya hai bohat
Main naam Tere apni har khushi likh raha hon

Ye umar bhar ka bandhan hai do char din ka sath nahi
Dil mein jitni hai chahat sabhi kuch likh raha hon

Karo meri baat ka yaqeen agar karte ho
Main tere liye jo kuch bhi hon abhi likh raha hon

Nahi kami kisi lafz ki is mein
Main faqat apni ghazal meinn teri kami likh raha hon

Shayad tujhe Mera Acha na lage Naam
Main tere liye khud ko Ajnabi likh raha hon


Neend or tum kha pey rehty ho

Neend or tum kha pey rehty ho

Dono q raat bhar nahi aaty

Mery Ban Jao

Unhain apna nahi sakta magar itna bhi kia kam he

K kuch mudat haseen khuabon me kho kar ji lia meny

Mery Ban Jao

Tum yaad na kar k bhi achy lagty ho

Khuda jaany tum yaad karty to kia hota

Mery Ban Jao

Samjh kar rehmdill tum ko diya tha hum ne dill apna

Magar Tum bala nikly Ghazab Nikly Sitam nikly

Mery Ban Jao

Hawa ki mojon me aaj ghazab ki nazakat he

Hawa ki mojon me aaj ghazab ki nazakat he
zroor aaj us ne mujhy dill se yaad kia ho ga....


Mery Ban Jao

Subha hoi to aankhain aesy bojal theen

Jesy koi jaag raha tha mujh me sari raat

Mery Ban Jao

Chakor khush he k aa bachon ko aa gya urna

Udaas bhi he k rut aa gayi bicharny ki

Mery Ban Jao

Bhla yom-e-Muhabat kia manay

Muhabat ak din ki baat he kia


Mery Ban Jao

kuch apni wafaon ne loota kuch apni anayat mar gai

Hum raz-e-Muhabat keh na saky chup rehny ki aadat mar gai

Mery Ban Jao

Allah se kary door to taleem bhi fitna

Amlak bhi olaad bhi jageer bhi Fitna

Nahaq k liye uthy to shamsheer bhi fitna

Shamsheer hi kia nara-e-taqbeer bhi fitna

Mery Ban Jao

Admin Faisal

Kisi ki Majbori Se Is qadar fayda na uthao k usy mzeed majboor kar do...

Jab sari dunya moh phair leti he to us waqt bhi Allah Sath Deta he

Ghulam qom k myar bhi ajeeb hoty hain Sharef ko bewaqof Maqar ko chaak Qatil ko bhadar or Maldar ko bara admi samjhty hain

No matter how big your house is how recent your car is or how big your bank account is Our graves will always be the same size Stay Humble

By Admin Faisal

Two Line Urdu Poetry

Koi hunar koi rosh koi tareeqa to batao
K dill toty bhi na wo mily bhi na or CHEEN AA JAY


Mery Ban Jao

Boht thy hamary bhi is dunya me apny
phir ishk hoa or hum lawaris ho gye

Mery Ban Jao

Teri Yadon ki ulfat se to saji he zindagi meri
Me pagal hon? Jo tujhy bhool k weran ho jaon

Mery Ban Jao

Chupky se le kar naam tera guzar dain ge zindgi
Be khabar zamany ko batayn ge piyar aesy bhi hota he

Wo, hamsafar, tha, magar, us, se, hmnawai, na, thi,

Wo hamsafar tha magar us se hmnawai na thi
K dhoop chaon ka aalam raha judaai na thi

Adawatain theen taghafil tha ranjashain theen magar bicharny waly me subkuch tha bewafai na thi

Bicharty waqat un ki aankhon me thi hamari ghazal

Ghazal bhi wo jo kisi ko kabhi sunai na the

Mery Ban Jao

Sapurd-e-Khak kar dala kisi k aankhon ki masti ne

Hazaron saal jee lety jo kisi se piyar na karty

Mery Ban Jao

Wo yaad kary ga jis din meri muhabat ko
wo roy ga phir se mera hony k liye

Mery Ban Jao

Waha tak sath chalty hain jaha tak saath mumkin he jaha halaat badlain ge waha tum bhi badal jana

