Friday, 14 September 2012

Bujhnay lag jain to phr shamaiN jala di jaiN


Bujhnay lag jain to phr shamaiN jala di jaiN
Meri aankhaiN me're dushman ko laga di jaiN

Be-hunr loog kahaN, harf ki sachai kahaN
Ab kitabain kisi darya main baha di jain

Un ki pehchaan ka dukh jaaN se guzr jata hai
Ye shabeehaiN sar-e-Aaina ganwa di jaiN

Ab bicharnay ka saleeqa hai na milnay ka hunr
Ishq main tuhmataiN aaiN to bhula di jaiN

Ya to khursheed chamakta rahay peshaani main
Ya lakeeraiN me'ry mathy ki mitta di jaiN

Kitni bholi huwi batain hamain aaj us ki 
Yaad aai hain to ab us ko bata di jaiN.....

No comments:

Post a Comment