Monday, 20 January 2014

Aaj Kisi Ne Dil Torra To


Aaj Kisi Ne Dil Torra To Hum Ko Jesay Dhiyaan Aaya
Jiss Ka Dil Hum Ne torra Tha, Woh Jaanay Kesa Ho Ga..!

Humain To Piyaar Kay


Humain To Piyaar Kay Do Pal Bhi Naseeb Na Huay,
Aur BadNaam Aisay Huay Jesay Ishq K Badshah Hm Hi Thay.!

Majbooriyoun k Naam Pe !


Majbooriyoun Kay Naam Pe Daman Churra Gaye,
Wo Log Jin K Mohbaton Main Daway Hazaar Thay.!

Talaash Krta Raha Ha !


Wahan to Mera Koi Naam o Nashaan Nahi Tha Magar,
Talaash Karta Raha Ha Jahaan Wo Shakhs Mujhay..!

Main Roya Nahi Rulaaya Gia Hun!


Main Roya Nahi Rulaaya Gia Hun
Ban Kr Pasand Phir Thukraya Gia Hun.!

Saanson Ka Toot JAana!


Saanson Ka Toot Jaana To Aaam Si Baat Ha,
Jahan Apnay Badal Jayein Mout Usay Kehty Hain.!

Kalaayi Na Pakra Karo !


Kalaayi Na Pakra Karo....... Na Hi Paas Aaya Kro,
Baat Churriyoun Ki Nahi, Jazbaat Machal Jaatay Hain.!