Mery Ban Jao

Haseen aankhon ko parhny ka abhi tak shok he mujhko

Muhabat me ujar kar bhi meri aadat nahi gai

Mery Ban Jao

wo, or, log, hon, ge, jinhain, tery, deedaar, ki, hasrat, he

Wo or log hongy jinhain tery dedaar ki hasrat he

Me ne to tujhy be pana Chaha he bina tera dedaar kiye

Mery Ban Jao

Tamam umar mujhy totna bikharna tha

Wo meherbaan bhi kaha tak sameeta mujhko

Mery Ban Jao

Kon kehta he nafraton me dard he mohsin

Kuch muhabatain bhi boht aziyat naak hoti hain

Mery ban Jao

Sari mushklain meri ho jati hain aasan

duayan Jo teri Har waqt sath rehti hain MA

Mery ban Jao

Aaj bhi adtaon me shamil he
tery kochy se ghar jana

Mery Ban Jao

Dilon ko torny k liye zarorat nahi pathron ki

Ye dill to bikhar jaaty hain sirf lafzon ki chot se

Mery Ban Jao

Bari belagam si ho gai hain meri
aankhin
teri deed musalsal bahany dhondti he

Mery Ban Jao

Mohsin, Urdu Poetry, Best Urdu Poetry

Hum ne suna tha dost  wafa karty hain

Mohsin

Jab humney kia bhrosa to riwayat hi badal gai

Mery Ban Jao

Tujh se lafzon ka nahi roh ka rishta he Mera

To meri sanson me tehleel he khushbo ki tarha

Mery Ban Jao

Log mujh ko bhi dua ka kehty hain

Kis qadar RAB ne mery aeeb chupay hoy hain

Mery Ban Jao

Usky naram hathon se Phisal jati hain chizain

Mera dill bhi laga he haath us k khuda khair kary

Mery Ban Jao

Apny saman ko bhandy hoy is soch me hon

Jo kahi k nahi rehty wo kaha jaty hain

Mery Ban Jao

Urdu Poetry

Abhi kuch din mujhy meir muhabat aazmany do

Mujhy Khamosh rehny do suna he ishk sacha hota he

To khamoshi laho ban kar ragon me nach uthti he

Zara uski ragon me khamoshi ko jhoom jany do

Abi kuch din mujhy meri muhabat aazmany do

Usy me ku bataon Me ne us ko kitna chaha he

Bataya jhot jata he sachi baat ki khushbo to khud mehsoos hoti he

Meri Batain meri sochain Usy khud Jaan leny do

Abhi kuch din mujhy meri muhabat aazmany do

Mery Ban Jao

Jis ko Dekha usy ko mukhlis hi paya

Boht fareeb diya he meri nigah ne mujhy

Mery Ban Jao

Shidat_e_ dard me aai na kami koi bhi janaa

Dard phir dard raha ulta likha ya phir sedha

Mery Ban Jao

Love Urdu Poetry

Kash me teri aankh ka pani ban jaon faraz

Or to kabhi na roy mujhy khony k dar se

Mery Ban jao

Ana kehti he Iltijaa kia karni... zaid....

wo muhabat hi kia jo minaton se mily...

Mery Ban Jao

Khula he jhoot ka bazar aao such bolain

Na ho bla se khredar aao such bolain

Sakoot chaya he insaniyat ki qadron par

Yahi he moqa izhaar aao such bolain

Mery Ban Jao

Need apni bhula kar sulaya hmko

Aanso apny gira kar hansaya hum ko

Dard kabhi na dena  un hastiyon ko Allah ne ma baab banaya jin ko

Mery Ban jao

Sad Urdu Poetry

Khayrat me mili khushi hmy achi nahi lagti

Hum apny dukhon me rehty hain nawabon ki tarha

Mery Ban Jao

Parwany ko shama py jal k kuch to milta hoga

Sirf marny ki khater to koi muhabat nahi karta?

