Sunday, 26 January 2014

Ek Shakhs Ko Deakha Tha




Ek Shakhs Ko Deakha Tha
Taron Ki Tarha Hamney

Ek Shaks Ko Chaaha Tha
Apnon Ki Tarha Hamney

Ek Shaks Ko Samjha Tha
Phoolon Ki Tarhaa Hamney

Wo Shaks Qayamat Tha
Kya Uski Karein Batain

Din Us Ky Liye Paida
Aur Uski He Thi Ratain

Kab Milta Kisi Se Tha
Ham Se Thi Mulaqatain

Rang Uska Shahaabi Tha
Zulfon Mein Thi Mehkarein

Aankhain Thi Ke Jaadu Tha
Palkain Thi K Talwarain

Dushman Bi Agar Dekhein
So Jaan Se Dil Harain

Kuch Tum Se Wo Milta Tha
Baton Mein Shahaabat Thi

Han Tum Sa Hi Lagtaa Tha
Shokhi Mein Sharaarat Main

Lagta Bhi Tumhe Sa Tha
Dastur-E-Mohabbat Main

Wo Shaks Hamain Aik Din

Apnon Ki Tarhaa Bhoolla
Taron Ki Tarha Doobba
Phoolon Ki Tarha Tootta

Phir Haath Na Aaya Woh
Hamney Bohat Dhoondha

Tum Kis Liye Chonkey Hom
Kab Zikar Tumhar Hai
Kab Tum Se Takaaza Hai
Kab Tum Se Shikaayat Hai

Ikk Taaza Hikayat Hai
Sun Lo Tou Inayat Hai

Ek Shaks Ko Chaaha Tha
Apnon Ki Tarha Hamney.

Ek Taza Hikayat Hai
Sun Lo To Inayat Hai



No comments:

Post a Comment