Sunday, 20 October 2013

Jesay Teri Dunya Se Mujhay Kabhi Jana Hi Nahi Tha!!!

Dushman Meri Khushhiyon Ka Zamaana Hi Nahi Tha
Tum Ne Bhi Kabhi Apna Tou Jana Hi Nahi Tha

Kiya Karte Akele Mei Saja Kar Koi Mehfil!
Jab Saath Mera Kisi Ne Nibhana Hi Nahi Tha

Dil Ne Tou Bohot Chahaa Magar Kis Tarha Jeetay
Jeenay Ke Liye Koi Bahana Hi Nahi Tha

Murr Murr Ke Dekhtey Rahey Hum Umr Bhar Magar
Tum Aaye Nahin KiunKe Tum Ko Tou Anaa Hi Nahi Tha

Ab Jhuk Ke Meri Laash Ko Jhin Jhoor Rahay Ho
Jesay Teri Dunya Se Mujhay Kabhi Jana Hi Nahi Tha


Also read: Khamoshi Urdu Poetry

Tuesday, 15 October 2013

Eid Shayari Collection Dekha eid Ka Chand Ye Dua Mangi Rab Se


Us ka miyar abhi mujh se juda he leken
wo bhi bikhry ga to ho jay ga mery jesa

Mery ban jao

Dekha Eid Ka Chand To ye Dua Mangi Rab se
De De tera Saath Eid ka tohfa samajh ke

Mery ban Jao

Log khty hain eid aai he
Tum aao to yaqeen aa jay

Mery Ban Jao

Lakh gird apny hifazat ki lakerain Khancho
Ek Bhi In me nahi maa ki duaaon Jesi

Mery Ban Jao

Kapron Ki dukaan se door chand sikon ko ginty ginty
Ek Ghreeb ki aankhon me eid ko marty Dekha He

Mery Ban Jao

Jab choty thy to bary hony ki bari chahat thi
Par pata chala k

Adhory ahsaas or toty sapno se adhory hon wark
Or toty khilony achay thy

Mery Ban Jao

Saturday, 12 October 2013

Har Zarra e Ummid Se Khushboo Nikal Aaye!

Har Zarra e Ummid Se Khushboo Nikal Aaye
Tanhaai Ke Sehra Mei Agar Too Nikal Aaye

Kaisa Lagey Iss Baar Agar Mousam e Gull Mei
Titli Ka Badan Orrh Ke Jugnoo Nikal Aaye

Phir Dinn Teri Yaado Ki Munderon Pe Guzra
Phir Shaam Hui Aaankh Se Aansu Nikal Aaye

Be Chen Kiye Rehta Hai Dharka Yahi Jee Ko
Tujh Mei Na Zamaney Ki Koi Khoo Nikal Aaye

Phir Dil Ne Kiya Tark e Taalluk Ka Iraada
Phir Tujh Se Mulaakat Ke Pehloo Nikal Aaye


May you like:
Mai Udaas Rasta Hoon Shaam Ka

Wednesday, 2 October 2013

Usse Hum Bhool Jatey Han! - Bhula Dena Poetry

Baaz Ajao Taghaful Sey Warna Ahl e Dil Aksar
Jise Bhool Jate Han, Osey Bass Bhool Jate Han!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Abhi Masroof Hoon Kaafi,
Kabhi Fursat Main Sochun Ga!!

Ke Tujh Ko Yaad Rakhney Mei,
Mai Kia Kia Bhool Betha Hoon!!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Yaar Ab Mujhey Bhool Jao Tou Behter Hai

Mai Ab Kisi Ko Kho Nahin Sakta!!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Yehi Dastoor Hay Apna, Zabardasti Nahin Kartey!

Jo Thoraa Hatt Ke Milta Hay, Usse Hum Bhool Jatey Han!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Bikhri Ret Pr Kis Naqsh Ko Abaad Rakhay Ga!

Woh Mujh Ko Yaad Rakhh Kr Bhi Kitna Yad Rakhay Ga!

Usse Bunyaad Rakhhni Hai Abhi Dil Mei Mohabbat Ki,

Magar Yeh Sang Seeney Pr Woh Mere Baad Rakhay Ga!

Palat Kr Bhi Nahi Dekhi Teri Yeh Be Rukhhi Hum Ne!

Bhula Denge Tujhay Aesa Ke Tu Bhi Yaad Rakhay Ga..!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Ab Merey Ashk e Mohabbat Bhi Naheen Ap Ko Yaad!

Ap To Apney Hi Daman Ki Nami Bhool Gaye!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~