Mery Ban Jao

Wo to sadiyon ka safar kar k yha phoncha tha

Tu ne muh phir k jis shakhs ko dekha bhi nahi

Mery Ban Jao

Apny Saman ko bhandy Hoye is Soch me hon

Jo kahi k nahi rehty wo kha jaty hain??

Mery Ban Jao


Meri Rooh Wich Mera Yaar Wasda!

Meri Rooh Wich Mera Yaar Wasda!
Meri Akh Wich Os Da Dedaar Wasda!

Saanu Apney Dard Di Parwah Nai!
Par Rab Karey! Har Waqt Raway Mera Yaar Wasda!

Wednesday, 12 February 2014

Kabhi khamosh baithogi, kabhi kuchh gungunaaogi

Kabhi khamosh baithogi, kabhi kuchh gungunaaogi 
Main utna yaad aaoonga, mujhe jitna bhulaaogi


     Koi jab poochh baithega, khamoshi kaa sabab tumse
     Bahot samajahna chaahogi, magar samjhaa na paogee


     Kabhi duniya mukkammal banake, aayengi nigaahon mein
     Kabhi meri kami duniya ki, har ek shey mein paaogi


     Kahin par bhee rahen hum tum mohabbat fir mohabbat hai 
     Tumhe hum yaad aayenge, hamen tum yaad aaogee

Tuesday, 11 February 2014

wo jo sheshy ka ho to pathron se muhabat nahi karty

wo jo sheshy ka ho to pathron se muhabat nahi karty

Aehsaas-e-Chahat na mily to wajood bikhr jaya kary hain

Mery Ban Jao

Duwaon me yon to boht taseer he lekin

Khuda sy or kia mangon sawal-e-yaar se pehly??

Mery Ban Jao

Dua he khuda se unhain kabhi dard na daina

Hum to seh gye hain par wo toot jayn ge

Mery Ban Jao

kabhi aanso kabhi sajdy kabi hathon ka uth jana

Muhabatain naakam ho jayn to rab yaad ata he

Mery Ban Jao

Jawaz-e-Tark taluk to kuch na tha

phir bhi bechar gya hon me tujh se teri khushi k liye

Kahani bataon tumhain udaas logo ki

Kahani bataon tumhain udaas logo ki

Kabhi Ghor karna ye hansty boht hain

Mery Ban Jao

Palkain bhigony lagta he Ab bhi tera khayal

Yadon k sher se tera mosam nahi gya

Mery Ban Jao

Yar se jab tak na hoa milna jabhi tak khair he

Shama se parwana lipta or jal kar reh gya

Mery Ban Jao

Gaye lamhon me dua karny chala jata hon

Mery Mazi me he mdfon muhabat us ki

Na wo din rahy na wo mehflain na wo jaan se aziz log

Jawaz tarke taluk to kuch na tha phir bhi
Bichar gya hon main tujh se teri khushi k liye

Mery Ban Jao

Bas ik shakhs mery dill ki zid me he
Na us jesa chahiye na koi or chahiye

Mery Ban Jao

Hmesha choti choti khushiyon ka achy dill se
istaqbaal karo

Kunky Unhi k pechy muhabaton ka selaab hota he

Mery Ban Jao

Na wo din rahy na wo mehflain na wo jaan se aziz
log
Waqat cheen ley gya mery apny mujh se kaha kaha

Mery Ban Jao

Bhir itni to nahi Thi sher k bazaron me
Khony waly to ne kuch dair to dhonda hota

Mery Ban jao

Tum bhi kar k dekh lo muhabat kisi se

Tum bhi kar k dekh lo muhabat kisi se
Jaan lo gy k hum muskurana ku nahi bhul gye

Mery Ban Jao

Chala gya wo magar usy kia khabar us k liye
Kisi ki aankhain Kitni dair tak shabnami si rahi

