Sunday, 7 October 2012

Wo khuwab sahi paish-e-nazar to ab bhi hai


Wo khuwab sahi paish-e-nazar to ab bhi hai
Bichharnay wala shreek-e-safar to ab bhi hai

Hzaar waqt ne deewar-e-hijr utha di magar
Khyal-e-yar mera hum safar to ab bhi hai

Magar yeh kaon badalti hui ruton se kahay
Shajar me saiyah nahi, shajar to ab bhi hai

Muhabten hain muatbar agar to phir ik shakhs
Muhabton ki tarha muatbar to ab bhi hai

Zuban breedah sahi, khzaan raseedah sahi
Hara bhara mera zakhm-e-hunar to ab bhi hai

Humari darBadri pe na jaiay k humen
Shaur-e-saiyah deewar-o-dar to ab bhi hai

Haakim-e-Shehr bata!


Haakim-e-Shehr bata!
Waqt k Shikanjon ne,
Khawhishon k phoolon ko,
Noch noch tora hai,
Kaya ye zulm thora hai...?

Dard k jazeeron ne,
Aarzu k jeevan ko,
Maqbaron mein dala hai,
Zulmatton k daaeray hain,
Log sab luterey hain,

Maut rooth bethi hai,
Zaat reza reza hai,
Taar taar daman hai,
Dard dard jeewan hai,
Shabnami si Palkain hain,
Qurb hai na doori hai,
Zindagi adhoori hai..
Ab yaqeen aya
k..

"Maut Bhi Zaroori Hai"