Sunday 26 January 2014

Badban Khulne Se Pahle Ka Ishara Dekhna





Badban Khulne Se Pahle Ka Ishara Dekhna
Main Samandar Dekhti Hun Tum Kinara Dekhna

Youn Bicharna Bhi Bahut Asan Na Tha Us Se Magar
Jate Jate Us Ka Wo Mur K Dubara Dekhna

Kis Shabahat Ko Liye Aya Hai Darwaze Pe Chand
Ay Shab-E-Hijran Zara Apna Sitara Dekhna

Aaine Ki Ankh Hi Kuch Kam Na Thi Mere Liye
Jane Ab Kya Kya Dikhaye Ga Tumhara Dekhna




No comments:

Post a Comment