Mery Ban jao

Aandiyan mery taaqab me chali aati hain
Me ne basti me jo ik shama jala rakhi he

Mery Ban Jao

Ye sari umar kisi aashftgi me raygaan kar di
Usi ko yad rakha he jisy dill se bhulana tha

Mery Ban Jao

Nafraton Ki dunya me piyar na kar
Ruh fana ho jati he lekin wafa nahi milti

Mery Ban Jao

Tery Qareeb reh k bhi dill mutmain na tha
Guzri HE mujh Py ye bhi qayamat kabhi kabi

Ishk ki nagri me Mafi Nahi Kisi ko bhi

Ishk ki nagri me Mafi Nahi Kisi ko bhi
Ishk Umar Nahi dekhta bas ujaar deta he

Mery Ban Jao

Allah k khof se girny wala ak aanso beshak chota ku na ho
Is me itni taqat hoti he k wo samandar k barabar gunah mita deta he.

Mery Ban Jao

Bewafa Waqt tha tum thy ya muqadar mera?
Baat itni he k anjaam judai nikla

Mery Ban Jao

bana lo usy apna jo tumhain dill se chahta ho
Khuda ki Qasm bari mushkel se mila karty hain ye chahny waly

Mery Ban Jao

Hamy rota dekh kar wo ye keh k chaly gye

Hamy rota dekh kar wo ye keh k chaly gye
Rota to har koi he ab hum subke ho jaayn?

Mery Ban Jao

Janty ho muhabat kis ko kehty hain??????
Kisi ko sochna Muskrana Phir Aanso bahana

Mery Ban Jao

Zindagi to kabki khamosh ho gayi
Dill to bas Aadtan Dharakta he

Mery Ban Jao

Muhabat kar sakty ho to khuda se karo
Miti k khilono se kabhi wafa nahi milti

Mery Ban Jao

Tery Ishk me kabi yon hoa k namaz apni kaza hoi
Teri Awaz ne kabhi kabhi mujhy mery rab se mila diya

Mery Ban Jao

Din Khail Me or raat soty hoy Guzar Gayi
Yon hi teri umar Saheb-e-Ghaflat me guzar gai

Mery Ban Jao

Mujhy bhi pata tha log badal jaty hain Magar

Mujhy bhi pata tha log badal jaty hain
Magar
Meny tumhain kabhi logon me gina hi nahi tha

Mery Ban Jao

Qarb k na wafa k hoty hain
Sary Jhagry ana k hoty hain

Bat niyat ki he warna
waqat sary dua k hoty hain

Bhul jaty hain mat bura kehna
Log putly khata k hoty hain

Wo jo bazahir kuch nahi lagty
Unsy rishty bala k hoty hain

Wo hamara he is trha se FAIZ
Jesy bandy khuda k hoty

Mery Ban Jao

Dill sary dard bhula desi
Jadan teda sath khuda desi

Mery Ban Jao

Monday, 10 February 2014

Ghazab Hai Tera Naqab Saqi



Ghazab Hai Tera Naqab Saqi,

Pila De Mujh Ko Sharab Saqi,

Inhi Ko Choone Ki Aarzo Hai,

Ye Hont Hain Ya Gulab Saqi,

Suna Hai Tere Hi Hath Se Hai,

Isi Ka Peena Sawaab Saqi,

Hashar Mein Khud Tor Dein Gay,

Ye Aap Apna Hijab Saqi,

Bare Dino Se Piya Nahi Hai,

Na Mang Mujh Se Hisab Saqi,

Ye Maikada Hai Hazar Fitne,

La Pila De Sharab Saqi...........!



Khush Rehny Ka Formula

(Khush Rehny Ka Formula)

Shikwy Shikayaat kam kijiye Or allah Ki un Nemton Keliye Shukriya Ada Kejiye Jo aapky paas hain

Apny Masayl k bary me kam sochain??
Msayl k hall keliye pori koshish karain Natayj k bary me fikar mat karain

Sirf itni zimy dariyan qabool karian jo aap hall kar sakty hon Apni Sakt se ziyada kaam karny Se Graiz karain

Apny Liye bhi waqt nikalain or ALLAH PAAK se batain karain

Apny Ird gird k logon or ghr walon ko khush rakhny ki koshish kijiye aapko bhi khushi mily gi

Dosron ki buraiyon par nazar mat rakhain Or apni Islah ki koshish karty rahain.....

