Saturday 18 December 2010

John Elia Poetry - Beqarari Si Beqarari Hai

"Beqarari Si Beqarari Hai"
By John Elia

beqarai si beqarari hai

wasl hai aur firaaq taari hai

jo guzaari na ja saki hum se
hum ne woh zindagi guzari hai

us se kahiyo kay dil ki galioN meiN
raat din teri intezari hai

ik mehak samt-e-jaaN se aai thi
maiN yeh samjha teri sawari hai

haadisoN ka hisab hai apna
warna har aan sab ki baari hai

bin tumhare kabhi nahiN aai
kya meri neend bhi tumhari hai

nigharay kya hue keh logoN par
apna saaya bhi ab to bhari hai

khush rahe tu ke zindagi apni
umr bhar ki ummeed wari hai

aap meiN kaisay aauN mein tujh bin
saaNs jo chal rahi hai aari hai

hijr ho ya wisal ho kuchh ho
hum haiN aur us ki yaadgari hai


Very nice poetry by great poet john elia, want to read more click here

No comments:

Post a Comment