Friday 31 October 2014

Qateel Shifai Poetry

Mein Oska Dost Hun, Wo Aitraaz Karta Tha

Magar Wo Baatain Bhee Mere Khilaaf Karta Tha

Suna Hai Gir Ke Mera Baadalon Ki Seerhi Se

Wo Aasmaan Ki Chhat Mein Shigaaf Karta Tha

Kamaal Hai Ke Howa Wo Bhee Nazar-e-BeKhabari

Jo Hum Pe Roz Naye Inkishaaf Karta Tha

Wo Qatal Ho Gaya Badsooraton Ki Mehfil Mein

Jo Saaray Sheher Ke Aainay Saaf Karta Tha

Tuesday 7 October 2014

Shayad Mujhe Nikaal ke Pachta rahe ho Aap

Shayad Mujhe Nikaal ke Pachta rahe ho Aap

Mehfil main is Khayal se phir Aagya hon Main

Jinhain Bhulane main Yaaro Bare Zamane lage

Jinhain Bhulane main Yaaro Bare Zamane lage

Jo Dil dukha to wohi log Yaad Aane lage

Ankhein bhi wohi hain dareecha bhi wohi hai

Ankhein bhi wohi hain dareecha bhi wohi hai
aur soch ke aangan mai utarta bhi wohi hai,

Jis nay mere jazbon ki sadaaqat ko naa jana
ab meri rafaaqat ko tarasta bhi wohi hai,

Is dil ke kharabe se guzar kis ka hua hai
ankhein bhi wohi hont bhi wohi lehja bhi wohi hai,

Jo kuch bhi kaha tha meri tanhai ne tujh sey
is sheher ki deewar per likha bhi wohi hai,

Woh jis nay diye mujh ko mohabbat ke khazaane
baadal ki taraha aankh se barasta bhi wohi hai.