(From Admin Faisal)
be my friend on facebook (merybanjao@facebook.com)

Latest Mix Picture Poetry






























Bhul jana usy Yaad bhi karty rehna

Chupaye dill main ajb sa ghubar bethy hain,
Najane kesy tassawur mein yaar bethy hain,

luta chuky hain murawwat mein zindagi apni,
Tere liye to ana ko bhi mar bethy hain..

Mery ban jao

Jab garaz hoi tab yaad jab waqat mila tab waar kiya

Ab or haqeeqat kiya likhon us door k mukhlis yaaron ki??

Mery Ban Jao


Bhul jaana bhi usy yaad
bhi karty rehna

Acha lagta hai isi dun me bikharty Rehna

Hijar waloon se bari dair se seekha humny

zinda rehny k liye jaan se guzarty rehna

Kya kahon q meri neendon me khalal dalta he

chand k aks ka pani main utartay rehna

main agar toot bhi jaaon toh phir aina hoon

tum mery baad bhi sawarty rehna

Shaam ko dobty surj ki hai aadat subha hoty hi mery sath ubarty rehna

Mery Ban Jao

Muhaban Un logo se karo jo neki kar k faramosh kar dety hain

Ak din sony ne lohy se kaha
hum dono hi lohy ki hathori se pety jaty hain
par tum itna chilaty q ho

Loha: jab apna hi apny ko marta he to dard
ziyada hota he....

Mery Ban Jao

Muhabat un se rakho
Jo neki Kar k faramosh kar dety hain

Mery Ban Jao

Koi he? jo samjhy meri taqdeer ka dukh
me ne bachpan me saha he qatal hmshir ka dukh

Bain karty hoye khny lagi kashmeer ki ma
Binte kashmeer hi jany bas kashmeer ka dukh...

Sunday, 9 February 2014

Apne hathon se yoon chehre ko chhupate kiun ho




Apne hathon se yoon chehre ko chhupate kiun ho,

Muj se shrmate ho to saamne aate kiun ho.


Tm kbhi mri tarha kar bhi lo iqrar-e-wafa,
Pyar krte ho to phr pyar chupate kiun ho.

Ashk aankhon me meri dekh k rote kiun ho,
Dil bhr aata hai to phr dil ko dhukate kiun ho.

Un se wabsta hai jb mera muqadr phr tm,
Mere shano se ye zulf apni hatate kiun ho

Roz mar mar ke mujhe jeene ko kahte kyon ho, 
milne aate ho to phir laut ke jaate kyon ho ...



Hath Khaali hain Tere Shehar Se Jatay Jatay


Hath Khaali hain Tere Shehar Se Jatay Jatay,

Jaan Hoti To Meri Jaan Lutate Jatay.


Mujhe Se Pehle Bhi Musafir Kai Guzray Hon Gy,
Kam Se Kam Raah K Pathar To hatate Jatay.

Mujhe Rone Ka Bhi Saliqa Nahi Aata Shayad,
Log Hanstay Hain Mujhe Dekh K Aatay Jatay.

Main Bhi Majboor Tha Main Ne Usey Roka Bhi Nahi,
Wo Dekhta Raha Mur K Mujhe Jatay Jatay.


Us ke Lafzo'n k Mukabil main bhala kia Kehta



Us ke Lafzo'n k Mukabil main bhala kia Kehta

Maine Heran he Rehne main Sahoolat Samjhi....


Yehi Dastoor-e-Ulfat ha Nami Aankhon me le kr bhi



Yehi Dastoor-e-Ulfat ha Nami Aankhon me le kr bhi

Sabhi se kehna Parta hai k Mera Haal Acha hai....